Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khawateen pay tashadud...:(

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • khawateen pay tashadud...:(

    assalamalikum

    TV pay or Akhbraat main aksar yeh khabar ati rehti hai kay aaj kisi larki kay moun par teezab daala gia, flan khawaton ko susral waloun nay maati ka Tail daal kay jala dia, flaan kay sath flaan kay sath yeh hova......

    in sab ka qasoor waar koon hai ?
    larki kay ghar waley? susraal walye ? ya GOVT jo sakat iqdaam nahi uhtaai is baray main ???

    aap kay khayal main in cheezoun ko kaisay rooka ja sakta hai ???
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: khawateen pay tashadud...:(

    qasoor waar hum kisi aik ko nahin tehra sakte ...bahut se awamil ho sakte hain jin mein se khud larki bhi ho sakti hai......ap ko dhachka laga ho ga keh larki kiun tu bhi humeare samne tasweer ka aik hi rukh paish kiya jaata hai na ......han ye bhi hota hai keh lki se koi mukhalfat ho yani keh us ne taqaze pure na kiye hoon jahez na lai ho ya bahut kam lai ho ....aik aur wajha hai keh larki ke maike aur susral ki apas mein anban ....mager Gvt ker bhi kiya sakti hai jaga jaga police stations banwa ke diye tu hain ab ager koi badnami ke dar se police se rabta na kere tu Gvt kiya ker sakti hai.....
    TV per mein ne bhi bahut se cases in cheson ko jahan tak rokne ki baat hai tu janab jab tak beimani aam hai ye chez kaise roke gi police ko roshwat de ker case daba diya jata hai tu zahir hai zalimon ko police ki support hasil hoti hai sab se pehle police ko sudhara jae log khud ba khud sudhar jaen ge..

    Comment


    • #3
      Re: khawateen pay tashadud...:(

      sirf aik cheez ka kasur hai aur wo hai "islamic Taleem" ki kami
      baki Ambreen ney jaisey kaha key Gov ker bhi kya sakti hai ...gov banti bhi to awam sey hi hai
      to phir agar log khud theek hon gey to gov bhi theek ho gi inshAllah
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: khawateen pay tashadud...:(

        ji qanoon ki to bari kami hai hamaray han agar koi aisa jurm kareyto usay skahat say shakat saza deeni chaye takay doosra aisa karnay ki himmat hi na kar paye ....
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: khawateen pay tashadud...:(

          Is k liyeh shayed lerki khudh sab se zada zimedar hoti hai...:donno:
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: khawateen pay tashadud...:(

            Originally posted by Saima Shaheen
            Is k liyeh shayed lerki khudh sab se zada zimedar hoti hai...:donno:
            wo kaisey
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: khawateen pay tashadud...:(

              Wo aisey k kisi ka zulm sehna sab se bari kamzori hai.......... kisi insaan ko haq nahi pohanchta kisi se ziadti yaan kisi per zulm kerne ka... aur jo log in ki yeh himaqatain sehtey hain wo khudh kasoor waar hotey hain. There are limits for every thing.
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: khawateen pay tashadud...:(

                Aanchal aap ne aik boht hi acha mozo chuna hey jis per boht se dlayel diye ja saktay hein, behs ki ja sakti hey. Khwateen k haqooq ki aalmi tanzeemein, akhbaraat, internet, aur media k deegar zraye har roz iss per bat kartay hein, lekin kia hum ne aaj tak koi musbat natayej dekhay hein?
                Hum qanoon ki bat keraty hein, islami taleem ki bat kartay hein, Haqooq ki bat kertay hein............mugar afsos k hum SIRF BAT hi kartay hein, amli taur per hum in cheezon se boht door hein.
                Gul ne boht mukhtasir sa jwab diya hey mugar meray khyal se saray dlayel aur saray hall iss mukhtasir se jwab mein hi poshida hein. Humara watan Pakistan aik Islami rayasat hey,, to iss mein aisay qwaneen kiyun nhi hein jo islam ki roo se aurat ke haqooq k liye laagoo hotay hon? Shayed aisay qwaneen hon jin ka ilm sirf adalton mein bethatany walay judges ya wuklah k ilm mein hon lekin awaam k liye unn ka hasool mumkin nhi hey.
                Meri behn meray mulk mein mard k liye INSAF ka hasool boht dushwar hey to aurat to kisi khatay mein aati hi nhi hey.
                Shayed mein mozoo se hat kar bat kar rahi hoon. Mozoo ki traf aatay huye kahoon gi k Aurat per zulm aur tashadud k kai aik awamal hein. sub se barri wajah meri nazar mein HUMARA CULTURE aur TALEEM ki kami hey. Culture iss hawalay se k humaray muhashray mein yeh samjha jata hey k aurat maar khati aai hey yeh koi nai bat nhi hey, ehtejaj karay gi to muhn phatt aur badtameez kehlaye gi, apnay haqooq k liye ghar se baher qadam nikalay gi to awaara aur fahesha thehrai jaye gi, Waldain iss liye khamosh karwa dein gay k beti humari izzat ka swal hey, agar waldain educated aur waseeh ul zehn hein to wo apni beti ka zaroor saath dein gay. lekin zayada tar yeh dekha jata hey k waldain bhi apni nam nehaad izzat ka janaza uthata nhi dekh saktay ,chahay beti ka janaza uth jaye. (I m sorry Aanchal yeh boht hi takleef deh mozoo hey mein mazeed iss per kuch nhi kehna chahti hoon. aik artcle shiroo kar rakha hey, jald hi aap ko parhnay ko milay ga)

                Comment


                • #9
                  Re: khawateen pay tashadud...:(

                  shayed kuch is thread se bhi mil jaye

                  جہیز ایک لعنت ہے





                  Comment

                  Working...
                  X