Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

chooriyan ??? aik sawal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: chooriyan ??? aik sawal

    Originally posted by Aanchal
    assalamalikum
    ham nay kai baar deekha hai kay larkiyan eid kay dinoun main ya kabhi waiseye hi chooreyoun wali dukan pay jati hain to choori pehnanay walye(male) kay hathoun say chooriyan pehan laiti hai aap ka is baray main kia khayal hai ???? kisi female say choori pehnna to theek hai lekan male say.................. ..is say acha nahi khud pehan li jaye :lol ya pehnoo hi na :-)
    wow really... mujhe to nahi pata tha... ab main soch raha hon k main bhi aik chooriyon ki dukaan khol loon :D:

    Comment


    • #17
      Re: chooriyan ??? aik sawal

      Originally posted by Aanchal
      ji aisa hi hota hai jesa tum nay bataya ...dukandaaraoun ko ab itna experience hoo gia hai kay hath deekhtey hi size bata daytay hain ...or pher pehnanay ka fareeza alag say saranjaam daytay hain .. :lol aisay dukandaroun ko lift hi na karoo

      Hahahahahh........ mera yeh first experience tha pak main aur shayed ous chorion waley ka bhi mujh jesi lerki ke sath :lol
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: chooriyan ??? aik sawal

        Originally posted by Udaas
        wow really... mujhe to nahi pata tha... ab main soch raha hon k main bhi aik chooriyon ki dukaan khol loon :D:
        Bro .... lagt ahai tumhara bhi mar khaney ka mood ho raha hai :lol
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: chooriyan ??? aik sawal

          Originally posted by Aanchal
          main nay deekha hai aik larki aik dukan waleye say chooriyan pehan rahi the ...ham jis dukan pay gay they vohan ai aik larki or chooriyan deekhi or dukandaar say bahi keh kay help li ..or dukandaar nay bhi baji ka fareeza saranjaam daytay hovey usay chooriyan pehnani shuru kar di .....kisi kay behan ya baji keh deenaya say woh bahi nahi bana jata ..... :)
          kaisi hain Aanchal jee... baray dinon baad aap se guftugoo karna ka sharf hasil hua hai...

          acha topic start kiya hai aap ne.... waisay larkiyan Beauty Parlour bhi jaati hain... aur wahan bhi baaz dafa larkay hotay hain... jo unka makeup, facial, cutting waghaira kartay hain... wo to "behan ji" bhi nahi kehtay... hehehe...:lol

          Comment


          • #20
            Re: chooriyan ??? aik sawal

            Originally posted by Saima Shaheen
            Bro .... lagt ahai tumhara bhi mar khaney ka mood ho raha hai :lol
            hehe... hum to larkiyan k hath se maar khanay k liay bhi tayyar hain.... Mujhe indian film ka aik mashoor gaana yaad aa gaya... "Gori hain kalayiaan... pinha doon tujhe hari hari chooriyan... apna bana lon tujhe baalma"... yeh gaana main chooriyon ki dukaan par baith kar gaon ga :D:

            Comment


            • #21
              Re: chooriyan ??? aik sawal

              Originally posted by Udaas
              hehe... hum to larkiyan k hath se maar khanay k liay bhi tayyar hain.... Mujhe indian film ka aik mashoor gaana yaad aa gaya... "Gori hain kalayiaan... pinha doon tujhe hari hari chooriyan... apna bana lon tujhe baalma"... yeh gaana main chooriyon ki dukaan par baith kar gaon ga :D:

              :lol :lol

              Koi haal nahi tum lerko na :tauba
              sigpic

              Comment


              • #22
                Re: chooriyan ??? aik sawal

                Originally posted by Udaas
                hehe... hum to larkiyan k hath se maar khanay k liay bhi tayyar hain.... Mujhe indian film ka aik mashoor gaana yaad aa gaya... "Gori hain kalayiaan... pinha doon tujhe hari hari chooriyan... apna bana lon tujhe baalma"... yeh gaana main chooriyon ki dukaan par baith kar gaon ga :D:

                yeh to mamla ulta hoo gia :tauba
                main to kuch or seekha rahi houn or bachey kuch or seekh rehaye hain
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #23
                  Re: chooriyan ??? aik sawal

                  Originally posted by Udaas
                  wow really... mujhe to nahi pata tha... ab main soch raha hon k main bhi aik chooriyon ki dukaan khol loon :D:
                  chaanraat ko yehi to kartay hain larkay theela laga laytay hain or chooriyan pehnatay rehtay hain :lol
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #24
                    Re: chooriyan ??? aik sawal

                    Originally posted by Aanchal
                    chaanraat ko yehi to kartay hain larkay theela laga laytay hain or chooriyan pehnatay rehtay hain :lol
                    shadi se pehle larkay unhain chooriyan pehnatay hain... aur shadi k baad larkiyan unhain hatkari pehna deti hain...

                    Comment


                    • #25
                      Re: chooriyan ??? aik sawal

                      Originally posted by Aanchal
                      yeh to mamla ulta hoo gia :tauba
                      main to kuch or seekha rahi houn or bachey kuch or seekh rehaye hain
                      hum to sirf filmon se seekhtay hain... jo kuch un mein dikhaya jata hai hum wo kartay hain

                      Comment


                      • #26
                        Re: chooriyan ??? aik sawal

                        Originally posted by Saima Shaheen
                        Haan Aanchal, mei aap se agree kerti hoon. Yeh ek intiyahi fazool sa shoq hai lerkion mei, hum last time pakistan gayeh to humari poophi jaan humein chorian dilaney lai gayi, pehley to meri wese hi oun se nahi banti ooper se chorian dilaney ka dikhawa

                        Kher jab hum waha pohanchey to humari cousin to aaram se chorian cherhaney lagi, waha chorion wala hum se kehney laga laiyeh apna hath deikhayei main aur meri sis khamosh rahi, ous ne phir kaha to meri sis ne jawab diya, ke poney 2 " size hai. Wo kehne laga Bagi aap hath dikhaiyeh kuch nahi hota, ager chorian tang huwi to, is per me ko :fuming:

                        Mei ne kaha jab btaa diya hai ke poney 2 inch hai, to chup chap ous naap ki chorian kiu nahi detey, tum samajhtey ho tum Bagi kaho gai to hum tumhein apna hath pakra dain gai, aisi fazol herkatein kahin aur azmana .... wo bechara itna sharminda huwa k shayed sobara ous ne kisi lerki ko insist kiya ho kalayi deikhaney ek liyeh :lol :lol

                        Back to point, yeh intihayi galat hai, lerkio ko is se ijtinab kerna chahiyeh , humarey mazhab mein bhi is ke ijazat nahi, jab chorian kharidne jao to naap pata ho, werna sample ke torr per ek choori sath lai jao:) .
                        waise saima is saal eid per mera bhi irada he ke chooriyoon ki dukaan le loon :lol
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: chooriyan ??? aik sawal

                          Originally posted by Udaas
                          hehe... hum to larkiyan k hath se maar khanay k liay bhi tayyar hain.... Mujhe indian film ka aik mashoor gaana yaad aa gaya... "Gori hain kalayiaan... pinha doon tujhe hari hari chooriyan... apna bana lon tujhe baalma"... yeh gaana main chooriyon ki dukaan par baith kar gaon ga :D:
                          Teri dukaan mein mein partnership kerne ko teyaar hoon...kia khyaal he :D
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #28
                            Re: chooriyan ??? aik sawal

                            Originally posted by munda_sialkoty
                            Teri dukaan mein mein partnership kerne ko teyaar hoon...kia khyaal he :D
                            theek hai tum dukaan ka rent dena, hisab kitaab karna... aur main larkiyon ko chooriyan pehnaon ga

                            Comment


                            • #29
                              Re: chooriyan ??? aik sawal

                              nice topic :thmbup: me to kabhi bhi bazar se chooryan nahi pehnti,bachpan se me ghar la kar khud pehnti hun,mujhe to kaanch ki chooryan behad or be hisaab pasand hen lekin khud pehnti hun.

                              Comment


                              • #30
                                Re: chooriyan ??? aik sawal

                                Originally posted by munda_sialkoty
                                waise saima is saal eid per mera bhi irada he ke chooriyoon ki dukaan le loon :lol


                                Dua kerna mujh jesi koi U ki dukan per na aayeh :lol
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X