Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

women of 21st century

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • women of 21st century

    Aik khatoon ka kehna hai key 21st century ki Aurat ki zindagi ziada mushkil ho gai hai ba nisbat peechli sedyon ki Khataween sey...
    un ka kehna hai
    "Aaj ki aik Aurat ko aik best uni sey perha hua bhi hona cahiye , aik acha profession bhi hona chahiye, aik best mother, aik behtarreeen wife, good looking, apney aap ko uptodate bhi rakhna hai, saara din unchi heels mey ghoomna koi asaan kaam hota hai kya?'

    in sab kaamon key sath kya aap samjhtey hein key ye itna asaan hai kerna?"

    aap kya kehtey hein
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: women of 21st century

    Originally posted by barg.e.gul

    Gul aap ne aik boht acha mozoo chuna hey....aur yeh bat 100% drust hey k aaj ki aurat ki zindagi boht mushkil ho gai hey......Iss ki wajah aaj ki taiz raftaar zindagi hi nhi balkeh insan ki peda kerdah boht see jayez aur na jayez zarooraiyaat bhi hein.
    Taleem yafta hona zindagi ko sanwar deta hey.......bashertay k uss taleem ko drust treeqay se tasarruf mein laya jaye...... Jahan tak PROFESSION ki bat aati hey to yeh demand sirf uss tabqay mein hoti hey jahan tasannoh aur banawat ki zindagi guzari jati hey, jhooti shaan ko a'alah society ka hissa tasawwur kiya jata hey.......jahan sirf aik doosray se aagay barhnay k liye har trah k treeqay istemal kiye jatay hein,jahan aurat ko business parties mein decoration piece ki trah use kiya jata hey sirf yeh dikhanay k liye k humari begum sub se zayada khoobsurat hein......
    Taleem yafta ho ker apni muasherti aur islami qadron ka pass kerna aik alag bat hey, yeh humaray han mutwassat tabqay ki khasiyat samjhi jati hey, jahan aurat ko sirf iss liye taleem k zever se araasta nhi kia jata k wo susral ja ker job hi karay gi, balkeh ussay iss taleem ko zindagi k har moamlay mein rahber bnana hota hey, iss se ussay doosron ki izzat e nafs ka pass rehta hey, bachon ki deeger zarooriyat k sath unn ki nafsyati zarooraton ko bhi samjhnay mein maded milti hey.....ghar ko sahee treeqay se chlaanay mein bhi taleem uss ki rehnumai kerti hey.....Al gharz k zindagi ka koi bhi rishta ho woh unn rishton ki qader janay gi.........apnay frayez nah sirf bakhoobi ada karay gi balkeh apnay haqooq k liye bhi zuban kholay gi..............iss liye zaroori nhi hey k aik larki kisi achi university se hi parh ker taleem yafta kehlati hey..........humaray han boht se deeni idaray bhi hein jahan Islamic Education nah sirf kitabi taur per di jati hey balkeh uss k aik aik nuktay ko amli zindagi mein istemal kernay k gur bhi btaye jatay hein......Good looking ki bat per mera point of view zara mukhtalif hey.....agar farz karein k larki ne masters ker rakha hey, behadd khoobsurat bhi hey, up to date bhi rehti hey lekin ghar k kamon se dooor bhagti hey k iss se uss k hath khrab ho jayein gay, uss ka husn mandd parr jaye ga, baqi logon ko jahel samjhti hey, bachon ko doodh iss liye pilati k uss ki figure khrab ho jaye gi to...........meray khyal mein to aisi larrki khoobsurat kehlani ki bilkul bhi haqdar nhi hey.........Aur jahan tak oonchi heel mein ghoomnay ka taluq hey again yeh humari apni peda kerdah museebatein hein jinhein hum fasion ka nam de detay hein.
    bass yehi kahoon gi k zindagi itni mushkil nhi hey jitni hum logon ne khud bana lee hey. Ager hum apni maadi zarooraton ko kum ker lein to mein samjhti hoon k 21ween sadi ki zindagi bhi utni asaan hey jitni pehlay zamanay mein rahi ho gi.

    Comment

    • #3
      Re: women of 21st century

      Originally posted by Muskan

      buhat khoob Muskan sis....:thmbup:
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment

      • #4
        Re: women of 21st century

        Originally posted by Hala
        buhat khoob Muskan sis....:thmbup:

        Thanx Hala Dear:khi:

        Comment

        • #5
          Re: women of 21st century

          Asslam-o-alikum WR WB

          Mashaalh Muskan ji ! bhot umda aap ny apnay khyalo ka izhar kya

          FeaamnAllah
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

          Comment

          • #6
            Re: women of 21st century

            Muskan mujhey aap ki saari baaton sey iteyfaaq hai

            ......... zindagi itni mushkil nhi hey jitni hum logon ne khud bana lee hey.
            mey aik aur sawal poochna chahun gi

            in hum logon mey kaun log aatey hein

            *khawateen khud

            *Mard hazraat

            *hamara Muashra (is sense mey key aik muashrey ki apni kuch demands hoti hain, mujhey nahi pata how put this q about Muashra,... meyra khayal hai aap samjh gai hon gi ??)
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #7
              Re: women of 21st century

              Originally posted by barg.e.gul
              Muskan mujhey aap ki saari baaton sey iteyfaaq hai

              mey aik aur sawal poochna chahun gi

              in hum logon mey kaun log aatey hein

              *khawateen khud

              *Mard hazraat

              *hamara Muashra (is sense mey key aik muashrey ki apni kuch demands hoti hain, mujhey nahi pata how put this q about Muashra,... meyra khayal hai aap samjh gai hon gi ??)

              Gul aik mard aur aurat mil ker aik ghar bnatay hein, ghar mil ker mohallay, bastiyan, sheher aur phir mulk ban jatay hein..........iss ki akaai kia hey mard aur aurat.......mein ne kabhi yeh nhi kaha k flaan ya flaan.......humesha hum ka lafz istemal kerti hoon jis mein mein khud ko bhi shamil kerti hoon......kiyun k har fard mil ker aik muashray ki shakl ikhtiyar kerta hey........issi liye hum kisi fard e wahid ko ilzam nhi de sktay k uss ki wajah se aisa ho raha hey.

              Comment

              Working...
              X