Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Women Jeans ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~ Women Jeans ~

    Originally posted by munda_sialkoty
    Fazool fashion...aap larkiyon wala fashion kyoon nahi kerti ho
    balky Behooda kahooo to acha rahy ga..............

    Etni tite ALLAH moafee dain.....Pata nahi muslim larkian kab samjy kee....
    kawa chala hunse kee chall........................

    Comment


    • #17
      Re: ~ Women Jeans ~

      Originally posted by munda_sialkoty
      Fazool fashion
      Originally posted by Khalil
      balky Behooda kahooo to acha rahy ga..............
      hmmm mujhey aap dono sey itifaq nahin sorry :p - libas mein uryaani ka ansar na ho to ussey zaroor pehnena chahiye - Agar larkiyaan siraf jeans aur t-shirt pehan kar ghoomein gi to I too would say bohat behoodgi hai, lekin agar jeans key ooper kurta type ho ya shawl ho jo jisam ki haiyyat ko chhupa ley to jeans pehaneny mein koi harj nahin... Aurat ko siraf is baat ka khiyal rakhna chihiye keh uski ikhlaqi aur mazhabi qadrein kahan hain, isko janeney key baad har woh libas jo aurat ko haseen bnaey/lagey ussey pehanena chahiye :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #18
        Re: ~ Women Jeans ~

        Originally posted by Khalil
        balky Behooda kahooo to acha rahy ga..............

        Etni tite ALLAH moafee dain.....Pata nahi muslim larkian kab samjy kee....
        kawa chala hunse kee chall........................
        u r absolutely wrong .....:na:
        zaroori nahin k jeans pehn-na behooda herkat hay ........un larkiyon k liey kia kahein gay aap jinn k shalwar suite bhi aisay hotay hain k hamein dekh k intehaeey gher munasib lagta hai.......so Jeans ho ya shalwar suite ya even skirt , to wo aisa hona chahieey k jo us ki body ko fully cover rakhay, jis ka us k mazheb ney usey sakhty se hukum diya hay :)
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: ~ Women Jeans ~

          Originally posted by Ms.Khan
          fazool hai to phir aap bhi aj se jeans phenna band karen :a stick: :a stick:
          or aap ki nazar me larkiyon wala Fashion kia hota hai ?? :mm: :mm:
          Aaram se, ziada tashadud mut keejiye muj musalsal shareef aur lagataar masoom insaan per :na: Yeh jeans ka fashion hergiz aap larkiyon ke liye nahi he yeh baat aap moun khool ke samaj leejiye

          Larkiyon wala fashion wo hota he jis se aurat ka jism pura dhaka ho aur kuch decent lagay...sirf haath aur chehra nazar aanay chahiye, aur ager chehra bhi chupa lein to ziada acha he
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: ~ Women Jeans ~

            Originally posted by Khalil
            balky Behooda kahooo to acha rahy ga..............

            Etni tite ALLAH moafee dain.....Pata nahi muslim larkian kab samjy kee....
            kawa chala hunse kee chall........................
            Theek he, mein bhi is fashion ko behooda fashion keh deta hoon, ub khush
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: ~ Women Jeans ~

              Originally posted by Masood
              hmmm mujhey aap dono sey itifaq nahin sorry :p - libas mein uryaani ka ansar na ho to ussey zaroor pehnena chahiye - Agar larkiyaan siraf jeans aur t-shirt pehan kar ghoomein gi to I too would say bohat behoodgi hai, lekin agar jeans key ooper kurta type ho ya shawl ho jo jisam ki haiyyat ko chhupa ley to jeans pehaneny mein koi harj nahin... Aurat ko siraf is baat ka khiyal rakhna chihiye keh uski ikhlaqi aur mazhabi qadrein kahan hain, isko janeney key baad har woh libas jo aurat ko haseen bnaey/lagey ussey pehanena chahiye :)

              Mujay aap se itfaaq nahi :) chalein ub itnay saray aitraazaat uth rahay hein meri baat pe to mein bataye deta hoon ke jeans pehn'na kese jaiz nahi

              Islam mein Aisay kapdon ko mamaneyat ki gai he:

              Jo Puray Jism ko na dhakein (siwaye haath, paoon, aur chehray ke), baaz ulema to chehray ka perda bhi kerne ko kehtay hein.

              Jo ziada patlay hon ke jism ander se dikhay.

              Itnay tang na hoon ke jism ke nasheeb-o-faraaz, hadohaal ya jism ka dhancha dikhay (aur pent mein yeh dikhta he :) )

              Aisay kapray na pehnein jo bharkeelay hoon aur makhalif jins ko apni taraf attract karein.

              Kapray mukhalif jins ke na hoon.

              Aisay kapray na pehnein jo gair muslman ki nishani ho

              Ager aap samajtay hein ke aisay kapray in sharayet per pura utertay hein..aur larkiyon ko zeeb-tan kerne chahiyein to shook se keejiye, mera jo farz banta to mein bata chuka...aagay aap ki merzi aur in larkiyon ki merzi :)
              :thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: ~ Women Jeans ~

                Originally posted by Eshaa_wellwisher
                u r absolutely wrong .....:na:
                zaroori nahin k jeans pehn-na behooda herkat hay ........un larkiyon k liey kia kahein gay aap jinn k shalwar suite bhi aisay hotay hain k hamein dekh k intehaeey gher munasib lagta hai.......so Jeans ho ya shalwar suite ya even skirt , to wo aisa hona chahieey k jo us ki body ko fully cover rakhay, jis ka us k mazheb ney usey sakhty se hukum diya hay :)
                Islam ko pehlay samaj lijiye aur phir booliye :)
                :thmbup:

                Comment


                • #23
                  Re: ~ Women Jeans ~

                  aap sab log bilawaja behas ker rahey hain, jab ke islam ki taleemat bilkul saaf aur wazeh hain ........

                  Jin jin logo ne kaha jeans pehan'na allow nahi, wo is ka saboot la ker dikhayein ke islam mei kaha likha hai aurton ko jeans pehn'na jayez nahi ...

                  Dosra yeh jeans jo yahan post ki gayi hai, islami taleemat ke mutabiq aur jis tarah ki fittings is mei ki gayi hai, aisey kaprey ( not only jeans any other material) jayez nahi, yahi jeans trouser ager thorey loose ho to oun mei koi qabahat nahi. Islam mei kisi kaprey per pabandi nahi albata ous ki banawat aur pehan'ney ke tareeqay per kuch instructions zaror hain, jo sirf aurat hi nahi mardon per bhi aayed hoti hain. Zada details mei matt jaiyeh magar auton ke liyeh itna hukam hai ke libas aisa munasib ho jis se jism ki banawat nuwmayan na ho aur satr ka hissa dhaka ho. Jo itni si baat samajh lai ousey mazeed behas ki zarorat paish nahi aayeh gi.

                  Mazrat chahti hoon magar yahan jitney bhi lerko ne aiteraz kiy ahai oun se itna zaror kahon gi yeh is tarah se jeans sirf aurton ko hi nahi mardon ko bhi mana hai, kiu ke islami taleemat ke mutabiq mardon ke liyeh bhi jism ke kuch hisson ke liyeh kaprey pehn'ney ke tareeqay per kuch qaid hai, jis ke mutabiq jeans aap ko bhi allow nahi, mei tafseel mei nahi jaoun gi kiu ke yeh section is ke liyeh nahi aur dosra mei lerki hoon, magar yahan aap ne lerkion ke liyeh taleemat parhi hain wahi jaa ker aap is baat ki tasdeeq bhi ker saktey hain :)
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~ Women Jeans ~

                    chaorian g
                    Jiss ny pehnani hay wo sab dalail k bawajood b pehan ly ga.....

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~ Women Jeans ~

                      Originally posted by Sweet & Sour View Post
                      aap sab log bilawaja behas ker rahey hain, jab ke islam ki taleemat bilkul saaf aur wazeh hain ........


                      Mashallah...yeh to bohat achi information di aap ne.


                      Originally posted by Sweet & Sour View Post
                      Jin jin logo ne kaha jeans pehan'
                      Originally posted by Sweet & Sour View Post
                      na allow nahi, wo is ka saboot la ker dikhayein ke islam mei kaha likha hai aurton ko jeans pehn'na jayez nahi ...


                      Waah, aap ne to lajawaab ker diya, what a logical answer. By the way aap ko kis ne kaha ke Jeans auraton pe haram he...aap bhi apne paas se mafroozay kaim ker rahi hein...yahan pe jeans se muraad jeans ki fitting pants ki baat ho rahi he, jis mein female ki legs ka exact diameter bhi mapa ja sakta he. Lafzon ki bajaye aap sense follow kerne ke kooshish kia karein mish...aap jeans ka burka pehnein, koi aap ko mana nahi karay ga, ager koi karay ga to mein usay dekh loon ga


                      Originally posted by Sweet & Sour View Post
                      Dosra yeh jeans jo yahan post ki gayi hai, islami taleemat ke mutabiq aur jis tarah ki fittings is mei ki gayi hai, aisey kaprey ( not only jeans any other material) jayez nahi, yahi jeans trouser ager thorey loose ho to oun mei koi qabahat nahi. Islam mei kisi kaprey per pabandi nahi albata ous ki banawat aur pehan'ney ke tareeqay per kuch instructions zaror hain, jo sirf aurat hi nahi mardon per bhi aayed hoti hain. Zada details mei matt jaiyeh magar auton ke liyeh itna hukam hai ke libas aisa munasib ho jis se jism ki banawat nuwmayan na ho aur satr ka hissa dhaka ho. Jo itni si baat samajh lai ousey mazeed behas ki zarorat paish nahi aayeh gi.
                      Originally posted by Sweet & Sour View Post

                      Mazrat chahti hoon magar yahan jitney bhi lerko ne aiteraz kiy ahai oun se itna zaror kahon gi yeh is tarah se jeans sirf aurton ko hi nahi mardon ko bhi mana hai, kiu ke islami taleemat ke mutabiq mardon ke liyeh bhi jism ke kuch hisson ke liyeh kaprey pehn'ney ke tareeqay per kuch qaid hai, jis ke mutabiq jeans aap ko bhi allow nahi, mei tafseel mei nahi jaoun gi kiu ke yeh section is ke liyeh nahi aur dosra mei lerki hoon, magar yahan aap ne lerkion ke liyeh taleemat parhi hain wahi jaa ker aap is baat ki tasdeeq bhi ker saktey hain :)
                      Dekhiye Auraton aur merd ke satr mein bohat farak he. Aurat ke satr mein wo sirf apne haath paon aur chehra dikha sakti he (baaz ulma kehtay hein ke inhein bhi dhaampna chahiye), jub ke merd ka satr naaf se gutnay tak hota he...lehaza aap ko mixup nahi hona chahiye :)
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~ Women Jeans ~

                        Originally posted by Eshaa_wellwisher View Post
                        u r absolutely wrong .....:na:
                        zaroori nahin k jeans pehn-na behooda herkat hay ........un larkiyon k liey kia kahein gay aap jinn k shalwar suite bhi aisay hotay hain k hamein dekh k intehaeey gher munasib lagta hai.......so Jeans ho ya shalwar suite ya even skirt , to wo aisa hona chahieey k jo us ki body ko fully cover rakhay, jis ka us k mazheb ney usey sakhty se hukum diya hay :)
                        Un larkion kee main baat nahi ker raha...

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~ Women Jeans ~

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          [/color][/size][/font][/size][/font]

                          Mashallah...yeh to bohat achi information di aap ne.

                          :zuban:

                          [color=#8b0000]

                          Waah, aap ne to lajawaab ker diya, what a logical answer. By the way aap ko kis ne kaha ke Jeans auraton pe haram he...aap bhi apne paas se mafroozay kaim ker rahi hein...yahan pe jeans se muraad jeans ki fitting pants ki baat ho rahi he, jis mein female ki legs ka exact diameter bhi mapa ja sakta he. Lafzon ki bajaye aap sense follow kerne ke kooshish kia karein mish...aap jeans ka burka pehnein, koi aap ko mana nahi karay ga, ager koi karay ga to mein usay dekh loon ga

                          aap ko kisi ko dekhney ki zarorat nahi, aap aur aap jese buhut achey achon ko mei khudh hi dekh leti hoon :zuban: ........ rahi baat jeans ka burga pehan'ney ki to sure ....... why not hum yeh bhi ker lain gain magar pehley aap log to insano ki arah mohazab libas pehan ker nazrein jhuka ker chalna seekho, ager aisa ho gaya na janab to yaqin kero aurtein itni tight jeans pehnein yaan is se bhi half aap logo ko koi aiteraz nahi ho ga ....... nazrein, zuban aap logo ki qaboo mei nahi rehti aur naseehatein humein kertey ho ..........


                          [font=Georgia][size=3][color=#8b0000][font=Verdana][size=2][color=#000000]

                          Dekhiye Auraton aur merd ke satr mein bohat farak he. Aurat ke satr mein wo sirf apne haath paon aur chehra dikha sakti he (baaz ulma kehtay hein ke inhein bhi dhaampna chahiye), jub ke merd ka satr naaf se gutnay tak hota he...lehaza aap ko mixup nahi hona chahiye :)

                          yahan bhi aap aadhi baat khudh hi kha gayeh, bhaley bhi mard ke satr ka hissa wahi hai jo aap ne bayan kiya hai . magar yeh btana bhool gayeh ke aisa libas (jeans, tight shorts) jis se aap logo ke satr ke aaza numayan ho wo jayez nahi ....... yeh aap logo ki fitrat ban chuki hai baat outni aur wahi suntey samajhtey ho jo aap ki marzi ki hoti hai ............ double standards :zuban:
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~ Women Jeans ~

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Islam ko pehlay samaj lijiye aur phir booliye :)
                            shukriya aapki is naseehat ka Mr: sialkoti,

                            Wessay aap kis Islam ko samajhnay ki baat kar rahay hain?? ..Wo Islam jis nay aapko ye haq diya hay k aap is forum per sleevless shirt pehan k apni picture lagaen jis forum mein aapko ye maloom hai k larkiyaan bhi hain ........satar k baad jism k baqi hisson ko khula chhor denay ka bhi islam nay kaheen nahin likha aap mardon k lieey bhi ......

                            doosree baat ye k
                            aap ney khud hee kaha hay k
                            Itnay tang na hoon ke jism ke nasheeb-o-faraaz, hadohaal ya jism ka dhancha dikhay (aur pent mein yeh dikhta he :) )
                            isi k lieey humney ye baat ki thi k ager bell bottom jeans k saath long kurta pehna jaey to almost ghutnon tak cover hota hai aur us k baad us pant mein bell hota hai means k wo legs k saath touch nahin hoty k jis se kuch show ho......ya jism ki saakht numayan ho....aap ney shayad ghaur nahin kiya hamaray reply mein k yahan to hum khud ye kehtay hain k jeans k saath chhoty shirts hon to wo intehaeey gher munasib aur ghalat libaas hai.......kion k us se jism ki saakht wazea hoty hai .....aur aisa libaas aap logon k lieey bhi jayaz nahin .....
                            Last edited by Eshaa Chaudhry; 15 August 2006, 07:58.
                            sigpic

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~ Women Jeans ~

                              Originally posted by Sweet & Sour View Post
                              yahan bhi aap aadhi baat khudh hi kha gayeh, bhaley bhi mard ke satr ka hissa wahi hai jo aap ne bayan kiya hai . magar yeh btana bhool gayeh ke aisa libas (jeans, tight shorts) jis se aap logo ke satr ke aaza numayan ho wo jayez nahi ....... yeh aap logo ki fitrat ban chuki hai baat outni aur wahi suntey samajhtey ho jo aap ki marzi ki hoti hai ............ double standards :zuban:
                              Hmmm...aap ko aik baat bata doon, ke aurat aur merd ki jismani saakht mein aur un ke jism ki attraction mein bohat faraq hota he, is liye merd ke liye kuch elehda qaiday hein aur aruat ke liye kuch elehda...well merd ke liye bohat ziada tight jeans nahi sahi ke us ka bhi lower parta ka dhancha dikhay, waqei yeh munasib nahi, lekin merd phir bhi jeans pehan saktay hein...jo bohat tight na ho.

                              Aur aurat ke liye jeans ki pent pahana is liye bhi sahi nahi he ke yeh merdon ka libaas he, go ke is mein maoomli si change ki bhi gai ho lekin is libaas ki inspiration merdana labas se le gai he...aap loog auraton walay aur dhang ke ilabaas ki taraf kyoon nahi aatay ho jis mein aurat ba-wakaar, baheya, ba-perda aur Musalman maloom hoti ho :na:
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~ Women Jeans ~

                                Originally posted by Eshaa_wellwisher View Post
                                shukriya aapki is naseehat ka Mr: sialkoti,
                                aap ney khud hee kaha hay k
                                Itnay tang na hoon ke jism ke nasheeb-o-faraaz, hadohaal ya jism ka dhancha dikhay (aur pent mein yeh dikhta he :) )
                                isi k lieey humney ye baat ki thi k ager bell bottom jeans k saath long kurta pehna jaey to almost ghutnon tak cover hota hai aur us k baad us pant mein bell hota hai means k wo legs k saath touch nahin hoty k jis se kuch show ho......ya jism ki saakht numayan ho....aap ney shayad ghaur nahin kiya hamaray reply mein k yahan to hum khud ye kehtay hain k jeans k saath chhoty shirts hon to wo intehaeey gher munasib aur ghalat libaas hai.......kion k us se jism ki saakht wazea hoty hai .....aur aisa libaas aap logon k lieey bhi jayaz nahin .....
                                Yeh nasihat mein ne farz samaj ke di he :lpop:

                                Jeans aur Kurta, typical merdana libaas he, ager aap aik shik se buch bhi jaein ge to doosri shik mein pakray jaein ge...Mein Jeans aur kurta pehana hoon, aap bhi pehniye, aur ager aap ne short hair kiye hein to mera nahi khyaal ke aap mein aur muj mein door se koi faraq dikhay ga :khi:

                                Mazak mazak mein kaam ki baat kahi, samajnay walon ke liye her cheez mein nishaaniyan moujood hein, aur jo na samajna chahiyein unhein to Allah bhi hidayat nahi deta :)
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X