Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Your best Recipe

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Your best Recipe

    Originally posted by ~khawahish~
    O mujhay tu khuchu banana hi nahin ata :( warna main bhi khuch Share kar hi deti :-s
    aap aeysa karein jo aik lerki ki recipe hai wo isteymaal mey laatey huye mazzey ki dish banayein aur wo dish hum sey share ker lein .....:D
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: Your best Recipe

      Originally posted by YAARAM
      aur han urdu main share karen na sab :)
      ok inshAllah
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #18
        Re: Your best Recipe

        GOLA KABAB:-

        qeema 1 kilo
        dahee 1cup
        piaz 250grm
        papeetapisahowa 4 tbsp
        piseehowee lalmirch 2tsp
        adrak 20gram
        baree ilaeechee 4 adad
        kalazeera 1tsp long
        8 piseehowee kaleemirch 1tsp
        Method
        1)piaz aur adrakko bareek bareek kat lain.

        2)sab cheezen mila ker 1/2 hour ke liey frige me rakh den phir muthee me leker kabab baneyn aur pehley se garam kiey howe oven me 30 minute ke liey rakh den medium heat per.
        phir nikaal ker mazy sy kha'ain :D:

        Comment


        • #19
          Re: Your best Recipe

          Hot Choclate

          doodh(milk)--aik cup
          choclate powder--2-3tsp
          cheeni(sugar)--1 tsp

          doodh ko acha garam ker lein aur phir is mey choc. powder aur cheeni mix ker dein

          aur mazzey sey piyein
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #20
            Re: Your best Recipe

            hiiii kaisey hain sab

            mein bhi kuch share karna chahti hun buhat mushkil hai meri recipie but try karein


            ek bartan lein us mein paani daalein
            fir ek egg us mein daal dein aur zara sa salt
            aur us ko stove per rakh dein
            10 min baad utaar lein lijiye lazeez aur garma garam boiled egg tayyar hau

            uuff mein thak gayi agli recipie next time


            heheheheheh

            Comment


            • #21
              Re: Your best Recipe

              brainheater salt paani mey daal deyti hien?? kya anda bhi tor ker daal ker ubaalti hein?

              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: Your best Recipe

                Originally posted by barg.e.gul
                brainheater salt paani mey daal deyti hien?? kya anda bhi tor ker daal ker ubaalti hein?

                :donno:

                Comment


                • #23
                  Re: Your best Recipe

                  Originally posted by brainheater
                  :donno:
                  koi baat nahi larki seekh jao gi ahista ahista :eye:
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #24
                    Re: Your best Recipe

                    Coffee

                    1 cup doodh lein ussey garam ker lein ab aap cup mey thora sa garam doodh nikal ker is mey 1 tsp coffee dalein aur cheeni jitni aap chahein achi tarhan sey mix karein phir is ko baki doodh mey daal ker aik boil dein

                    Voila coffee tayyar hai
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Your best Recipe

                      coffe wali aur hot choclate wali recipie pasand aayi :) thnx :)
                      Allah

                      Comment


                      • #26
                        Re: Your best Recipe

                        ^ :thmbup: jab aap try karein to ham sab key liye bhi bana ker layie ga :D:


                        Pizza:-
                        pizza ki roti key liye:-

                        white flour--1 kg
                        khameer-7 g
                        oil--2 tbs

                        aap khameer ko thorey sey garam paani mey hal ker key aatey mey shamil ker dien phir oil daal dein aur ussey gundh ker dhak ker rakh dein 3-4 ghantey key liye.
                        -----
                        filling key liye:-Method:-aik pan mey oil + keema + spices daal ker issey halki aanch per paka lein.
                        -----
                        is key ilawa aap ko chahiye
                        shimla mirch (green and red)-- 2
                        tamatar--3
                        kheera aur gajar (agar aap ko pasand hein)

                        in sab ko chotey tukron mey ker lein aur keemey mey shamil ker dein
                        -----
                        ab aap roti banayein(jo key medium ho na ziada moti aur na hi ziada patli) aur us per cheese (plain) daal dein phir ketchup phir keema mixture aur phir uper sey ketchup aur akhir mey sprinkled cheeze

                        pehley sey garam oven mey rakh dein 250 C per aur 10 mins mey aap ka pizza tayyar hai :D:
                        Last edited by Z.; 9 September 2007, 23:35.
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #27
                          Re: Your best Recipe

                          Naan khatai
                          Meyda(white flour)--1 cup
                          cheeni (sugar)--1/2 cup
                          baking powder--1/4 tsp
                          andey ki zardi --1
                          oil--jitna zaroorat ho

                          Method:
                          aatey,cheeni aur baking powder mix ker dien phir is mey oil daal ker mix ker dein, oil itna hona chahiye key mixture bas medium ho

                          ab aap biscuit ki shape dein aur beech mey apney index finger key sath daba dein halka sa aur is mey andey ki zardi laga dein

                          ye sab kaam kerney sey pehley oven on ker dien jab tak aap khataiyan banai gi tab tak oven garam ho jaye ga phir is mey khataiyan rakh ker dein 60 C per koi 20 mins tak

                          voila mazzey sey khayein :eye:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #28
                            Re: Your best Recipe

                            bhot khoob main bhe kuch share karoun.chalo bacheion metha pakan sekh lo

                            ras melai
                            nido 1cup
                            backing powder 1 tsp
                            egg 1
                            milk 1 kg
                            ilache hasbe mansha
                            method:
                            dhood ko ubalnay k ley rakh dein ur ilanche bhe dal dein sath main nido ya koi bhe kushk dhood lain us k andar backing powder our egg dal kar khoob acha sa goondh lain us k bad us ki chote chote ball bana lain ur ubltay howay dhood main dal dain us k bad jab yeh dekhna ho k bane k nahe to aik ball nikal kar us ko half karein gay agar us k andar yellowish color aye to our paknay dain our na aey to phir pak gae na us k uper chirkao kar lejey ur khatay howay mujhay zaroor dua dejay

                            Comment

                            Working...
                            X