Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hijab!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hijab!!

    Asalam alaikum

    Iss baar ka hamara topic hai Hijab aur sawal hai key "Kya aap ke khayal mey maujooda daur mey aik larki ki tarraqi mey Hijab aik rukawat hai" ?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Hijab!!

    W Salam Mujhe Bohot Ache Alfaz Mein To Nahi Ata Hai Sada Se Lafzon Mein Jawab Deti Hoon
    Tarraqi Ki Rah Mein Hijab Koi Rukawat Nahi Hai...
    Ye Apni Apni Soch Ki Baat Hoti Hai Ke Hum Apne Appko Us Terha Dhaal Lete Hai Jaise Log Chahte Hai...
    Lekin Jin Logo Mein Salahiyatein Hoti Hai Wo Apna App Hijab Mein Bhi Manwa Lete Hai...

    Comment

    • #3
      Re: Hijab!!

      Originally posted by Xenya View Post

      hargiz nahi

      Comment

      • #4

        i am not getting one thing that Allah Taala has clearly given the orders oh hijaab then why r we people discussing the issue of taking hijaab or not ?? sorry for being so blunt and rude but i think there should not be any confusion in taking hijaab... the problems is yes hijaab is a hurdle in women's life but how can we face these hurdles..?? this is not the solution k yeh daykha ajey k kahan gunaah kam hay wahan chalay jaao...

        Allah Taala ko tou pehlay say idea tha k yeh sara time bhi aana hay ummat per,sooo still HE didnt say that at that time females stop taking hijaab...

        Comment

        • #5
          Re: Hijab!!

          Friends
          Asalam alaikum
          Yeh meri rai hai. To be honest mere khayalat per khabhi mujh ko lagta hai ke main achi muslim nahi. But sach kehne per believe kerti hun. Mere kheyal main hijab is terha lena ke ap ka chera chupa howa na ho zeyada comfortable hai. Bilkul is terha jaise haj main hota hai. Aur yeh taraqi ke leye rukawat nahi balke madad kerta hai. haan saadgi yani make-up na ho to or bhi acha hain. But main apne leye chera chupane ke haq main nahein. kunke mujhe lagta hai is terha confidence nahein rehta, or ap khul ker kam nehein ker sakte. her waqat perda theek kerte raho. aur ager ap picnic per jao tab bhi yeh etna aram deh nahein. per apni apni soch hai. Ek baat yeh ke jis ko jaisa bhi theek lage us ki soch or choice ki azadi honi chaheye. kisi ko bora nahein samajna chaheye.

          Comment

          • #6
            Re: Hijab!!

            Originally posted by ANEY View Post
            W Salam Mujhe Bohot Ache Alfaz Mein To Nahi Ata Hai Sada Se Lafzon Mein Jawab Deti Hoon
            Tarraqi Ki Rah Mein Hijab Koi Rukawat Nahi Hai...
            Ye Apni Apni Soch Ki Baat Hoti Hai Ke Hum Apne Appko Us Terha Dhaal Lete Hai Jaise Log Chahte Hai...
            Lekin Jin Logo Mein Salahiyatein Hoti Hai Wo Apna App Hijab Mein Bhi Manwa Lete Hai...

            Originally posted by hamzad View Post
            hargiz nahi
            aap dono key liye

            Islambad mey aik private school hai, aik qualified larki ko wahan job nahi di gai sirf iss baat per key aap HIjab kerti hain???

            Originally posted by raafi View Post
            i am not getting one thing that Allah Taala has clearly given the orders oh hijaab then why r we people discussing the issue of taking hijaab or not ?? sorry for being so blunt and rude but i think there should not be any confusion in taking hijaab... the problems is yes hijaab is a hurdle in women's life but how can we face these hurdles..?? Cthis is not the solution k yeh daykha ajey k kahan gunaah kam hay wahan chalay jaao...

            Allah Taala ko tou pehlay say idea tha k yeh sara time bhi aana hay ummat per,sooo still HE didnt say that at that time females stop taking hijaab...
            Respected bro. in Islam!
            okay i will quote your Q "
            the problems is yes hijaab is a hurdle in women's life but how can we face these hurdles..??

            solution??

            Originally posted by mohmund View Post
            Friends
            Asalam alaikum
            Yeh meri rai hai. To be honest mere khayalat per khabhi mujh ko lagta hai ke main achi muslim nahi. But sach kehne per believe kerti hun. Mere kheyal main hijab is terha lena ke ap ka chera chupa howa na ho zeyada comfortable hai. Bilkul is terha jaise haj main hota hai. Aur yeh taraqi ke leye rukawat nahi balke madad kerta hai. haan saadgi yani make-up na ho to or bhi acha hain. But main apne leye chera chupane ke haq main nahein. kunke mujhe lagta hai is terha confidence nahein rehta, or ap khul ker kam nehein ker sakte. her waqat perda theek kerte raho. aur ager ap picnic per jao tab bhi yeh etna aram deh nahein. per apni apni soch hai. Ek baat yeh ke jis ko jaisa bhi theek lage us ki soch or choice ki azadi honi chaheye. kisi ko bora nahein samajna chaheye.
            walaikum salam sis
            Islamic Hijab = covering your whole body except your face and hands.
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #7
              Re: Hijab!!

              Originally posted by Xenya View Post

              Islambad mey aik private school hai, aik qualified larki ko wahan job nahi di gai sirf iss baat per key aap HIjab kerti hain???
              Xenya I don't know what to say:donno: kiun k shayad humein kabhi Aise situation ka samna nahin kerna para...Lekin personally humare soch to yehee hay k AURAT ki liey kya WO TARAQI zyada maani rakhty hay ? JIs may Usay khud apna aap Ayyan(nuamayaan) karna paray .......:)

              TO ye kesee TARAQI kesse taraqi huey k HUKUM E KHUDA k aik taraf rakh k taraqi ki manazil tay karnay k liey Hijaab hee utaar phenkay aurat.....

              Jis larki ko job nahin dee gaey ye keh kar wo Hijaab lety hain................................... to un k lieey itna hee kahein gay k JO saabit KADAM hon STABLE hon khud apni zaat se KHUDA k AHKAAMAT se un k liey ALLAH TA'AAlaa Aik darr band honay per 100 darr khol Detay hain ...........:)
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Hijab!!

                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post

                Esha wat Islam says we must have to follow iss pey koi argument nahi sis....
                iss topic ko agar mey mazeed precise ker dun kyun key aap ney do lafz aeysey isteymaal kiye hein like " JIs may Usay khud apna aap Ayyan(nuamayaan) karna paray " mey sirf phir head scarf ki baat kerti huN ...jo key aik religious symbol consider hota hai..... jin islamic mumaalik mey iss ki waja sey larkiyoN ko job kerney mey massla hota hai ya even studies mey ... UAE deykheiN .... Turkey jo key muslim majority country hai

                France mey its banned...... ab sawal ye hai key ...mey phir raafi ka q quote karun gi

                the problems is yes hijaab is a hurdle in women's life but how can we face these hurdles..??
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #9
                  Re: Hijab!!

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Asalam alaikum

                  Iss baar ka hamara topic hai Hijab aur sawal hai key "Kya aap ke khayal mey maujooda daur mey aik larki ki tarraqi mey Hijab aik rukawat hai" ?
                  i dont think kay rukawat hai.........waisay bhi tarraqi kay lea hard working aur kuch kismat saath day tu mil jati hai.........hijab kuch jagah prefer nahi kartay.......bt i think baki bohot se jagah hai jahan araam say job mil jati hai.........:rose

                  Originally posted by Xenya View Post
                  walaikum salam sis
                  Islamic Hijab = covering your whole body except your face and hands.
                  i think islamic hijab mai face ko bhi cover karna zaroori hai....
                  bt mai nay kafi logo say suna hai , jo tum nay kaha.....:donno:
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: Hijab!!

                    Originally posted by Xenya View Post
                    Asalam alaikum

                    Iss baar ka hamara topic hai Hijab aur sawal hai key "Kya aap ke khayal mey maujooda daur mey aik larki ki tarraqi mey Hijab aik rukawat hai" ?
                    aaj kal to rukawat bannay laga gai :) banna chaye to nahi ...

                    mere friend nay aik job batai the mujhay ..jesa us nay batya sab theek laga lekan aik requirement yeh the kay abbaya(hijaab kehtay hian jisay ham jesa tum nay batya ) allowed nahi hai ..main nay to nahi ki woh job ...friend nay kar li the or us nay hijaab choor dia tha....:)
                    Last edited by .; 22 January 2008, 23:02.
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: Hijab!!

                      Originally posted by Xenya View Post
                      Asalam alaikum

                      Iss baar ka hamara topic hai Hijab aur sawal hai key "Kya aap ke khayal mey maujooda daur mey aik larki ki tarraqi mey Hijab aik rukawat hai" ?
                      W/alaikum asaalam.

                      Rukawat woh cheez hoti hay jisko aap rukawat samjhain, for e.g. stones rastay main to' hain magar aap unn ko side pay kar k ya unn par say chalang maar k, apnay rastay pay wapis ja' saktay hain.

                      sorry for the lame example:D

                      but what i mean is, yes hijab pehnay par, personally speaking...loag apko daikhtay hee soch laitay hain k bichari isko force kia gaya hay etc...and some ppl are scared to talk to you...they are shocked when I laugh and when I smile...and behave normally as they all do:khi:so hijaab ka impression kharab kia wa hay kuch loago'n nay to' abb saaro'n ko ye calamity face karni parti hay, every single day, you step out of ur house...you get stared at...and jab aap normally smile kar k pass kar jayein to' they literallt are relieved that we behave like humans n not like aliens:khi:

                      jobs like sales representative, ya iss kisam ki jobs jiss main job description ki pehli line main ye likha hota hay k, 'young female with great presentation skills'...it clearly shows they r going to use the female's physical appearance to sell their products so yes aisi jobs main definitely hijab wearing larkion ko prb hogi...but its WRONG to leave ur hijab for some wordly affair...i really hope k koi aisa na karay...aur weak par jaye.

                      Har jagah ye ho'raha hay n pak is no exception.
                      funny thing is k pak main.. jahan kuch companies main restrictions hain k hijab pehnnay par... at the same time, outside pak... Niqaab pehn'nay waali aurtain araam say jobs kar'rahi hain...they r teaching in universities and progressing so ye har person pay depend karta hay woh kis cheez ko rukawat samjhay...ye sirf perception ki baat hay, i take it as a challenge and i think ok so what if ppl think that way, i'll prove it to them that its all a misconception by my behaviour...aisa hee karna chahiye...b/c i'm sure as we all know PROPER Hijaab is extremely important...isko aisay hee chorna rukawat samajh kar bohat bari ghalti hay:)
                      Finding truth - Finding love
                      These diamonds sparkle from lights above

                      Lorraine Venner

                      Comment

                      • #12
                        Re: Hijab!!

                        Walekam-Aslam, 100% NO!
                        NOT AT ALL!
                        Reasons tou bohat hein, lekin filhal mazrat ke likh nahi sakti!

                        Comment

                        • #13
                          Re: Hijab!!

                          bilkul nai - islam aik mukamal deen hay - is main zindagi ka aik mukamal zabta-e-hayat hay - hijaab karne main bari hikamateiN rakhi hain ALLAH tala nay - ab yeh orat per hay ke woh apni taraqi ko tarjeeh deti hay ya apne imaan ko. apne hijaab ko :)
                          Allah

                          Comment

                          • #14
                            Re: Hijab!!

                            Originally posted by Wafa View Post
                            i dont think kay rukawat hai.........waisay bhi tarraqi kay lea hard working aur kuch kismat saath day tu mil jati hai.........hijab kuch jagah prefer nahi kartay.......bt i think baki bohot se jagah hai jahan araam say job mil jati hai.........:rose

                            i think islamic hijab mai face ko bhi cover karna zaroori hai....
                            bt mai nay kafi logo say suna hai , jo tum nay kaha.....:donno:
                            thanks wafa!!
                            aap ka kya khayal hai dubai mey agar aik larki job dhoodney key liye nikley gi to wo kaun sey institute hein jahan pey wo hijab key sath kam ker sakti hai aur wo kaun sey institute hein jahan wo aeysa nahi ker sakti hai?

                            n to the best of my knowledge islamic hijab = covering your whole body except face n hands
                            Originally posted by Aanchal View Post
                            aaj kal to rukawat bannay laga gai :) banna chaye to nahi ...

                            mere friend nay aik job batai the mujhay ..jesa us nay batya sab theek laga lekan aik requirement yeh the kay abbaya(hijaab kehtay hian jisay ham jesa tum nay batya ) allowed nahi hai ..main nay to nahi ki woh job ...friend nay kar li the or us nay hijaab choor dia tha....:)
                            aur ab aap ki friend kya feel kerti hein? aur aap ko koi pachtawa??
                            Originally posted by Almas View Post
                            W/alaikum asaalam.

                            Rukawat woh cheez hoti hay jisko aap rukawat samjhain, for e.g. stones rastay main to' hain magar aap unn ko side pay kar k ya unn par say chalang maar k, apnay rastay pay wapis ja' saktay hain.

                            sorry for the lame example:D

                            but what i mean is, yes hijab pehnay par, personally speaking...loag apko daikhtay hee soch laitay hain k bichari isko force kia gaya hay etc...and some ppl are scared to talk to you...they are shocked when I laugh and when I smile...and behave normally as they all do:khi:so hijaab ka impression kharab kia wa hay kuch loago'n nay to' abb saaro'n ko ye calamity face karni parti hay, every single day, you step out of ur house...you get stared at...and jab aap normally smile kar k pass kar jayein to' they literallt are relieved that we behave like humans n not like aliens:khi:

                            jobs like sales representative, ya iss kisam ki jobs jiss main job description ki pehli line main ye likha hota hay k, 'young female with great presentation skills'...it clearly shows they r going to use the female's physical appearance to sell their products so yes aisi jobs main definitely hijab wearing larkion ko prb hogi...but its WRONG to leave ur hijab for some wordly affair...i really hope k koi aisa na karay...aur weak par jaye.

                            Har jagah ye ho'raha hay n pak is no exception.
                            funny thing is k pak main.. jahan kuch companies main restrictions hain k hijab pehnnay par... at the same time, outside pak... Niqaab pehn'nay waali aurtain araam say jobs kar'rahi hain...they r teaching in universities and progressing so ye har person pay depend karta hay woh kis cheez ko rukawat samjhay...ye sirf perception ki baat hay, i take it as a challenge and i think ok so what if ppl think that way, i'll prove it to them that its all a misconception by my behaviour...aisa hee karna chahiye...b/c i'm sure as we all know PROPER Hijaab is extremely important...isko aisay hee chorna rukawat samajh kar bohat bari ghalti hay:)
                            thanks kuri for such a nice and detailed reply
                            n good to know sis

                            lol @ alien behaviour :P

                            Originally posted by Sadia View Post
                            Walekam-Aslam, 100% NO!
                            NOT AT ALL!
                            Reasons tou bohat hein, lekin filhal mazrat ke likh nahi sakti!
                            i would like to know the reasons inshAllah jab bhi aap ko waqt miley :rose
                            Originally posted by Yaaram View Post
                            bilkul nai - islam aik mukamal deen hay - is main zindagi ka aik mukamal zabta-e-hayat hay - hijaab karne main bari hikamateiN rakhi hain ALLAH tala nay - ab yeh orat per hay ke woh apni taraqi ko tarjeeh deti hay ya apne imaan ko. apne hijaab ko :)
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: Hijab!!

                              Originally posted by Xenya View Post
                              thanks wafa!!
                              aap ka kya khayal hai dubai mey agar aik larki job dhoodney key liye nikley gi to wo kaun sey institute hein jahan pey wo hijab key sath kam ker sakti hai aur wo kaun sey institute hein jahan wo aeysa nahi ker sakti hai?

                              n to the best of my knowledge islamic hijab = covering your whole body except face n hands
                              dubai mai tu almost kafi jaghoon per hijab kay sath job mil jati hai...chahay wo airport per ho ya banks,schools,hospitals ya supermarkets.......ab locals ko prefer kartay hein aur local girls job karnay lagi hein and most of them are in hijab......
                              hotel managments ya Marketing ke jobs mai hijab kay sath mushkil ho sakti hai.....:)

                              agar koi link ho islamic hijab ka tu zaroor share karna......i will be thankful......:rose
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X