Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

    assalamalikum

    ajj kal bari garmi par rahi hai //mosuam kay temperature kat sath sath banday ka temper bhi high hoo jata hai :lol

    aisa karain sab apni pani pasand ki thandi thandi sharbat/juice ki recipes post karain :)
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

    Mujhe Sharbat aur soft drinks bilkul pasand nahi......

    Haan fresh juices zaroor pasand hain, mere juices ki koi ek recepie nahi hoti... jo seasonal phal gher per ho'n, mei oun ka juice bana laiti hoon. Magar milk shakes nahi :D:

    Phir bhi mera most fav cocktail hai

    is k liyeh aap ko jin phalo ki zarrorat hai woh hain

    - 2 Orange
    - 1 kiwi
    - 2-3 strawberries
    - 2 pineapple slice ( ager hon to )

    In phalo'n ko kaat lain aur juicer mei daal ker blend ker lain, cocktail tayar hai,

    arey juicer ke jug se hi pina shuroo ker diya ...glass mei daal ker piyo :tauba

    Wese to aaj kal Aam ka mosam hai aap ko gher mei sab se zada aasan aur achi Mango ice cream banaey ka taqira batati hoon

    ous k liyeh jo chizein chahiyeh wo note ker lain,

    Ek Aam (fresh mango)
    Ek chothai cup fresh cream (1/4 cup)
    1 table spoon suger
    (badam, pistey yaan koi bhi dry fruit jo aap pasand kero, kata huwa)

    Fresh mango ko kaat ker aur slices ker kay 3-4 ghantey k liyeh freezer mei rakhein. Phir jab ice cream banana ho to yeh slices, cream, suger sab chizain ek sath blend ker lain, aur ice cream cup mei nikal ker badam sprinkle ker dain. Ice cream fori torr per khaney k liyeh tayar hai ;)
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

      shurkiya saima ...waqai shake peenay ka dil chah raha hai ab
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

        Originally posted by barg.e.gul
        shurkiya saima ...waqai shake peenay ka dil chah raha hai ab
        Welcome :) ........... Aur mera Ice cream khaney ko :D:
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

          Umm germi mai soft drink sy zaadaa mujhy to icecream khana acha lagta hai..aur mai icecream ko he prefer kerte hon..:D: but soft drinks bhe must he hote hain germioo main

          mai ap sy 2 soft drink ki reciepe share kerte hon jo bohaaat easy aur bohaaaaaaaaaaaaaaaat tasty hoty hain

          Falsy ka sharbat:
          1)1/2 cup faalsy dho ker 1 cup thanday pani mai bhigo ker freezer main rakh dain taky wo soft ho ja'ain

          2)phir un ko blender main daal ker pain samaid achii tarah blend ker lain

          3) 2 tb sp sugar aur 1/2 tsp kala namak dalain us main aur bohat sare baraf daal ker glass main dalay aur pee lain

          Sakanjabeen/leemo pani:

          1)1 lemoo ka juice nikaal ker 1 tb sp sugar aur 1/2 tsp kala namak dalain phir 1/4 cup saady pani main achii tarah mila lain

          2)phir is main thanda pani aur baraf daal lain

          3)serve kerty wakt glass ky corner per lemon ka piece laga ker serve keray..:eye:

          Comment

          • #6
            Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

            Originally posted by Saima Shaheen
            [b][color=magenta]
            Wese to aaj kal Aam ka mosam hai aap ko gher mei sab se zada aasan aur achi Mango ice cream banaey ka taqira batati hoon

            ous k liyeh jo chizein chahiyeh wo note ker lain,

            Ek Aam (fresh mango)
            Ek chothai cup fresh cream (1/4 cup)
            1 table spoon suger
            (badam, pistey yaan koi bhi dry fruit jo aap pasand kero, kata huwa)

            Fresh mango ko kaat ker aur slices ker kay 3-4 ghantey k liyeh freezer mei rakhein. Phir jab ice cream banana ho to yeh slices, cream, suger sab chizain ek sath blend ker lain, aur ice cream cup mei nikal ker badam sprinkle ker dain. Ice cream fori torr per khaney k liyeh tayar hai ;)
            hmmm ice cream
            waisay sari cheezian blend karnay say woh patla mixture nahi hoo jaye ga ? :embarasse ...pher usay freezar main nahi reakhna ???

            main mostly Rooh afza bana kay glass main daal kay andar chamach daal kay fridge main reakh daiti houn ..jab baraf ka goola ban jata hai to glass say nikal kay kahti houn :D

            or kabhi doodh main rooh afzaa daal kay fridge main reakh daiti houn ...

            kabhi kuch kabhi kuch ....

            or juice main aksar banati rehti houn..bantay bhi kafi asanai say or jaldi hain ...
            lemon juice....lemon , cheeni, pani, baraf ....mix kar loo sab ko , or namak bhi dala ja sakta hai is main ...

            or mango milk shake........aam, doodh, cheeni, pani , baraf ...mix kar doo blendar main sab ko......

            n meehti lassi :)
            baraf, dahi, cheeni. doodh, pani ....sab mila kay mixture bana leena hai .......

            lassi garmoun main waisay bhi thandak pounchati hai ... :D:
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment

            • #7
              Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

              Originally posted by Aanchal

              Nahi dear, issi liyeh to mango slices ko freeze kerna hai ager woh frozen nahi hon gai tab soft ho ga, ager woh achey se frozen hon gai tab sahi rahey ga.

              Yeh idea mazey ka lagta hai, mei bhi try keroo gi :D
              Last edited by 'SamRazi'; 23 June 2005, 19:28.
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

                Pattah nahin aap log kyun garmi garmi pukaar rahey hain, yahan par to bohat zabardast mausam hai, thandi hawa bhi hai aur garmi bhi, aik do din baad baarish bhi khoob ho jati hai - bada zabardast mausam hai yahan ka
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

                  Originally posted by Masood
                  Pattah nahin aap log kyun garmi garmi pukaar rahey hain, yahan par to bohat zabardast mausam hai, thandi hawa bhi hai aur garmi bhi, aik do din baad baarish bhi khoob ho jati hai - bada zabardast mausam hai yahan ka
                  ahan to Mareekh ka mousam acha hai :p
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

                    kabhi aap logon kherbuzey ka shake try kiya hai ? bohot mazzey ka hota hai

                    aur banta bohot assaani sey hai yani
                    kherbuzey key slice lein aur us ko juicer mey daal ker doodh bhi shamil ker dien
                    jab mix ho jaye to nikal ker thanda ker lein agar sugar leyni hai to wo bhi daal dein

                    uper sey aap dry fruits bhi daal saktey hein
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #11

                      abhi tak to kharboozaye wala try nahi kia ...ab try karna parey ga :)
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

                        Originally posted by Masood
                        Pattah nahin aap log kyun garmi garmi pukaar rahey hain, yahan par to bohat zabardast mausam hai, thandi hawa bhi hai aur garmi bhi, aik do din baad baarish bhi khoob ho jati hai - bada zabardast mausam hai yahan ka

                        Germi ka to yahan bhi pata nahi chalta cause sara din to AC's mei hotey hain...magar yeh kis ne kaah k aap shakes aur ice cream bas germi mei hi istemal kar saktey hain
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

                          Originally posted by Saima Shaheen
                          Germi ka to yahan bhi pata nahi chalta cause sara din to AC's mei hotey hain...magar yeh kis ne kaah k aap shakes aur ice cream bas germi mei hi istemal kar saktey hain
                          ye to nahi kaha kisi ney .... garmi ho to mashroobaat ki talab ziada hoti hai banisbat jab mausam thanda ho :-)
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #14
                            Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

                            Originally posted by barg.e.gul
                            ye to nahi kaha kisi ney .... garmi ho to mashroobaat ki talab ziada hoti hai banisbat jab mausam thanda ho :-)
                            G nahi.......... Germi ho yaan thand ... mei fresh juice zaroor peeti hoon daily.
                            And I dont enjoy eating ice cream when its hot........... Icecream khaney ka sahi maza thand mei hai ;) ...... kabhi try kijiyeh ga:-) .
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: Garmi garmi garmiiiiiiiiiiiiiiiiiii

                              Originally posted by Saima Shaheen
                              G nahi.......... Germi ho yaan thand ... mei fresh juice zaroor peeti hoon daily.
                              And I dont enjoy eating ice cream when its hot........... Icecream khaney ka sahi maza thand mei hai ;) ...... kabhi try kijiyeh ga:-) .
                              nahe naaaa
                              Icecream khany ka maza to her wakt he aata hai chahy germe ho ya serdee :)
                              haan serdioo mai zaada maza ata hai ..:eye:

                              Comment

                              Working...
                              X