AFtaari kay waqat sab say pelay jo ham khajoor khatay hain to kayoun na us kay kuch faiday ki bhi baat hoo jaye ? :)
Quraan main khajoor ka tazkara kai baar aaya hai ...rooza khoulnay key leye khajoor ka chunaoo yeh zahir karta hai kay yeh foori tawani pounchahti hai ...
dunia bhar main khajoor ki paidawaar pehlay say zaida barh rahi hai ....khajoor main IRON,POTASSIUM,NIACINE,FIBER or buhat zaida tawani moujood hoti hai ...agar isay doodh ya dahi ya paneer kay sath khaya jaye to yeh mukamal ghiza hai ..
khajoor main moujood POTASSIUM hamarai jismani patthoun(MUSCLES) or assab (Nerves) ko mazboot banata hai ..isi leye bachoun key leye bhiis ka istammal buhat zarori hai ....is main moujood tawaani jo kay kafi miqdaar main hoti hai antoun main pounchtay hi foori toor par khoon main shamil hoo jati hai or taqat pounchati hai ....yehi waja hai kay khajoor say rooza aftaar kerna sehat baksh hai kayou kay yeh jisem ki khooi hove tawanai fouri bahaal karti hai ....
khajoor main moojoud reesha buhat si beemareoun say nijaat dilata hai..masala hazma key leye khajoor main mojood reesha behtreen hai.....
khajoor joroun patthoun kay darad OSTEOPOROSIS main bhi mufeed sabit hoti hai kayoun kay is main mojood BORON aik harmoon istrogen ki kami ko poora karta hai ...
sab say ziada dilchasp baat yeh hai kay ghoutleoun say pees kar kafi kay maza ka powder banta hai jissay kafi ka matabadil kaha jata hai ..
khajoor hamaray leye aik mufeed , mutabarik or maqvi ghiza hai ..Allaha tala ki niamayt hai jis main bayshumaar faiday poosheeda hain ..khajoor say banaye lazeez khanoun ko hamaray dastarkhawaan ki zeenat bananan sehat ko mustahkim karna hai ..sehat say peyaar hai to khajoor zaror khaye ...:--)
Comment