Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

    assalamalikum

    aik sawal hai sab larkeoun say kay kia app kisi aisay banday say shadi kar sakti hain jissay aap nay kabhi deekha hi na hoo ???/

    or kia aisay banday say shadi kar sakti hain jin ka mahool aap kay mahool say bilkul ulat hoo ..jaisa kay kuch larkeoun ka khanadan system kafi acha hota hai taleem lehaaz say bhi or har leehaz say ..or us ki shadi aisay mahool main hoo jaye jahan aurtoun ko kuch karnay hi na dia jata hoo ...status ka bhi farak hoo ..yani us larki kay mahool say bilkul ult hoo to kia larki ko shadi kar leeni chaye aisaye bandaye say ? :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

    Aachal aap ki baat bohat achi hai jis khite main hum zindagi basar kar rahye hain wahan aksar ahsi batain daikhne main ati hain wahan larrki ki razamandi zaroori nain hoti wahan faisle musallat kiye jate hain afoos k sath haan agar muje se pochain to main ahsa nain kar sakti:)


    Comment


    • #3
      Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

      pata nahi Aanchal :donno:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

        wasay to app ka sawal bohat hi acha hay or is ka jawab myray khayal say to yah hi hay k koi bhi parhi likhi well educate larki kabhi bhi aisa nahi kary gi larki ka lark k parents bh myray khayal say to asa ko bhi destion nahi lain gay

        Comment


        • #5
          Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

          Umm pata nahe ..
          i don,t think so ky aisa ho sakta hai..

          Comment


          • #6
            Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

            Pata nahi Aanchal, I just can't imagine getting marrie dto some one whom I dont know, jisey dekha na ho, jisey jantey na ho :donno: ......... I dont know why but I think I can't even imagine it.
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

              Assalaam o alekum,


              aap sab lerkiyaan yehaan bilaa wajeh bahes ker rahi hain mere khayaal se to in sawaalooon ke jawaab aap sab ki ammi bakhoobi de sakti hain kyoon ke wo iss marhale se guzer chuki hain unhien pataa hai ke dar asl honaa kyaa chaahiye
              :tang: RISK IS MY BUSINESS

              DANGER IS MY GAME

              DONT PLAY WITH ME
              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

              Comment


              • #8
                Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                Originally posted by khurram_shaikh
                Assalaam o alekum,


                aap sab lerkiyaan yehaan bilaa wajeh bahes ker rahi hain mere khayaal se to in sawaalooon ke jawaab aap sab ki ammi bakhoobi de sakti hain kyoon ke wo iss marhale se guzer chuki hain unhien pataa hai ke dar asl honaa kyaa chaahiye

                Oun ka waqt aur tha janab humara aur hai
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                  Originally posted by Saima Shaheen
                  Oun ka waqt aur tha janab humara aur hai
                  iska matlab hai aap apni marzi se shaadi karnay ke haq mei hai aur jo puranay laug thay jo apnay waaldein ki marzi se shaadi kartay thay woh ghalat thay...???

                  Comment


                  • #10
                    Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                    Originally posted by jums
                    iska matlab hai aap apni marzi se shaadi karnay ke haq mei hai aur jo puranay laug thay jo apnay waaldein ki marzi se shaadi kartay thay woh ghalat thay...???

                    Main ne kisi ko sahi aur kisi ko galat nahi kaha
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                      app apnay khayalat bhi to batian is bary main app kia kahteen hain is baray main

                      Comment


                      • #12
                        Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                        well!
                        aap ka sawal sirf bint-e-hauwwa se hai.
                        phir bhi mai kisi had tak mr,khurram & ms,mahek se muttafiq hun,
                        sahdi (nikah) ek ibadat hai lihaza har pahloo ko dhiyan men rakhna
                        zaroori hai yahan tak ki ek dosre ko dekhna bhi mustahb hai,
                        lekin is bat ki keya guarantee ki apni pasand ki shadi kamyab hi ho,aur sarparaston ki nakam !!!!
                        mushahdat batate hain ki aisi shadiyan nakam raheen jis men buzurgun
                        ki duayen na thi,
                        yaad rakhen waldain hamesha hum sab ke mukhlis hote hain,

                        Comment


                        • #13
                          Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                          Originally posted by Saima Shaheen
                          Oun ka waqt aur tha janab humara aur hai

                          Assalaam o alekum,


                          chalien maan liyaa unka aur aapkaa waqt juda hai :) lekin kyaa aap aur aapki ammi bhi juda hain??? waise aapke khayaal se aapke JUDA WAQT mien kaise shaadi hooni chaahiye ??? umeed hai aap mind nahin kariengi meri kisi baat kaa coz im not taking this post as personal wth any1 :)
                          :tang: RISK IS MY BUSINESS

                          DANGER IS MY GAME

                          DONT PLAY WITH ME
                          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                          Comment


                          • #14
                            Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                            Anchal ager aisi sorat e haal ho tau bhi shadi ho hi jaati hai...waqti pareshani zaror hoti hai mager samajhdari se kaam le ker shadi ko kamyaab aur qabl e rashk banaya jaa sakta hai...bahut si aisi larkiyan hain jinhon ne shadi se pehle apne shohar ko dekha bhi nahin hota mager Aqal mandi aur imandari se zindagi guzarti hain..

                            Comment


                            • #15
                              Re: kia aap aisaye bandaye say shadi kar sakti hain jissaye ....?

                              ancal app k khyalat abhi tak mazar_e_ amm per nahi ain hain

                              Comment

                              Working...
                              X