Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shak ....kio kia jata hai ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Shak ....kio kia jata hai ?

    Originally posted by Aanchal View Post
    Assalamalikum GS main to kafi debates chalti rehti hain khawateen section main bhi kuch topics honay chaye na debate walye :D:

    sawal yeh hai kay shuk kio kia jata hai ?
    yeh shak zaidatar friends, or miyan biwi main zaida hota hai ..or jin ki shadiyan honay wali hoti hian un main...

    main aik misaal batatai houn ...aik friend ki jab manganai hovi the to us ka mangater us pay shak karta tha ....us kay messanger ka p/w us kay paas hota tha ..jo bhi Mail ata wo sab parhta tha ......kitnay ajeeb lagtay hian aisay loog :donno:....yeh or baat hai kay us ki shadi us say nahi hovi kisi or say hovi :khi:

    is topic pay baat kartay hain .....Males bhi invite hain is debate main :thmbup:
    Walaikom Assalam... kehtay hain jo shak karta hai woh apnay kirdaar ki khami dosroon mein talash karta hai... aur yeh baat mujhay kafi had tak durust lagti hai..... jahan agla banda hota hi naqabl-e-aitbaar hai tu us per shak kia jata hai... yeh aik alag baat hai... lakin mardoon kay mamlay mein ...main nay yeh dekha hai keh jahan love mariage hoti hai.....(sirf kehnay ki had tak warna love ka tu naam-0-nishaan hi nahin hota) aisay spouse ik dosray per shak kartay hain ......aisay mardoon ki nazar mein un ki wife ki koi izzat nahin hoti....pehlay wife per shak kar kar kay us ka jeena haram kar daitay hain phir baitiyooN ko bhi apnay ataab ka nishana banatay hain....aik larki ki kafi kam umri mein shadi hoi... jab bhi un kay ghar koi mehmaan ata hai us ka husband usay kamray mein band kar daita hai... us ki dressing per bhi shak karta hai... woh bichari maikay mein hi rehti hain.aur us ki aik baiti bhi ho chuki hai......susraal jati hai tu us per doray pernay lagtay hain....aik aur aisay hi sahab hain.....jo baat main nay sab say pehlay ki hai us ki wazeh misaal.....zyada tar yehi dekha hai aisay loag khud corrupt hotay hain..... jab zehen hi acha nahin hota tu kisi aur kay baray mein kaisay sahih soch saktay hain......
    aur un mousof ki khud sakhta pabandiyoon kay bawajoud un ki baitiyaan na sirf affairs mein involve rahin balkay shadiyaan bhi un hi afairs kay nateejay mein hoieN.... waja un ki walda ka un ki tamam harkatoon mein un ka sath daina hai.....so aisa bhi hota hai.......
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #17
      Re: Shak ....kio kia jata hai ?

      Originally posted by lllife View Post
      aitmaad mein le kar shak door kar de ga magar ksii aur baat pe shak karne lage to.kuch log to kisi bhi daleel se satisfied nahin hote.aik baat chodi doosri pe shak karne lag jate hain.unke saath phir kya masla hota hai:donno:
      mere khayal mein to shak woh log karte hain jinhe na khud pena doosron pe yaqeen hota hai.kabhi kabhar shak ho to aur baat jo log har waqt shak karte hain unse to Allah bachae:lahoul
      Aap ki baat sahi he, meri jo jo bivi bhi muj per shak karay gi mein usay goli maar doon ga teddy
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: Shak ....kio kia jata hai ?

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        Aap ki baat sahi he, meri jo jo bivi bhi muj per shak karay gi mein usay goli maar doon ga teddy
        na rahe gi biwi na ho ga shak:lol
        waise kya aapki biwiyon ki bhi iski ijazat ho gi:khi:

        Comment


        • #19
          Re: Shak ....kio kia jata hai ?

          Originally posted by lllife View Post
          na rahe gi biwi na ho ga shak:lol
          waise kya aapki biwiyon ki bhi iski ijazat ho gi:khi:
          Meri biviyon ko aisi ijazat katun nahi milay gi, wo ager chahein to apnay aap ko gooli maar sakti hein 372-scare
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: Shak ....kio kia jata hai ?

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Aap ki baat sahi he, meri jo jo bivi bhi muj per shak karay gi mein usay goli maar doon ga teddy
            aray baba kiyon baad me pachtana hai.........milni bi nae han dobara........jese tese guzara kr lena bas.....
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #21
              Re: Shak ....kio kia jata hai ?

              Originally posted by Aanchal View Post
              Assalamalikum GS main to kafi debates chalti rehti hain khawateen section main bhi kuch topics honay chaye na debate walye :D:

              sawal yeh hai kay shuk kio kia jata hai ?
              yeh shak zaidatar friends, or miyan biwi main zaida hota hai ..or jin ki shadiyan honay wali hoti hian un main...

              main aik misaal batatai houn ...aik friend ki jab manganai hovi the to us ka mangater us pay shak karta tha ....us kay messanger ka p/w us kay paas hota tha ..jo bhi Mail ata wo sab parhta tha ......kitnay ajeeb lagtay hian aisay loog :donno:....yeh or baat hai kay us ki shadi us say nahi hovi kisi or say hovi :khi:

              is topic pay baat kartay hain .....Males bhi invite hain is debate main :thmbup:
              waalikum asslam anchal
              controversial questionn hai.........:D:
              well ....koi b taaluq `etmaad` pe base krta hai...jab taaluq khraab honay lage tou pehli casuality etmaad ka tootna hai.........

              kiyon kiya jata hai....hmmm.....hotay honge kuch complex..........ya phir koi reason b hoti hogi.,...zaahir hai taali ek haath se nae bjti.....haan jo bila waja shak krtay hain......thats sm psycological problems....otherwise if u r fair....then there s no way......to be suspected.
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #22
                Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                اسلام علیکم مخل ہونے پر معذرت خواہ ہوں موضوع ہی اتنا خوب تھا کہ میں یہاں آئے بغیر نہ رہ سکا ۔ ۔ ہاں تو بات ہو رہی تھی شک کی ۔ ۔ شک کے لغوی معنٰی کسی چیز کے ماننے یا قبول کرنے میں تذبذب کی حالت یا عدمِ یقین کا شکار ہونا ہیں اور اس کے فلسفیانہ معنٰی ہیں ایسی کیفیت جس کے حق میں اور جس کی مخالفت میں برابر قرائن یا شہادتیں موجود ہوں یا جس کے جانبیں میں موافق اور مخالف دلائل برابر ہوں یعنی شک وہ ہے جہاں سلب و ایجاب یا وقوع اور عدم وقوع دونوں کا پلہ برابر ہو۔ مری نظر میں کسی بھی مسئلہ میں یا کوئی بھی معاملہ ہو اس میں علم کی ابتداء شک سے ہی ہوتی ہے پھر قرائن کی دلالت سے بات یقین یا عدم یقین میں بدل جاتی ہے ۔ ۔ ۔ایک ہوتا ہے کسی بھی معاملے میں شکوک کا اظہار کرنا تو وہ ایک نیچرل سی بات ہے کہ ہر قضیئے کی ابتداء شک سے ہی ہوا کرتی ہے مگر جب قوی دلائل اثبات میں آجائیں تو حالت شک رفع ہوجاتی ہے ۔ ۔ ۔۔ اور ایک ہوتا ہے شکی المزاج ہونا یہ ایک بالکل ہی الگ معاملہ ہے اور ہماری نظر میں یہ ایک ذہنی خلجان ہے کیونکہ شک انسان کی صلاحیتوں کو ناسور کی طرح کھا جاتا ہے۔ کیونکہ شکی مزاج انسان کہ مزاج میں اسقلال (یعنی مستقل مزاج ہونا) نہیں ہوتا وہ متلون مزاجی کا شکار ہوکر ایک ذہنی مریض کی حیثیت اختیار کر جاتا ہے۔اور ایک سائکو کیس بن جاتا ہے ۔ ۔ ۔
                جب کہ اس کے مقابلے اعتبار کرنا سب سے آسان کام ہے جس کی پختگی کے لیے ہم اندھا اعتماد کہ الفاظ بھی استعمال کرتے ہیں اعتماد لفظوں یا وقوعوں کا محتاج نہیں ہوا کرتا

                اورنہ ہی اعتماد بصارت پر کامل بھروسے کا نام ہے سے بلکہ اعتماد تو بصیرت دل کا نام ہے کہ جس کا حصول دِل کی آنکھ سے ہوتا ہے۔ اعتماد کسی بھی رشتے میں احترام قائم رکھتا ہے اور یہیں سے اعتبار کا آغاز ہوکر بات کامل بھروسے اور پھر اندھے اعتماد کی حدود میں داخل ہوجاتی ہے ۔ ۔ ۔رشتوں کے معاملے میں شک زہر قاتل ہے یہ رشتوں کو کھوکھلا کردیتا ہے اور اس سے رشتے رفتہ رفتہ کمزور پر کر ٹوٹ جاتے ہیں اور بعض دفعہ ٹوٹ کر یوں بکھرتے ہیں کہ پھر سے جڑنے کا کوئی امکان باقی نہیں رہتا ۔ ۔ ۔جو رشتے شکوک کا شکار ہوجائیں وُہ رشتے رشتے نہیں رہا کرتے۔ شوہر اور بیوی کا رشتہ ایک پاکیزہ رشتہ ہے اور اعتماد اس رشتے کی کامیابی کی سب سے پہلی سیڑھی ہے اگر اعتماد ہے تو یہ رشتہ اپنے حُسن کہ جوبن پر پنپتا دکھائی دیتا ہے ۔اور اگر اعتماد نہ ہو تو یہ رشتہ شکستہ حالی کا شکار ہوکر اپنا وقار مجروح کر بیٹھتا ہے ۔ ۔ ۔ اگر باہمی اعتماد کی فضاء قائم نہ ہو تو ماں باپ اولاد پر بھائی بہن پر اور دوست دوست پر بھروسہ کھو بیٹھتے ہیں اور یوں زندگی دقیق ہوکر وبال جان بن جاتی ہے ۔ ۔ ۔
                اب آتے ہیں اس سوال پر کہ انسان شک کیوں کرتا ہے ؟ جیسا کہ ہم پہلے بھی عرض کرچکے کہ مطقا کسی بھی معاملے کو ابتداعا شک کی نگاہوں سے دیکھنا کوئی بُری بات نہیں بلکہ یہ عین انسانی فطرت اور مزاج ہے کہ کوئی بھی وقوعہ یا معاملہ جب تک کھل کر اپنے تمام تر دلائل و شواہد کے ساتھ نکھر کر ہمارے سامنے نہیں آجاتا اس وقت تک اس میں شک کا پہلو نمایاں رہتا ہے ۔ ۔ مثلا ہمیں کوئی اطلاع ملتی ہے کہ فلاں جگہ فلان واقعہ ہوگیا ہے اب سب سے پہلے ہمیں اطلاع دینے والے اس زریعے پر غور کرنا ہوگا اگر تو وہ کسی ایسے میڈیم کے تھرو ہم تک پہنچی کہ جس کی صداقت پر اکثریت رائے کا اتفاق ہے تو ہم بھی ایسے واقعے پر یقین کر لیتے ہیں اورحالت شک سے نکل آتے ہیں مگر تاہم وہ یقین فقط زریعے کی صداقت کے ساتھ لاحق رہتا ہے عین الیقین یا حق الیقین کا درجہ نہیں پاتا ۔ ۔ ۔ ۔اسی طرح جب کوئی خبر ہم کسی ایسے اخبار میں پڑھتے ہیں کہ جس نام صداقت کہ حوالے سے زیادہ معروف نہیں ہوتا تو اس خبر کی صداقت پر یقین کرنے یا نہ کرنے پر ہم شکوک کا شکار ہوجاتے ہیں کہ اخبارات میں عموما کسی بھی خبر کی تصدیق کا پورا پورا انتظام نہیں کیا جاتا ۔ ۔ ۔ ۔یہ تو ہوگئیں فطری شک کی مثالیں اب بات کرتے ہیں باہمی رشتوں میں شک کی فضاء پر ۔ ۔ ۔
                مردوں کہ مقابلے عورتیں فطرتا زیادہ شکی المزاج ہوتی ہیں اور اسکی کئی وجوہات ہیں اس میں سب سے زیادہ عنصر جو کار فرما ہے وہ ہے عورت کی تخلیق . . . کہ عورت اپنی فطری تخلیق کہ باعث اثر پذیری کا شکار ہوتی ہے لہزا دلائل و قرائن تک مناسب رسائی کا بندوبست نہ ہونے کی وجہ سے عورتیں عموما شک کا شکار ہوجایا کرتی ہیں لیکن مردوں کہ مقابلے میں عورتوں کا شک بڑی آسانی سے رفع کیا جاسکتا ہے جب کہ اگر کوئی مرد شک کی بیماری میں مبتلا ہوجائے تو یہ بڑا سنگین ہوتا ہے اور عموما رشتوں کہ ٹوٹنے کا باعث بھی مرد کا شک بنتا ہے ۔ ۔ ۔ حیرت کی بات ہے کہ دلائل و شواہد تک مؤثر رسائی کا حصول رکھنے کہ باوجود مردوں کا شک دور کرنا اتنا ہی مشکل کام ہوتا ہے ۔ ۔ ۔ ۔المختصر یہ کہ رشتوں میں کہ درمیان شک کی ابتداء کبھی بھی سازگار نہیں ہوا کرتی اور اس کا آغاز اگرچہ فطری طور پر کسی بھی واقعے سے ہوسکتا ہے مگر انجام اکثر خیر نہیں ہوا کرتا ۔ ۔ ۔ ۔

                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #23
                  Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                  shak insaanii fitrat hai aur iske fawaid kia hii hoNge magar nuqsaanaat to ham har roz dekhte haiN...shak kii binaa par do insaan aapas meN, do qaumeN ek dusre par aur do mulk ek dusre par Hamla aawar ho kar chaRh aate haiN. qatl o Gharat_garii aur Khoon Kharaaba tak baat barh jaatii hai :(

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment


                  • #24
                    Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                    Originally posted by SherAli View Post
                    shak insaanii fitrat hai aur iske fawaid kia hii hoNge magar nuqsaanaat to ham har roz dekhte haiN...shak kii binaa par do insaan aapas meN, do qaumeN ek dusre par aur do mulk ek dusre par Hamla aawar ho kar chaRh aate haiN. qatl o Gharat_garii aur Khoon Kharaaba tak baat barh jaatii hai :(
                    bilkul theek magar hajoor yahaan sawal faiday ya nuqsaan ka naheen poucha gaya balk shuk kin wajohaat ki bina per hota hy us se behas matloob hy kaya hi acha ho k aap bhi is per roshni daleen
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment


                    • #25
                      Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                      Originally posted by aabi2cool View Post
                      bilkul theek magar hajoor yahaan sawal faiday ya nuqsaan ka naheen poucha gaya balk shuk kin wajohaat ki bina per hota hy us se behas matloob hy kaya hi acha ho k aap bhi is per roshni daleen

                      oops! maiN to asl sawaal hii miss ke chakkaroN meN MISS kar gayaa 372-haha ji hajoor...kiuN nahiiN! insha Allah bil_zaroor!!! :
                      )

                      Fall view from inside my car
                      near my work place :)

                      Comment


                      • #26
                        Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        Assalamalikum GS main to kafi debates chalti rehti hain khawateen section main bhi kuch topics honay chaye na debate walye :D:

                        sawal yeh hai kay shuk kio kia jata hai ?
                        yeh shak zaidatar friends, or miyan biwi main zaida hota hai ..or jin ki shadiyan honay wali hoti hian un main...

                        main aik misaal batatai houn ...aik friend ki jab manganai hovi the to us ka mangater us pay shak karta tha ....us kay messanger ka p/w us kay paas hota tha ..jo bhi Mail ata wo sab parhta tha ......kitnay ajeeb lagtay hian aisay loog :donno:....yeh or baat hai kay us ki shadi us say nahi hovi kisi or say hovi :khi:

                        is topic pay baat kartay hain .....Males bhi invite hain is debate main :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                          bibi aap se ye kis nay poucha k jo aap per shuk karay aap us k k baray main kaya souchti hain ya kaya fesla kareen gi balk sawal ye hy k shuk kiya kion jata hy is ka jawab deen ghussa choreen aap bohat achi hain hameen pata hy seedhay seedhay sawal ka jawab deen:khi:
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment


                          • #28
                            Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            bibi aap se ye kis nay poucha k jo aap per shuk karay aap us k k baray main kaya souchti hain ya kaya fesla kareen gi balk sawal ye hy k shuk kiya kion jata hy is ka jawab deen ghussa choreen aap bohat achi hain hameen pata hy seedhay seedhay sawal ka jawab deen:khi:
                            wahi sumjhaya hai... khair aap ke liye or tafseel se...
                            Last edited by ummid; 6 November 2008, 21:56.

                            Comment


                            • #29
                              Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                              Originally posted by ummid View Post
                              wahi sumjhaya hai... khair aap ke liye or tafseel se...
                              Shak is liye kiya jata hai coz hum aise cheap logo ki baato ko aihmyat dete hain
                              372-haha372-haha372-hahasawal gandum jawab chana372-haha
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment


                              • #30
                                Re: Shak ....kio kia jata hai ?

                                Originally posted by Aanchal View Post
                                Assalamalikum GS main to kafi debates chalti rehti hain khawateen section main bhi kuch topics honay chaye na debate walye :D:

                                sawal yeh hai kay shuk kio kia jata hai ?
                                yeh shak zaidatar friends, or miyan biwi main zaida hota hai ..or jin ki shadiyan honay wali hoti hian un main...

                                main aik misaal batatai houn ...aik friend ki jab manganai hovi the to us ka mangater us pay shak karta tha ....us kay messanger ka p/w us kay paas hota tha ..jo bhi Mail ata wo sab parhta tha ......kitnay ajeeb lagtay hian aisay loog :donno:....yeh or baat hai kay us ki shadi us say nahi hovi kisi or say hovi :khi:

                                is topic pay baat kartay hain .....Males bhi invite hain is debate main :thmbup:
                                Walaikum Salaam

                                Us ka mangater sahi us per shak karta tha, jabhi to uski mangater ki shadi usi se hui jis ki mails aati hon gi :khi:

                                Comment

                                Working...
                                X