Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eid ki kharidari?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Eid ki kharidari?

    Eid ki kharidari main kon kon masroof hai kia aap nain koch kharidari ki k nain?:)

  • #2
    Re: Eid ki kharidari?

    main nay abhi tak nahi ki :donno:
    abhi mood bhi nahi hai kuch leenay ko :)

    last week main karoun gee shopping :lpop:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Eid ki kharidari?

      Mai to jate he nahe ..:D Mamma keray ge abhe tak to koi khas nahe keree..Aik suit liya hai abhe tak tou..green color ka us per white moti sy halka sa kaam hoa wa hai ..

      Comment


      • #4
        Re: Eid ki kharidari?

        Assalaam o alekum,


        Main yeh to nahin kahoongaa ke aap EID ke liye kuch bhi naa khareedien :( haan itnaa zaroor kahoongaa ke ager aap nien 4 suit khareednaa hai to sirf 2 khareedien baaki do ke paise apnien un mazhabi bhai bahenoon ke liye bhej dien jo zalzale mien tabaah o berbaad huve hain aisa kernien se humaare pass koee kami nahin per jaayegi kaproon ki mager haan un museebat zadah deeni bhaiyoon /behnoon ki kuch to madat zaroor ho jaayegi khush rahien
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment


        • #5
          Re: Eid ki kharidari?

          AOA,

          Main soch raha hoon k muje kon lai kar de ga


          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment


          • #6
            Re: Eid ki kharidari?

            Originally posted by khurram_shaikh
            Assalaam o alekum,


            Main yeh to nahin kahoongaa ke aap EID ke liye kuch bhi naa khareedien :( haan itnaa zaroor kahoongaa ke ager aap nien 4 suit khareednaa hai to sirf 2 khareedien baaki do ke paise apnien un mazhabi bhai bahenoon ke liye bhej dien jo zalzale mien tabaah o berbaad huve hain aisa kernien se humaare pass koee kami nahin per jaayegi kaproon ki mager haan un museebat zadah deeni bhaiyoon /behnoon ki kuch to madat zaroor ho jaayegi khush rahien

            bohat khoob khurram!:clap:
            waah
            kya khuub baat ki hay.kaashhhh parhnay walay is par amal kar leiN.
            maiN ne koee khareedari naheeN kii aur na hi irada hay.

            Comment


            • #7
              Re: Eid ki kharidari?

              umm khurram bhaii aapki bat sy 100% agree hon main abhe ek thread start kerny he wale the is per..
              ager hum apne khushyon main un ko bhol ja'ay to yay sahe nahe hoga..ager hum apni tayare main thore kami ker lain gay aur un ko bhajwa dain gay paisy to unki thore se madad he ho ja'ay ge.

              Comment


              • #8
                Re: Eid ki kharidari?

                billllllkulllllllllll:) :rose

                Comment


                • #9
                  Re: Eid ki kharidari?

                  Originally posted by khurram_shaikh
                  Assalaam o alekum,


                  Main yeh to nahin kahoongaa ke aap EID ke liye kuch bhi naa khareedien :( haan itnaa zaroor kahoongaa ke ager aap nien 4 suit khareednaa hai to sirf 2 khareedien baaki do ke paise apnien un mazhabi bhai bahenoon ke liye bhej dien jo zalzale mien tabaah o berbaad huve hain aisa kernien se humaare pass koee kami nahin per jaayegi kaproon ki mager haan un museebat zadah deeni bhaiyoon /behnoon ki kuch to madat zaroor ho jaayegi khush rahien
                  ji eid manaian zaror maian or sath sath apnay un behan bahoun ko bhi shareek karain jo zalzalye say mutasar hovey hain ...ham sab sath hain :thmbup: :rose
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #10
                    Re: Eid ki kharidari?

                    eid ka matlab he khushi or jis dukh se hmare bhen bhai is waqt guzar rahe hen wahan to eid ka lafz hi dukhi kar jata he:( jab un bachon ko dekhti hun jo shaheed ho gaey,ya shadeed zakhmi hen or wo bache jin ke parents hi nhai rahe ab to dil khoon ke ansoo rota he ese me eid ka kia tasawur:(

                    Comment


                    • #11
                      Re: Eid ki kharidari?

                      nahi maine nahi ki hai abhi aur karne ko b dil nahi kar raha aab tu

                      Comment

                      Working...
                      X