Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Shopping
Collapse
X
-
Re: Shopping
mujhe shoping ka bohat zeada shok nahi he bas kabhi kabhi jati hon mujhe bazar ki bheer bhar pasand nahi to me koshish karti hon k jab kafi sari cheezen kharidne wali ho jaen to aik hi baar jaon or phir next kai sara time relax:D:
-
Re: Shopping
Originally posted by hamzad View Postmujhe shoping ka bohat zeada shok nahi he bas kabhi kabhi jati hon mujhe bazar ki bheer bhar pasand nahi to me koshish karti hon k jab kafi sari cheezen kharidne wali ho jaen to aik hi baar jaon or phir next kai sara time relax:D:
aur bazaar ja ker sirf apni list ki cheezeiN leyti ho ya aur bhi kuch ley leyti ho :P" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
-
-
-
Re: Shopping
Bohot acha topic start kea hai xenya.....
shopping karnay ka tu bohot shoq hai.....bt kosish karti ho kay sirf zaroorat ke he cheezein loo...extra kuch nahi.....bt akser dresses, rings and shoes......jitna bhi lay lo lagta hai bohot kam hai.......:khi:
har month tu shopping nahi karti........bt kafi months kay baad he bazar jaati ho jab kafi chezein laini ho........
mairi fav place shopping kay lea festival hai.....ye yearly one months kay lea lagta hai........yahan jitni baar bhi jao, shopping karnay ka maza aata hai......:D:sigpic
Comment
-
Re: Shopping
Originally posted by raafi View Posti think i am shopaholic... i am really crazy in shopping.... mostly mein kapray aur shoes khareedta hoon.... aur ghar walon ki shopping karnay mein me enjoy karta hai....
aur larkoN ki waisey bhi larkoN key liye shopping kerney ko do hi cheezein hoti hein kaprey aur shoes :D
Originally posted by Wafa View PostBohot acha topic start kea hai xenya.....
shopping karnay ka tu bohot shoq hai.....bt kosish karti ho kay sirf zaroorat ke he cheezein loo...extra kuch nahi.....bt akser dresses, rings and shoes......jitna bhi lay lo lagta hai bohot kam hai.......:khi:
har month tu shopping nahi karti........bt kafi months kay baad he bazar jaati ho jab kafi chezein laini ho........
mairi fav place shopping kay lea festival hai.....ye yearly one months kay lea lagta hai........yahan jitni baar bhi jao, shopping karnay ka maza aata hai......:D:
etc etc" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Shopping
Originally posted by Xenya View Post
cool .... mey ney bohot suna hai dubai festival key baarey mey tum thora sa hamein iss key baarey mey batao gi? key kaisey sab organise hota hai aur iss festival mey kya kya hota hai? kya log bahar sey bhi deykhney aatey heiN?
etc etc
yahan kafi tourists aatay hein....kaafi loog tu sirf festival dekhnay aatay hein....so its beautiful....tum bhi aana, kisi bahanay u say mil loon gi......:D
rides section bhi hota hai.......jahan har waqt boht rash......:khi:Last edited by Wafa; 6 February 2008, 01:25.sigpic
Comment
-
Re: Shopping
Originally posted by Xenya View Postgoodie good
aur larkoN ki waisey bhi larkoN key liye shopping kerney ko do hi cheezein hoti hein kaprey aur shoes :D
cool .... mey ney bohot suna hai dubai festival key baarey mey tum thora sa hamein iss key baarey mey batao gi? key kaisey sab organise hota hai aur iss festival mey kya kya hota hai? kya log bahar sey bhi deykhney aatey heiN?
etc etc
Comment
-
Re: Shopping
I don't like doing shopping at all, mujhe pakistan ke bazaron ke rush say bohat uljhan hoti hai, so mein nahi jati thi, ab Canada mein ayey huey almost 4 years honey ko hein, yahan per shopping maal ghar say 2 minutes ki douri per hai, jahan say sab kuch easily mil jata hai, lekin mein phir bhi nahi jati, jab pakistan mein thi tou meri dado aman he shopping kerti thi meri, aur abhi bhi ker rahi hein, kyon ke Abu Jaan pakistan gayey huey hein, so wahan say he kaprey layen gey, mein kameez shalwar ke ilawa aur koi dress nahi pehnti, so woh basically pakistan say mangwati hoon, yahan per jewllery pehnnney ke liye koi khas occassion tou hoti nahi hein, so woh mein ziada pehnti he nahi hoon, chodiyan mujhe bohat achi lagti hein, bus collect kerna, pehnti woh bhi eid per hoon ya phir kabhi school mein jab world fair hota hai tab. cosmetics ka mujhe shoq nahi hai, so nothing about it.
that's basically, how I would define shopping:)
Comment
Comment