Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yes /no

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yes /no

    Assalam o Alikom:rose
    Jii to aik baat bataye zara aap loog
    Aaap sab ka kiya khayal hai.

    Aik maan apni bete ki behtareen dost(sahaile) ho sakte hai ky nahe..?????Kiya hum jesy aik sahele say sab kuch sab batain share kerty hain vo apni mamma say ker skaty hain k nahe ..?????
    ager YES to kion?? aur ager NO to kion ??

  • #2
    Re: Yes /no

    YES bilkul ho sakti hai.....pehle main apni ammi se bahut darti thi..kabhi koi baat share nahi karti thi..she always seemed so strict isliye...sirf apni saheliyon se koi bhi baat share karti thi...magar waqt ke saath jaise jaise baRi hoti gayi...aur zindagi ke kayi shades dekhe aur dekh rahi hoon....kayi ups and downs se guzri to us waqt sab se zyaada meri ammi ne mera saath diya aur ek maa ki tarah nahi sirf balki ek dost ki tarah har qadam pe meri himmat baandhi..rehnumaayi ki....har baat share karne ka hausla diya..aur ab ba asaani har qism ki baat main ammi se share kar leti hoon..koi dar nahi lagta aur ab pata chala ke woh andar se kitni hasaas hain...saheliyaan to waqt ke saath door hoti gayin..kuch bichar gayin..kuch apne ghar mein masroof ho gayin shadi baad ..kuch paRhaai..kuch job etc mein... so ab le de ke ek ammi hi hain jin se kisi bhi waqt koi bhi baat share kar sakti hoon....so now she is like a friend to me :-) so apne experience ke baad I can say ke yes MOMS can be FRIEND :-)

    Comment

    • #3
      Re: Yes /no

      yes kion batana zaroori hay kiya :-s

      Comment

      • #4
        Re: Yes /no

        depends larki,
        agar shuru hi Ma apni beyti sey attach hai to wo zaroor un ko hi apna best friend maantey hein...merey kuch friends hein jo kehti hien " hamari saarey masslon ka hal hamari mama hain"
        issi liye bikul ho sakti hein

        leykin in my case aeysa nahi hai .... mey ye keh sakti hun key aik behan aap ki best friend ho sakti hein, merey khayal sey ghar mey jin sey aap ki ziada attachment hoti hai aap unhi key sath sab share ker saktey hein
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Yes /no

          Originally posted by shummu

          I am happy for you :thmbup:
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: Yes /no

            thanx barg-e-gul ..meri koi behen nahi haina magar jab se bhabhi aayi hain woh meri behen hi ki tarah hain... hum behnon ki tarah rehte hain :)

            Comment

            • #7
              Re: Yes /no

              yes mother best friend ho sakti hen,kiun ke jitna acha bura aik maan apni beti ko bata sakti he koi or nahi.or ager shiru se dosti ho to bohat achi baat.

              Comment

              • #8
                Re: Yes /no

                Originally posted by shummu
                YES bilkul ho sakti hai.....pehle main apni ammi se bahut darti thi..kabhi koi baat share nahi karti thi..she always seemed so strict isliye...sirf apni saheliyon se koi bhi baat share karti thi...magar waqt ke saath jaise jaise baRi hoti gayi...aur zindagi ke kayi shades dekhe aur dekh rahi hoon....kayi ups and downs se guzri to us waqt sab se zyaada meri ammi ne mera saath diya aur ek maa ki tarah nahi sirf balki ek dost ki tarah har qadam pe meri himmat baandhi..rehnumaayi ki....har baat share karne ka hausla diya..aur ab ba asaani har qism ki baat main ammi se share kar leti hoon..koi dar nahi lagta aur ab pata chala ke woh andar se kitni hasaas hain...saheliyaan to waqt ke saath door hoti gayin..kuch bichar gayin..kuch apne ghar mein masroof ho gayin shadi baad ..kuch paRhaai..kuch job etc mein... so ab le de ke ek ammi hi hain jin se kisi bhi waqt koi bhi baat share kar sakti hoon....so now she is like a friend to me :-) so apne experience ke baad I can say ke yes MOMS can be FRIEND :-)
                Umm Good :rose
                but main baat yahe hai ky na mothers per depend kerta ha ky un ka relation kitna close & friendly ho baityon k sath ..:)

                Comment

                • #9
                  Re: Yes /no

                  Originally posted by Rabi
                  yes kion batana zaroori hay kiya :-s
                  Haan naa
                  jabhe to pocha hai ..:D: Ab batao foran say:)

                  Comment

                  • #10
                    Re: Yes /no

                    Originally posted by barg.e.gul
                    depends larki,
                    agar shuru hi Ma apni beyti sey attach hai to wo zaroor un ko hi apna best friend maantey hein...merey kuch friends hein jo kehti hien " hamari saarey masslon ka hal hamari mama hain"
                    issi liye bikul ho sakti hein

                    leykin in my case aeysa nahi hai .... mey ye keh sakti hun key aik behan aap ki best friend ho sakti hein, merey khayal sey ghar mey jin sey aap ki ziada attachment hoti hai aap unhi key sath sab share ker saktey hein
                    Umm Right Gul
                    100% agree tumhare bat say..
                    wakii yay mothers per depend kerta ha ky wo kitne close hon apny baityon say..:rose

                    Comment

                    • #11
                      Re: Yes /no

                      Originally posted by shy
                      yes mother best friend ho sakti hen,kiun ke jitna acha bura aik maan apni beti ko bata sakti he koi or nahi.or ager shiru se dosti ho to bohat achi baat.
                      haan sahe..:rose
                      ager shoro say he close rahy dono aur unka realation apas main friendly ho to no doubt vo maan sy zada close friend aur koe nahe ho sakta .:D:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Yes /no

                        Mera personal opinion ye hai ky aik maan behtareen sahaile ho sakta hai. but uni main mai ny debate kere the to is ky against kere the..sab he favour main ker rahy thy to mujhy against main kerne pare..so us ky kuch points main yaha likh rahe hon..

                        Maan aik behtareen khair khawa,humdard & well wisher to ho sakte hai ,aik dost bhe ho sakte hai mager aik behtareen sahaile nahe ho sakte..jis say aap apny dil ki her baat bila jhijak share ker sakay.kuch batain share kerany main aik jhijak aik respect & der sa ha'il ho jata hai...
                        Maan aik wakt ager sare batain dost ban ker sunte hain aur samajhte hai to dosry wakt aik maan ban ker un baton per serzanish kerte hai.
                        Maan kuch batain hamary nazaryay say nahe samajhte.vo apny level say daikhte hai .vo apny tajarby aur hamare bhalae ko mad - e- nazar rakhty hoay sochte hai...
                        jis tarah hum aik dost say freele guftogo ker sakty hain vesy hum apni maan say nahe ker sakty..
                        Maan ager bachpan say he apne baityon say dostana rawayya rakhy aur un kay apas ky ta'aluqat bohat close hon to maan aik behtareen dost ho sakte hai.verna nahe
                        bas maan aik behtareen khair khawa to ho sakte hai lakin aik behtareen sahaile nahe ho sakte ..

                        Comment

                        • #13
                          Re: Yes /no

                          Vesy mera zaate khayal hai kay aik maan apni bete ki behtareen dost ho skate hai aur bilkul ho sakte hai ager maan khud chahy
                          tou...
                          Us kay liay maan ko apny ander bohat bardasht aur zabt paida kerna pary ga.Ager bete us ko dost samajh ker kuch batate hai aur vo galat hai to baja'ay gussa kerny kay us ko araam say tareeqy say bad main yay baat aik dost ki tarah samjhane chahiye kioky aik maan say ziada piaar aulaad ko koe nahe ker sakta aur us say ziada khair khawa aur mukhlis koe nahe ho sakta...
                          maan ko apny nazaryay say nahe apne baite ki nazarye say us baat ko sochna chahiye....
                          Maan ko apny baite kay sath shoro say he dostana rawabit rakhny chahiye taky baite us say her bat bila jhijak share ker saky.
                          Maan ko aisa rawayya rakhna chahiye kay baite ky dil main maan ka ahtaraam to ho mager der na ho..
                          Maan ko us maqooly per amal kerna chahiye

                          It is better to rule by love then by fear

                          Ager aik maan in sab bato'on ko apna'ay to no doubt wo apni baite ki bahtareen sahaile aur dost ho sakte hai:rose

                          Comment

                          • #14
                            Re: Yes /no

                            AOA,

                            Maan achi dost meri zati rahye lain to maan aik hamdard dost hai maan aap ki har baat har wo cheez jis se aap ko koi noksaan ponchne ka khadasha ho apne zime laiti hai har baat ka khaiyaal arkhti hai khud bokhi rahye gi bache ko bokha na chore gi maan aik ahsa dost hai jo har waqt aap k liye dua karta hai maan aap ki baat jo aap k haq main nain b hoti aap ko acha kahti hai to sab se acha dost maan na ho gi to aur ahsa kon ho ga itna paiyaar kon de ga mere liye to maan ho sakti hai baki sab ki apni rahye hai :)

                            Sohail Abbasi.
                            Apna haq ada karo.

                            Comment

                            • #15
                              Re: Yes /no

                              aik lerki bohot achey points hien tumharey:thmbup:

                              aur phir debate ka ikhteymaam kaisey hua

                              yani voting kis key haq mey hui is topic key against mey ya favour mey?
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X