Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

pizza

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • pizza

    assalamalikum

    yeh recipe main nay try ki hove hai aap bhi try kejeye :rose aap bhi pizza ki recipe post kejey aap kis taraha banati hain :)


    Maida ...................1 cup
    doodh...................1/3 cup
    oil.........................1/8 cup
    baking powder.......1 ts
    namak..................1/2 ts

    aap filling key leye tomato ketchup, cheez, shimla mirch,tamatar or kisi bhi cheez say filling karna chaian kar sakti hain :rose

    Tarkeeb:-
    maida,doodh,oil,baking powder or namak ko achi taraha mix kar kay gound laian ....agar zarorat parey to thora pani mila sakti hain ......in ko gound kar rooti ki taraha pheela laian .....

    pher is ki filling karain ....is main tomato ketchup, cheez, or chicken ki chooti bottiyan bhi daal sakti hain , ya peyaaz or tamatar ka paste bhi daal sakti hain ..kuch bhi jo aap ka dil chaye :D: pher oper shimla mirch choti kati hove or tamatar kay qatlay reakhian ...or sab say oper cheez ko pheela kay lagain ....
    ab isay oven main reakh daian ......425 degree pay 30 min key leye .....(har oven main degree ka hissab different hota hai aap apnay oven maian deekh lejey ga pizza kay leye kitni degree di hove hain ...
    bas jab bake hoo jaye oven say nikal daian ...or fouran us kay pieces kar laian ..or pher mazaye say kahaian :phool:
    Attached Files
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: pizza

    wow ..yummy
    mujhy bhe pizza bananay aty hain 2/3 types k
    mai bhe yaha reciepe share kero ge..
    thankx Aanchal :)

    Comment


    • #3
      Re: pizza

      woow zaberdast thank you

      bohat zaberdast recipe dasi hai aap ne:blush:

      Comment


      • #4
        Re: pizza

        Originally posted by aik_lerki
        wow ..yummy
        mujhy bhe pizza bananay aty hain 2/3 types k
        mai bhe yaha reciepe share kero ge..
        thankx Aanchal :)
        zaror zaror ...ham intazaar karain gay
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: pizza

          Originally posted by sheem
          woow zaberdast thank you

          bohat zaberdast recipe dasi hai aap ne:blush:
          thankyou ..aap bhi share kejey :eye:
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: pizza

            khilayin gi kub asal baat to kerta nahi koi/gussa

            Comment


            • #7
              Re: pizza

              Miss Anchal,
              App tomato katchep ki jaga app tomato suce dalay test acha rahay ga.
              Tomato suce for Pizza:
              Fresh Tomatos ka khub kima mean pest bana lay aur us main salt black peper aur Origano dalay aur mix karlay. lay ji bilkul Italy Pizzay ki terha test na aay to saray paisay wapis.
              ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

              Comment


              • #8
                Re: pizza

                Originally posted by D@y W@lk3r View Post
                Miss Anchal,
                App tomato katchep ki jaga app tomato suce dalay test acha rahay ga.
                Tomato suce for Pizza:
                Fresh Tomatos ka khub kima mean pest bana lay aur us main salt black peper aur Origano dalay aur mix karlay. lay ji bilkul Italy Pizzay ki terha test na aay to saray paisay wapis.
                goodie good

                yani jab ready made tomato paste available na ho to ye zaroor try ker saktey heiN ...:thmbup:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: pizza

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  assalamalikum

                  yeh recipe main nay try ki hove hai aap bhi try kejeye :rose aap bhi pizza ki recipe post kejey aap kis taraha banati hain :)


                  Maida ...................1 cup
                  doodh...................1/3 cup
                  oil.........................1/8 cup
                  baking powder.......1 ts
                  namak..................1/2 ts

                  aap filling key leye tomato ketchup, cheez, shimla mirch,tamatar or kisi bhi cheez say filling karna chaian kar sakti hain :rose

                  Tarkeeb:-
                  maida,doodh,oil,baking powder or namak ko achi taraha mix kar kay gound laian ....agar zarorat parey to thora pani mila sakti hain ......in ko gound kar rooti ki taraha pheela laian .....

                  pher is ki filling karain ....is main tomato ketchup, cheez, or chicken ki chooti bottiyan bhi daal sakti hain , ya peyaaz or tamatar ka paste bhi daal sakti hain ..kuch bhi jo aap ka dil chaye :D: pher oper shimla mirch choti kati hove or tamatar kay qatlay reakhian ...or sab say oper cheez ko pheela kay lagain ....
                  ab isay oven main reakh daian ......425 degree pay 30 min key leye .....(har oven main degree ka hissab different hota hai aap apnay oven maian deekh lejey ga pizza kay leye kitni degree di hove hain ...
                  bas jab bake hoo jaye oven say nikal daian ...or fouran us kay pieces kar laian ..or pher mazaye say kahaian :phool:
                  Bari zabardast recipe hai,bohat asaan.Is mein yeast kiyun nahin dala.Aksar pizza mein yeast bhi lazmi tor per istaimaal hota hai.Is ke baghair to cake aur pizza aik jaisay na ho jain gay?

                  Aik aur baat oven se nikaal kar foran pieces karna kiya zaroori hai?Ham isay freez nahin kar saktay kiya?
                  Mind Sciences

                  Comment


                  • #10
                    Re: pizza

                    Originally posted by zapk7 View Post
                    Bari zabardast recipe hai,bohat asaan.Is mein yeast kiyun nahin dala.Aksar pizza mein yeast bhi lazmi tor per istaimaal hota hai.Is ke baghair to cake aur pizza aik jaisay na ho jain gay?

                    Aik aur baat oven se nikaal kar foran pieces karna kiya zaroori hai?Ham isay freez nahin kar saktay kiya?
                    main nay jahan say deekhi the us main yeast ki jaga bakingpowder use kia gia tha ...yeast use kartay han woh na hoo to bakingpowder...

                    foran pieces say woh cut jaye ga na bad main to akaar jata hai :D ...kabhi bana kay freez kia nahi to is baray main koi info nahi hai :D:
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #11
                      Re: pizza

                      aanchal sis its gr88 and really eazy man, keep it up..:)

                      Comment

                      Working...
                      X