Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eid ki tayari

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Eid ki tayari

    Originally posted by aik_lerki View Post
    WalikomAssalam
    Kiya topic hai .. zabardast .. :thmbup:
    Mere eid ki kuch kuch tayari ho gae kuch baki hai ...:blush:

    mere to sab shopping mamma na kere hai kio kay Mujhy shopping kerny jana boooring tareen kam lagta hai aur bohat bura bhe:embarasse
    Mera ek suit pink color ka hai .. us py silver stars lagay hain thory thory.. aut ek royal blue colur ka hai os py embroidy hoe we hai green & maroon se aur ek black colour ka hai .. abhe stich ho k nahe ay.. :(
    aur jewelley ma ma sirf chooryan pahante hon.. to bohat dhaaair sare choorya bhe lae hain mama dono hatho ki her suit k matching ki..
    Aur shoes leny papa k sath jaoge .. jab bhe papa lay k gay.. :eye:

    wow yara.....bari tayariyaaN hain.....MASHALLAH.....:phool:
    jewelry main bhi zyada nahin pehanti......her waqt kanooN mein gold rings rehti hain...wohi chal jati hain.....aur choriyaaN hi hain jo pehenna ach lagta hai....un ka color aur un ki khanak buht fasinate karti hain.....
    okzzz...larki jab shoes aajeiN tu bhi batana kaisay lai hoo....
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #17
      Re: Eid ki tayari

      Originally posted by ahsaas View Post
      hum ny last time Pink Dress banwaya tha ..is bar abhi confirm nahin

      color ka confirm nahin howa ya yeh bhi confirm nahin howa keh kaisa dress banna hai..:)
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #18
        Re: Eid ki tayari

        Originally posted by aik_lerki View Post
        :mm:Aaap nay kiya tayari kere eid ki??
        sab sy poch rahe ho bary mazy sy aur apna nahe bata rahe ..

        mairi tayari ammi hi karti hain.......main nay kaha tha is martaba maira dil chah raha hai keh Eid per sharara ya gharara pehnooN :blush:...buht dil chah raha hai.....:D..........aur agar bananay ka time nahin milaaa.....tu phir aaj kal jo embroidry walay dresses fasion meinn hain..woh lon gi...mairay mamooN ki shadi qareeb hi hai...tu INSHALLAH TALAA usi lihaaz say Eid kay kapray banana chah rahi hoon....
        aur Eid per humaray ghar main sheer khormaa aur koi mithaai ya koi halwa banta hai.....aur biryaani bhi zuroori hai.....
        bata diya apnay baray mein bhi:wk
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #19
          Re: Eid ki tayari

          Originally posted by aik_lerki View Post
          Ye to batana bhool gae k hamary hain eid per kiya kiya banta hai :tauba
          Hamary han ek to sheer khorma zaroor banta hai aur koe ek do bhe methae banate hain zaroor mama ..mostly gulab jaman ,besan k ladoo ..
          aur kachorya & keema .. ye sab cheezain must bante hain.. :D:
          Os ky ilawa menu change hota rehta hai:eye:

          yummmi....saray kaam ammi hi karti hain..ya tum bhi saath kaam karwati ho....:mm:
          humaray ghar mein khopray ki mithaai banti hai...ya soji ya chanay ki daal ka halwa banta hai....
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #20
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #21
              Re: Eid ki tayari

              @Rida
              Thankyou..yes yehi munasib rehta hia tak aram sey gher beth kr ramzan guzarey jayain mera tu office aney ko bhi dil nahi krta roozey main..acha yehi lagta hia k hum gher pr rahain ibadat or ramzan k ahtamam main time surf karain or roozey main thakan bhi tu kitni hoo jati haii.
              yes jewellry phr sisters sey hi borrow kr leti ho 1 din tu pehni hoti haii or waisye bhi un logo ko mainey hi dilwaii hoti hai isi lya koi kuch kehta bhi nahi haii :eye:
              Eid k ehtemam k hawaley sey main hr sal differnet menu rakhti hoo or typical traditioanl dishes nahi rakhti ab yeh baat achi hai ya buri can't say :donno: k mjaoirty merey cousins ya tu diabteic or heart patiant hain ya phr diet conciuos tu riwayiti meetho sey dur hi rehtey hain or even main tu meetha khaa bhi nahi saktii tu main sweet banati hoo mager light saa..jaisey last time kheer thi mager un ko fancy serving plates main thori qunatity main dal kr mainey decorate krk jama lyathaa kunks weet zayda tar hum loog maximim 2-3spoon hi letey hain kunk acha nahi lgata barey bowl main rakh doo ,decorate karoo ek hi serving main us ka satiya nas hojata hia,yehi hal custard or triffle ka hota hai tu offcoarse bura lagta haii phr dobara kisi or k samney rakteye howey isi lyaa medium ya small size k ice cream cups ya serving bowls main ,main kheer ya custard jama kr decorate kerleti ho tak ager koi bacha zaya bhi karey tu dukh na hoo or ager koi mazed lena chahyea tu bhi koi masla nahi hotaa.Is k elawa namkeen main kabab different styles k bana kr rakhti hoo kum sey kum 2-3trhaa k banati hoo or guest k mizaj or tabiyat k hisab sey koi ek serve krti hoo ,jaisey merey barey cousins tu shami kabab hi pasand krtey hain,baqii jo thorey young hai ya zara new dishes khaa letey hain un k lya different styles k cutlets,ya chicken k kabab or kai trha k jo bhi net pr recipe sey achey lagtey hain bana kr rakhti hoo.diiferent nimko bazar sey mangwa kr rakhtey hain ,sath main some times cake bhi ajata hai but not necessary,biscuitt zaroor atey hain ,gher ki cheezoo main sandwitches bhi bana leti hoo.Sawiyan khasi traditional hain almost hr gher main banti hain or sub yehi kehtey hain k abhi khaa kr arahey hian phr itni mehnat pr afsoos hota hai:( isi lya nahi banatii.Is k elawa dinner or lunch bad main fursat sey share krti hoo :wk..ha ek cheez jo main apni saholat k lya krk rakhti hoo woh hoti haii k sharbat k lya sugar pees kr rakh leti hoo kunka ksar larkey tea mangtey hain or larkiyaa Tang ya sharbat :D..tu asani hoti hai jaldi sub tayar hojata hai quick service jo deni hoti haii
              Last edited by aquari; 27 September 2007, 06:59.

              Comment


              • #22
                Re: Eid ki tayari

                Originally posted by *Rida* View Post
                wow yara.....bari tayariyaaN hain.....MASHALLAH.....:phool:

                :blush:
                jewelry main bhi zyada nahin pehanti......her waqt kanooN mein gold rings rehti hain...wohi chal jati hain.....

                Mai bhe yahe kerte hon.. mujy mama papa ny metric k result any py choty sy cute se gold earing gift kiay thay..mai wohi pehni rehti hon.. ek ad dafa change ker matching ki earings pehny to foran septic ho giya kan mai.. artificial earings sy foran mery kan pak
                jaty hain:embarasse
                aur choriyaaN hi hain jo pehenna ach lagta hai....un ka color aur un ki khanak buht fasinate karti hain.....

                Bilkul sahi..:D: i luv bangles alot.. bangles mery pas bohat bohat bohat zadaa hain ..:blush::eye:
                okzzz...larki jab shoes aajeiN tu bhi batana kaisay lai hoo....
                Abhe tak to nahe liay shoes.. lon ge to zaroor bata don ge:D:

                Comment


                • #23
                  Re: Eid ki tayari

                  Originally posted by *Rida* View Post
                  mairi tayari ammi hi karti hain.......main nay kaha tha is martaba maira dil chah raha hai keh Eid per sharara ya gharara pehnooN :blush:...buht dil chah raha hai.....:D..........

                  :em:
                  zabardast.. wakii bohat acha lagta hai na sharara ,lehnga.. :D:.kis color ka banwa re hoh aap??
                  aur agar bananay ka time nahin milaaa.....tu phir aaj kal jo embroidry walay dresses fasion meinn hain..woh lon gi...

                  Jab bhe aap ly lo humain batana k kesy liay.. kis colour k .
                  okay na
                  mairay mamooN ki shadi qareeb hi hai...tu INSHALLAH TALAA usi lihaaz say Eid kay kapray banana chah rahi hoon....

                  Umm good . pata hai mere cuz ki shadi bhe december mai hai.. Os per mera bhe lehanga lenyka plan hai ..:eye:
                  aur Eid per humaray ghar main sheer khormaa aur koi mithaai ya koi halwa banta hai.....aur biryaani bhi zuroori hai.....
                  Umm acha.. Biryani hamary han bhe must bante hai.. ye batao k biryani kon banata ha???aap?? :p
                  bata diya apnay baray mein bhi:wk

                  Jii Thankx :phool:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Eid ki tayari

                    komal or rida app logoo k tu thek thak plan hai shopping k :d

                    Comment


                    • #25
                      Re: Eid ki tayari

                      Originally posted by aquari View Post
                      ek cheez jo main apni saholat k lya krk rakhti hoo woh hoti haii k sharbat k lya sugar pees kr rakh leti hoo kunka ksar larkey tea mangtey hain or larkiyaa Tang ya sharbat :D..tu asani hoti hai jaldi sub tayar hojata hai quick service jo deni hoti haii
                      :thmbup:
                      Pata ha mere mama bhe chini ka liquid syrup bana ky rakhte hain.. taky sharbat jaldi say ready ho jay..
                      chini pees k rakhny wala idea bhe zabardast hai .. :D:

                      Comment


                      • #26
                        Re: Eid ki tayari

                        Originally posted by aquari View Post
                        komal or rida app logoo k tu thek thak plan hai shopping k :d
                        :blush:
                        mere to sab shopping mama kerte hain :khi:planning ma ker lete hon

                        Comment


                        • #27
                          Re: Eid ki tayari

                          yummmi....saray kaam ammi hi karti hain..ya tum bhi saath kaam karwati ho....

                          Nahe na.. mamma k sath mil k karaate hon sab kaam.. i m achii &
                          sugher lerki :hehe:
                          humaray ghar mein khopray ki mithaai banti hai...ya soji ya chanay ki daal ka halwa banta hai....

                          umm Yummy..

                          Comment


                          • #28
                            Re: Eid ki tayari

                            Originally posted by aik_lerki View Post
                            :blush:
                            mere to sab shopping mama kerte hain :khi:planning ma ker lete hon
                            Yani un ki shopping ko kitna horrible banaya jasaktaa hai ..yeh app kr leti hoo :khi:
                            Originally posted by aik_lerki View Post
                            :thmbup:
                            Pata ha mere mama bhe chini ka liquid syrup bana ky rakhte hain.. taky sharbat jaldi say ready ho jay..
                            chini pees k rakhny wala idea bhe zabardast hai .. :D:
                            haa aisey bhi thek rehta haii pr yeh chiini pesney wala zara zayda asaan hai naa :eye:

                            Comment

                            Working...
                            X