Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Share Ur Fav Dish Recipe~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

    Meri tu fav hai hi yeh recipe..merii chooti sisters bauht khush hojati hain jub bhi zinger burgers banati hoo :)

    KFC ZINGER BURGER

    INGREDIANTS :

    2 Chicken bonless pieaces.
    200gms Cornflour
    200gms flour (is maida main 1 chicken knorr cube mila lain )
    2Eggs
    250 gms crinkle chips
    200gm breadcrumbs
    Salt
    Black pepper
    1/2tsp sugar
    2tsp soya sauce
    1tsp ajinoo motoo
    oil fpr frying

    Method:
    Maida jis main knorr cube mila howa haii us main cornflour,egg,salt,soyasauce,blackpepper,ajinomott o,sugar mila ker acha tarhaa sa paste banalain phirchicekn k pieces lain try karain k yeh pieces khasey barey hoo size main kunk ek burger main 1 hi piece use hota haii .Chicken per yeh sara masala qote ker dain or 4hrs k liya fridge main rakh dain .Abb in pieces ko achi tarhaa pehley maidaa main qote karan phir breadcrumbs then crinkel chips qoting per khaas dehan dair or medium anch per deep fry kerlain.Jub golden hojayee tu tiisue per nikal lain or bun k opper saath main ketchup and cheese laga ker serve karain.

    Comment


    • #17
      Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

      meri or merey father ki most fav dish ..:eye:
      Attached Files

      Comment


      • #18
        Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

        Originally posted by Rida View Post
        aik baat bataoN.....mujhay jo bhi mil jai kha laiti hoon.....aisi koi fav dish nahin keh main kahon....bus foran mujhay mil jai tu main khaloooN.....is liye jab say yeh thread start howa hai...... main soch hi rahi hooon.....kon si recipes share karon.....:cc:
        Rida yaha wo recipes share karne hai.....jo aap khud banate hai aur ache bhi banti hai.....:wk ...tu koon se dist bohot ache banate hoo, wo share karoo......
        sigpic


        Comment


        • #19
          Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

          Originally posted by aquari View Post
          lasaniyaa ek italian dish haii..yeh noodles ki ek type hai rectangle shape hotii hai in ko boil ker k is dish main use kya jata hai waisey tu yeh dish oven main bant hai but mainey stoove per hi bana lii thi..bauht zaberdast hoti hai....
          palak paneer main kai bar try kerchuki hoo ek chooti si tip tumhain deti hoo jub banaoo tu 2tpsp creamcheese bhi dalena..is sey taste or develope hogaa.:)
          kuch or bhi poochna hoo tu let me know mujhey acha lagey ga k merey experince sey kisi ko faida hoo ...:)
          ahaan....thanks dear.......mai zaroor try karo ge....aur tips bohot ache hai.....aur kuch poochna hoa tu zaroor pooch loo ge......:D:
          aur baake 2 recipes bhi bohot zabardast hai......maire fav bhindi....:D
          sigpic


          Comment


          • #20
            Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

            Originally posted by Wafa View Post
            Rida yaha wo recipes share karne hai.....jo aap khud banate hai aur ache bhi banti hai.....:wk ...tu koon se dist bohot ache banate hoo, wo share karoo......

            dearo main ALHAMDOLLILLAH un loagooN mein say hooN jin kay haath mein ALLAH TALAA zaiqa rakh daita hai....:blush:....chahay kuch bhi banao....buht mzay ka banta hai:eye:

            main aa gai aasaan aasaaan si recipes lay kar....

            Timater ki chatni

            1/2 kilo timater
            250 gm piyaz
            10 hari mirchain
            lal mirchain aik tbs
            haldi aik tbs
            namak Hasb-e-zaaiqa

            sab say pehlay piyaaz kat kar ghee mein buht halki si brown karain phir us mein 10 hari mirchain kaat kar daal dain,,,, thora sa aur brown karain...aur is mein timater kat kar dall dain...
            ab lal mirchain, haldi aur namak daal dain...jab timaterooN ka pani thora khushk ho jaie...aur timater ghee choar dain ..tu aap ki chatni tayar hai....:hehe:
            buht aassan jaldi paknay wali, sehet bakhsh....aur mujhay tu mazay ki lagti hai......


            ab dosri dish ...loaki ka raita

            sab say pehlay tu loaki hi chahiye...aap ki marzi hai ...kam banna ho raita tu kam lain aur zyada banana ho tu ziyada....
            loaki ko ubalnay kay liye rakh dain....
            is kay liye green masala bhi banaya ja sakta hai aur red bhi....
            dahi mein kuti hoi lal mirchain aur namak apni pasand kay mutabiq dal lain tu red color ajaiga dahi mein...aur agar namak ,2 hari mirchain aur podina pees kar dalain gi tu green color ajaiga dahi mein....
            laoki kay galnay per mash kar kay dahi mein dal dain....
            dahi agar khatti ho tu us mein thora sa milk mila lain,...acha zaiqa ho jai ga.....aakhir mein is mein thora sa zeera bhoon kar ...pees kar daal lain...is say khushbo aur zaiqay zyada ho jai ga....
            garmi kay dinnooN mein dahi khanay say thandak ka ehsaas milta hai...aur lunch mein khana faida mand rehay ga.....
            dahi kay apnay alag fawaid aur aisay hi loaki kay bhi...loaki Khana Sunnet bhi hai....pehlay main nahi khat thi lakin jab is kay fawaid perhay aur perha keh HAZRAT MUHAMMAD SAW salan ki plate say loaki ki qashain alag say utha kar tnawol fermatay thay tab say mein shaouq say khati hooN loaki....aur aap sab ko bhi yehi kahon gi....loaki zuroor kahaien...sachi mein buht hi saray faiday hain....:eye:
            Last edited by *Rida*; 18 April 2007, 08:42.
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #21
              Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

              Originally posted by Wafa View Post
              ahaan....thanks dear.......mai zaroor try karo ge....aur tips bohot ache hai.....aur kuch poochna hoa tu zaroor pooch loo ge......:D:
              aur baake 2 recipes bhi bohot zabardast hai......maire fav bhindi....:D
              u r most and always :welcome:

              Comment


              • #22
                Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                Originally posted by Rida View Post
                dearo main ALHAMDOLLILLAH un loagooN mein say hooN jin kay haath mein ALLAH TALAA zaiqa rakh daita hai....:blush:....chahay kuch bhi banao....buht mzay ka banta hai:eye:
                waah rida...bohot ache baat hai ke jo tum banate ho us mai zaiqa hota hai.....warna kaafi mehnat karne parhte hai us ke lea.....:D aur tum ne bohot he easy aur yummy recipe share kea hai.....mai zaroor try karo ge....thanks for sharing .......:phool:
                sigpic


                Comment


                • #23
                  Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                  thanks a lot.... aur main aik baat bhool gai raaita tayar honay kay aakhir meijn thora a zeera bhon kar pees kar dalnay say us kay zaiqa aur khushbo per bhi asar perta hai ....aur lazziz lagta hai.....aur is mein piyaz aur timater bhi kaat kar dalay ja saktay hain.....:)
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                    aik aur fav dish hai dahi bonday......

                    pakoray tu bananay aatay hi hongay.....:)

                    is mein humain yeh karna hai keh baisan mein namak, thori si lal mirchain aur zeera dalna hai......aur is ko pakorooN ki tarah tal lain......

                    dahi mein hasb-e-zaqa namak, sabit lal mirchain aur zeera bhon kar pees lain aur dahi mein daal dain....aik piyaaz aur darmiyaanay size kay 2 timater bhi kaat kar dail lain.......dahi bondi tayar.....:lpop:


                    Last edited by *Rida*; 19 April 2007, 09:34.
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                      :salam: Itni mazay mazay ki recepees hain to ab main bhi kuch share karna chaoon gi to agar pasand aay to try karna must hai
                      Attached Files

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                        goody good. I am gonna try ur recipes. thankooo aur Rida aap ki Dahi Bondi wali tarkeeb tou hamari azmaee hui hai lakin es ka naam nahi maloom tha hamian :)
                        "All I have learned from Life is that I know nothing."




                        Comment


                        • #27
                          Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                          Wow kashaf recipes dekh kar tu moun mai paani aa gaya.......yummy......
                          rida wo dahi bondi mai bhi ghar mai banate ho...bohot tasty banti hai....:lpop:
                          thanks for sharing.....
                          sigpic


                          Comment


                          • #28
                            Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                            Originally posted by Wafa View Post
                            Assalam alaikum Dosto......:five



                            kaise hai aap sab...umeed hai sab khariyat se hoon ge :rose ..aaj aik new topic start karte hai :eye: ...is thread mai aap sab ne wo recipe share karne hai jo aap khud ghar mai banate hai ........wo nahi jo khaate hai...lol.. :hehe:....tu aap apne koi bhi fav dish ke recipe hamare saath share kare....har member sirf 4 recipe share kar sakti hai :em:......app sab ke sharing ka intezaar rahee ga.......
                            WASLAM ,

                            dear ye shart app ny rekh kar kuch acha nhi kiya...

                            main to sirf salad aur raita he banati hoon...:donno:

                            ab kya uski recipe share kayoon:wk

                            :khi: :khi: :khi: :khi: :khi:

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                              Originally posted by Rida View Post
                              thanks a lot.... aur main aik baat bhool gai raaita tayar honay kay aakhir meijn thora a zeera bhon kar pees kar dalnay say us kay zaiqa aur khushbo per bhi asar perta hai ....aur lazziz lagta hai.....aur is mein piyaz aur timater bhi kaat kar dalay ja saktay hain.....:)

                              Rida app ki recipes kafi easy aur achi hain....:wk
                              app ki recipe dekh kar laga...k app bhe meri terha bohat he zada cooking karti hain...:D

                              good luck..:thmbup: :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~Share Ur Fav Dish Recipe~

                                [quote=Wafa;384702]
                                Assalam alaikum Dosto......:five



                                kaise hai aap sab...umeed hai sab khariyat se hoon ge :rose ..aaj aik new topic start karte hai :eye: ...is thread mai aap sab ne wo recipe share karne hai jo aap khud ghar mai banate hai ........wo nahi jo khaate hai...lol.. :hehe:....tu aap apne koi bhi fav dish ke recipe hamare saath share kare....har member sirf 4 recipe share kar sakti hai :em:......app sab ke sharing ka intezaar rahee ga.......

                                Dear kiya main more than 4 receipees share kar sakti hoon? kuch easey receipees hain mairey paas.

                                Comment

                                Working...
                                X