Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kitchen Aur Aap

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kitchen Aur Aap

    ASSLAMOALIKUM HAMJOLIYO.....teddy

    AAP K LIYE EK SWAAL NAMA LEKR HAZIR HUI HUN.......JO EK RISALAY ME SE LIYE GYE HAN..HAAL HI ME YEH SILSILA SHURU HUA THAA..MUJE SWAAL ACHAAY LAGAY...SOCHAA KIYON NA AAP KA IMTIHAAN LIYA JAYE....AAP JAWAB DENE K LIYE TYARI KR LAIN....APP ME SE JO KHUD COOKING NA KRTIN....WO THORRI BOHAT TARMEEM K SATH JAWAAB DE SKTI HAN.:rose
    1. khana pakatay waqt aap kin baton ka khyaal rakhti han....pasand na pasand,gazaaiyat,ghar walo ki sehat?
    2. ghar me mehmaan agye han....achanak....khanay ka waqt hai....aap fori tor pe kya banayen gi....recipe share kijiye if possible.
    3. subha ka nashta bohat ahmiat rakhta hai...aap nashtay me kiya banati han?
    4. ghar se bahir khana fashion hai/banta ja raha hai....aap mahinay me kitni baar bahir khana khati han/koi le jaye/birthday pr/kisi khushi k moqa pr?
    5. cooking krtay hue yani dish ka intikhaab krtay hue,mosam ko mad e nazar rakhti han....?
    6. acha pakanay k liye kitni mehnat ki qayal han?
    7. kitchen ki koi tip share kijiye.....:rose
    Attached Files
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: Kitchen Aur Aap

    :fuming::fuming::fuming::fuming::fuming:

    main ne apna reply likh kar submita kiya hi k kehne lage k aap log out ho chuke hain.yeh kya haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

    Comment


    • #3
      Re: Kitchen Aur Aap

      waleikum assalam :phool:
      acha sawaal naama hai.main cooking itni achi nahin karti haan kuch arse se bohot shoq peda hua hai.ab bismillah ka rk phir shuru karti hoon pehle hi mere saath bohot na insafi hui hai:fuming:

      1. khana pkanate waqt pasand ka khayal to rakhna padta hai.warna aap kuch banao dil laga k aur agle ko woh cheez pasand hi na ho to pakane ka faeda khana banate waqt uski shakal na bigde iska bhi khayal rakhti hoon.aur ghar walon ki sehatttt to iska itna khayal nahin rakhti :embarassekhana banate waqt safai ka khayal bhi rakhti hoon k zeyada gand na pade.saath saath cheezen samet k barton dho deti hoon.

      2. yahan mehman bager batae nahin aate.pehle fone kar dete hain kabhi to 2,3 din pehle hi kar dete hain k hum aayen ge.phir bhi shaami ya chicken kebab to freezer mein hote hain sath chawal banao aur raeta salad.meethe mein laziza ki ras malai zinda baad372-haha kabhi chart bana leti hoon ya macaronis.yeh mujhe bohot pasand hain aur zeyada se zeyada aadha pon ghanta lagta hai.aik moj yeh hai k gosht ki dukan paas hi hai 5 min lagte hain jo lana ho le aate hain.to macaronis ubaalo aur saath mein qeema bhoon k tomato sauce daal k bana lo.iske ilawa boneless chicken lao aur mix sabziyan hoti hain woh bhi freezer mein rakhti hain ammi.to dono cheezon ko ubaal kar peyaz fry karen nimak,kaali mirchen aur soya sauce daal kar bana len.aik masla hai k main aur ammi hoti hain to aik ko kitchen mein rehna padta hai aur aik ko mehmano k paas.

      3. subha ka nashta humare haan bohot kam log karte hain.juice pee liya aur bas khane tak aise hi.aur main nashte mein roz aik hi cheez nahin khati.kabhi parathe bana liye mood ho to aalu ya qeeme k bana leti hoon.kabhi bread to kabhi bakery se kuch le aaye.french toast bohot pasand hain woh banati hoon.

      4. ghar se bahir khana:yy: ghar mangwa lete hain ghar hi khate hain.waise bhi yahan restaurants ka khana itna khaas nahin hota siwae pizza k.aur wahan Pakistani restaurants mein ja k khana acha bhi nahin lagta:embarasse

      5. itna khaas nahin.haan mosam acha ho to dil karta hai.halwa banwa leti hoon ammi se :khi:aur baaqi samose pakode jaisi cheezen mujhe khud banane ka shoq hai woh banati hoon aur chae k saath phir bohot acha lagta hai.

      6. acha pakane k liye mehnat to karni padti hai.magar zeyada zaroori shaed dil se pakana hota hai.dil laga k shoq se banaen ge to bohot acha bane ga.warna to magrun lane wali baat ho jati hai.


      hmmm tips kuch itni khaas to nahin hain:embarasse

      fish ki smell door karne k liye use aata laga k rakh den.lehsan bager cheele pees kar laga len.aur dho len to uski smell khatam ho jati hai.
      zarda wagera banane k liye badaam bhago k rakh dete hain na.agar jaldi mein banana ho to badaam pani mein daal kar kuch der choolhe pe rakhen to uska chilka asani se utar jaye ga.
      aur aik baat jo mere saath bohot hoti hai k kitchen mein kaam karte haath jal jata hai.to main us pe kuch aur nahin lagati.namak mal leti hoon to theek ho jata hai:D
      khane mein namak zeyada ho jaye to aate ki choti choti gol goliyan bana kar daalen 5,10 min baad nikaal len to namak kam ho jata hai.
      aur aik yeh meri ammi kehti hain k lehsan aur peyaz kaatne k baad boo na jaye to churi dhote waqt jahan se kaatte hain us pe haath pher k dhone se boo khatam ho jati hai.yeh mujhe to kabhi ewen hi lagta hai magar socha share kar doon:khi:

      main pass ho gayi k nahin sarah ji???372-scare
      Last edited by lllife; 13 October 2008, 20:32.

      Comment


      • #4
        Re: Kitchen Aur Aap

        Originally posted by lllife View Post
        :fuming::fuming::fuming::fuming::fuming:

        main ne apna reply likh kar submita kiya hi k kehne lage k aap log out ho chuke hain.yeh kya haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
        haaaye ALLAH ji.....inna gussa372-shock.....sonhyo naraaz kyo honday o..teddy..o saadhi aawa jaawi te laggi rehndi e....
        te hun v assin jaan walay haan....wapis parat k fir twada jawaab prrnay haan....:eye::eye::eye::eye:
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #5
          Re: Kitchen Aur Aap

          Originally posted by saraah View Post
          ASSLAMOALIKUM HAMJOLIYO.....teddy


          walikumsalam teddy
          1. khana pakatay waqt aap kin baton ka khyaal rakhti han....pasand na pasand,gazaaiyat,ghar walo ki sehat?



            in sab cheezoo ka khayal rekhna parta hai :D:
          2. ghar me mehmaan agye han....achanak....khanay ka waqt hai....aap fori tor pe kya banayen gi....recipe share kijiye if possible.

            yeh to depend karta hai kay wo time lunch ka hai ya dinner ka ..ya in donoo kay beech ka koi time :D or kitni dair ko beethian gay ?....main chaai banaoo gee....sath main biscuit day doun gee :khi: ...or jitni dair ko ruknay ka irada hai usi hiisab say time wali dishes banian gay ...chicken jaldi ban jati hai vohi banoun gee ..or meethay main custurd .....

          3. subha ka nashta bohat ahmiat rakhta hai...aap nashtay me kiya banati han?

            main kuch nahi banati , jab main uthi houn banaya banaya khati houn :D
          4. ghar se bahir khana fashion hai/banta ja raha hai....aap mahinay me kitni baar bahir khana khati han/koi le jaye/birthday pr/kisi khushi k moqa pr?

            haftay main 1,2 baar to kha leytay hian ...pizza, kfc waghera ya kisi achay say hotel ki koi dish ..etc etc
          5. cooking krtay hue yani dish ka intikhaab krtay hue,mosam ko mad e nazar rakhti han....?

            yep ..yeh to must hota hai ... sakhat garmi main koi garam or heavy dish aap nahi serve kar saktay :D:
          6. acha pakanay k liye kitni mehnat ki qayal han?
            jitna experience hoo ga khana utni jaldi ban jaye ga ..
          7. kitchen ki koi tip share kijiye.....:rose

            tips to buhat hain kitchen ki safaai ki bataoun ya kahanay banatay waqat ki koi tip ?
          :gp:
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: Kitchen Aur Aap

            Originally posted by Aanchal View Post
            :gp:

            where is ur answer..........372-shed
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #7
              Re: Kitchen Aur Aap

              Originally posted by saraah View Post
              where is ur answer..........372-shed
              main answer post kar chuki houn :oho:
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: Kitchen Aur Aap


                ASSLAMOALIKUM HAMJOLIYO.....teddy




                1-khana pakatay waqt aap kin baton ka khyaal rakhti han....pasand na pasand,gazaaiyat,ghar walo ki sehat?
                Wa alaikum salam Saraah:)
                aysi dish select karti hoon jo jald tayyaar ho jaay.kiun k kabhi kabhi cooking ka shooq payda hota hay baaqi bas duty nibhaani hoti hay372-haha.
                baaqi teenoo cheezoon ka khayaal rakhti hoon,pasand , gazaiyat, sehat.(agar koi paycheeda dish ki farmaish karay to ussay goal kr jaati hoon372-haha


                2-ghar me mehmaan agye han....achanak....khanay ka waqt hai....aap fori tor pe kya banayen gi....recipe share kijiye if possible.
                mehmaan hamaysha bata k aatay hien....agar bin bataay bhi aa jaien to chai aur biscuit haazir hien...saath french fries, agar kabaab freez hien to woh bhi chalien gay.....agar sirf drink par guzaara chal jaay to bhi kuchh buri baat nahi hay.:D
                khaanay mien agar boht jald tayyar karna hay to chicken ki koi dish aur saath fried rice.....aur agar chicken nahi hay to anday ka qoorma ya phir anday magaz k style mien bana k paysh kar doon gi...kahani khatam.

                Recipe:

                4 eggs mien 1/2 cup milk ya iss say zara kam..add kar k beat kar lien....halka sa namak bhi daal lien.

                normal haandi ka masaala tayyaar karien.....(tamaatar naram hoon magar ghulnay nah dien).....baaqi masaala jaat jaysay garam masaala namak mirch red green black,aur gosht k masaalay bhi add kar lien..

                ab is mien eggs waala mixture shaamil kr lien.foran hilaana nahi hay.neechay say halka sa pak jaay to hilaaien.khyaal rakhien k boht mix sa texture na banay.egg k piece thoraay mootay mootay say rahien.
                aur tayyar.
                iski shakal magaz masaalay k jaysi hoti hay aur daykhnay say pata nahi chalta k eggs ki dish hay.:)

                subha ka nashta bohat ahmiat rakhta hai...aap nashtay me kiya banati han?
                bread slice with fried egg or omlate or jam. sometimes praatha makhan maar k :D:

                ghar se bahir khana fashion hai/banta ja raha hai....aap mahinay me kitni baar bahir khana khati han/koi le jaye/birthday pr/kisi khushi k moqa pr?
                maheenay mien aik chakkar to lag hee jaata hy.shooq bhi hay hoteling ka magar mooqa kam milta hay aur wqt bhi.

                cooking krtay hue yani dish ka intikhaab krtay hue,mosam ko mad e nazar rakhti han....?
                ji its very important.mosam ka khiyaal to boht ehm hy jaysay shadeed garmi mien mien ny chicken jinjer nhi banaya:embarasse

                acha pakanay k liye kitni mehnat ki qayal han?
                mehnat say zayaada shooq aur tajarbay ki zaroorat hy:)

                kitchen ki koi tip share kijiye.....:rose
                baaqi tips to chalti hi rehti hien magar kitchen mien apron pehn'na aur dopatta nah oorhna boht zaroori hy aur stove say zara hut k kharay hoon....aag say bachh k

                Comment


                • #9
                  Re: Kitchen Aur Aap

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  main answer post kar chuki houn :oho:

                  ohooooooooooo.......:embarasse
                  wo bas meri matt maari gyi thi.........me jald hi apnay answer k sath aaoon gi......:insha:
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kitchen Aur Aap

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    main answer post kar chuki houn :oho:
                    :lol main bhi aise hi answer dene lagi thi phir hua hi nahin.

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kitchen Aur Aap

                      Originally posted by lllife View Post
                      :fuming::fuming::fuming::fuming::fuming:

                      main ne apna reply likh kar submita kiya hi k kehne lage k aap log out ho chuke hain.yeh kya haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
                      aray yaar.............buri hui mere sath..........itnay payaar se......itnay armaano se me ne abhi aap k reply pe reply krna chaha......bt jb submitt krna chaha............matt poocho kiya hua......
                      ab baad me sahi...........teddy
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kitchen Aur Aap

                        Originally posted by saraah View Post
                        aray yaar.............buri hui mere sath..........itnay payaar se......itnay armaano se me ne abhi aap k reply pe reply krna chaha......bt jb submitt krna chaha............matt poocho kiya hua......
                        ab baad me sahi...........teddy
                        :tasali: chalen koi baat nahin.mere saath bhi aise hua tha balke hota hai.kyun k aaj kal kuch zeyada hi ho raha hai
                        pata nahin kya masla hai 2,3 reply karo aur kuch der thehro to agle reply pe log out ho chuke hte hain.yani k reply kar aur darya mein daal :khi:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kitchen Aur Aap

                          Originally posted by lllife View Post
                          :tasali: chalen koi baat nahin.mere saath bhi aise hua tha balke hota hai.kyun k aaj kal kuch zeyada hi ho raha hai
                          pata nahin kya masla hai 2,3 reply karo aur kuch der thehro to agle reply pe log out ho chuke hte hain.yani k reply kar aur darya mein daal :khi:

                          haan exactly esa hua mere sath:D:.....dal topu gya drya me........bt aapka hisaab barabar hogya.....:khi:
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #14
                            Re: Kitchen Aur Aap

                            Originally posted by saraah View Post
                            haan exactly esa hua mere sath:D:.....dal topu gya drya me........bt aapka hisaab barabar hogya.....:khi:
                            magar main ne phir reply bhi to kar diya tha na :embarasse

                            Comment

                            Working...
                            X