Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Fashion karna kitna zarori hai ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Fashion karna kitna zarori hai ?

    Assalamalikum
    aap kay khayal main fashion karna kita zarori hai ?
    aap kay nazdeek fashion kia cheez hai ?
    aap fashion or over fashion main kis taraha faraq kar sakti hain ???

    chalian ji aaj fashion kay topic pay gal baat kartay hain
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

    :salam: Merii khyaal mein Fashion aur zindagii laazim o malzoom hein, :)
    Leekin Fashion ka matlab apney aap ko zamaaney key saath chalaana hey na key apna jism dikhaana. Aur na hi dheeroon shopping karna. Merey khyaal mein insaan key paas bunyaadii zaroorat sey zeaada saamaan nahi hona chaahiey, :D iss sey zidagii mein mushkalaat peeda hotii hein :rose

    Comment

    • #3
      Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

      Assalaam-0-Alaikom:rose

      acha thread hai ,...............kal reply karon gi

      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      • #4
        Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

        Assalaam-0-Alaikom:rose

        Fasion innovations ka naam hai
        aik cheeez ko naye daur kay lihaaz say modify kar daina fasion kehlata hai....
        yeh nazroorn ko bhala bhi lag sakta hai....aur acha lagna zuroori bhi nahin
        yeh depend karta hai humaray culture per....humaray rivaaaj aur riwayat is baat ka taun kartay hain ....aya keh humain yeh naye andaaz apnanay chahiye ya nahin .....

        jaisay keh kaha ja ta hai keh her cheez ki had hoti hai ... yeh baat fasion kay mamlay main bhi apply hoti hai... apni personality say match honay walay naye tareeqay apnanay main koi harj nahin ....lakin jahan aap ki personality aur aap ka ikhtiyaar kiya janay wala andaaz irrelevent lagta hai tu wahin shayed over fasion ki term use ki jati hai .....
        fasion ko apnana chahiye ...lakin apni religious aur social aqdar ko samnay rakhtay hoye...

        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment

        • #5
          Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

          Fashion ki history outni hi purani hai jitni insan ki, yaan yun keh lai jab se aurat wajood mei aayi, aurat ko shuroo se hi ban'ney sanwarney ka shoq raha hai, jo ous ka haq bhi hai, jisey aaj kal hum ne fashion ka nam dai diya hai, behter se behter libas pehan'na, zewar pehn'na, aur make up kerna fashion mei aata hai, aur aurta ka bunyadi haq hai. Haan yahan yeh baat zaror lagoo hoti hai ke yeh fashion kis hadth tak kiya jaa raha hai aur kis niyat se, ager aurat apni hadton mei reh ker banao singhar kerti hai to jayez hai magar ager khudh-numayi ke liyeh kerti hai to wo barbadi ki taraf barhti jati hai.
          Apni shaksiyat ko nikharney ke liyeh ous apney libas, zewar aur makeup mei halki si tabdeelian kerna fashion kehlata hai, aur bejaa khudh ki numaish kerne ke liyeh jo kiya jayeh wo over fashion kehlayeh ga.
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

            Assalam-o-Alikum!!!!:salam:

            hmmmmm nice topic:rose !!!!per afssooos mai iss baray ma kuch nahi kah sakti ya baat nahi kah mai bohat extremist type bandi hon per trust me I never believe in fashion word..............mujhay interest hi nahi ha.....haan izhar-e-ray diya ja sakta ha fashion per ....magar ma khud iss fashion naam ko nhi manti...mai wohi pahnti hon wohi style apnati hon jo mujhay bhala lagay ..aur mostly jo reasonable aur decent ho.Meray liya fashion koi mann'i nahi rakhta ...iss liya ma janay ki bhi kosish nahi karti kah whats In and whats not.......:donno: Iss ki wajha kuch waqt nahi milta aur kuch mera mahool ha .....University level per akar iss tarhana ki baten souchna bewaqoofi ha ..aur jo larkiyan university ma fashion kar ka ati hain woh phir Aik Item hi lag rhi hoti hain aur sab kay mazah ka nishana banti ha .........abhi tak maina yahi dekha ha.........:lpop:
            Ajj kal ka Fashion tu iss qabil hi nahi kah dekha bhi jay ya uss per appliment kiya jay .......sab humaray dean-e-Islam ka khilaf lagta ha mujhay .......bay hayai ka koi unsar asa nahi jo fashion ka naam per nahi kiya ja raha ho.........Ya aik fact ha....
            Last edited by fari; 7 July 2006, 10:07.

            Comment

            • #7
              Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

              Assalaam-0-Alaikom:rose

              main bhi numaaish karnay wali khawateen kay sakht khilaaf hoon

              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment

              • #8
                Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

                Originally posted by fari

                fari bilkul sahih kaha ....:phool:

                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment

                • #9
                  Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

                  very nice topic ........
                  mere khayal me larkiyo ko fashion karna chaheye lekin apne culture ko saamne rakhte hoe......jo fashion aaj kal ho raha hai usse fashion nahi kaha ja sakta.........fashion me apne dressing me nae designs, new style of jewellry and shoes aur normal makeup aata hai..zarori nahi jo aaj kal har koi kare wo kare balke wo fashion apnana chaheye jis me hum comfortable ho aur khoshi feel kare ..........
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

                    Orat ke lye singhar lazmi cheez hay lekan singhar sirf aur sirf apne gher main hona chahey :) Ooper kuch members ne kaha ke fashion aisa hona chahye jo hadoN main ho....Mere khayals e fashion khud numayi ke lye kya jata hay :) jabke Islam Humain is cheez se rokta hay :) Singhar sirf gher main :) Gher se bahir bilkul manah hona chahey :) Yahan tak ke kisi ko pata bhi na chale ke bazar se koi orat guzri hay :)
                    Allah

                    Comment

                    • #11
                      Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

                      Originally posted by fari
                      Assalam-o-Alikum!!!!:salam:

                      hmmmmm nice topic:rose !!!!per afssooos mai iss baray ma kuch nahi kah sakti ya baat nahi kah mai bohat extremist type bandi hon per trust me I never believe in fashion word..............mujhay interest hi nahi ha.....haan izhar-e-ray diya ja sakta ha fashion per ....magar ma khud iss fashion naam ko nhi manti...mai wohi pahnti hon wohi style apnati hon jo mujhay bhala lagay ..aur mostly jo reasonable aur decent ho.Meray liya fashion koi mann'i nahi rakhta ...iss liya ma janay ki bhi kosish nahi karti kah whats In and whats not.......:donno: Iss ki wajha kuch waqt nahi milta aur kuch mera mahool ha .....University level per akar iss tarhana ki baten souchna bewaqoofi ha ..aur jo larkiyan university ma fashion kar ka ati hain woh phir Aik Item hi lag rhi hoti hain aur sab kay mazah ka nishana banti ha .........abhi tak maina yahi dekha ha.........:lpop:
                      Ajj kal ka Fashion tu iss qabil hi nahi kah dekha bhi jay ya uss per appliment kiya jay .......sab humaray dean-e-Islam ka khilaf lagta ha mujhay .......bay hayai ka koi unsar asa nahi jo fashion ka naam per nahi kiya ja raha ho.........Ya aik fact ha....
                      MashAllah :rose
                      Bilkul theek kaha aap ne fari :rose
                      Allah

                      Comment

                      • #12
                        Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

                        agar mujhey ijazat hai to....

                        "aurat Allah Tala ney husn-o-khoobusrati sey pedah ki hai aur ussey banao singhar ka poora poora haq hasil hai, issey islam ney bhi mana nahin kiya. Lekin woh fashion jo aaj kal chal raha hai jis mein larkiyaan fashion key pardey mein maghribiyat ki taqleed sakht na'zeba cheez hai, balkey aik bohat sangeel sahu (ghalti) hai. Main is baat key haq mein hoon key aurat ko achhey sey achha libas jo ussey khoobsurat bnaey pehnana chahiye, bashart yeh keh us mein uryani na ho. Makeup waghera hona chahiye agar over na lagey, baal sanwrey hi achhey lagtey hain. Aik fact hai keh ham sab aurat ko khoobsurat dekhna chahiye hain, to jo uski zarooriyat hain unhein poora hona chahiye..
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Re: Fashion karna kitna zarori hai ?

                          han han zarori hay werna kali larkian gori kaisy nazer aay gee.

                          Comment

                          Working...
                          X