Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik sawal, aik khawahish?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aik sawal, aik khawahish?

    Salam pyari behno aur bahiyoo

    aaj aap saab se aik sawal kerna chahti hoon, aur wo yeh kai....aik larki apni shadi se pehle kuch aisey khawahishaat kai saath widaa horahi hoti hai....wo jazbaat kaisey hotey hain..jismai apne maa baap...bahi behno ..ko chodhne ka gham hota hai...unkai saath itna arsaa guzra hua her pal ankhou mai liye aik ajeeb sa gham hota hai....aur saath hi apne zindagi kai saathi kai pass humesha jaaney kai liye aik khushi...aur bohat se khawaab hote hain........aur aik yeh darr kai...kiya yeh khawaab poore honge...kiya yeh naiy zindagi ....wo raang laey gi....jo ankhou mai hai?.............aisey mai aik larki ki kaisey jazbaat hotey hain...........aik larki aik ghar se doosre ghar mai jaatey huey.........apnaaa poora wajood hi badal rahi hoti hai....apni zindagi kai doosre modh per jarahi hoti hai....app saab ki kiya khialaat hain iss per.............kiya aisey mai uskai honai wale kai saathi ko chahiey ..kai uska kis tarah se saath de............:rose

  • #2
    Re: Aik sawal, aik khawahish?

    larkiun ka nae zindagi ke bare mein khush aend khwab dekhna.....mager sath sath andeshon ne bhi gher rakha ho keh khuda jane taqdeer mein kiya likha ho....ager jewan sathi samajhdar ho ga tu yaqenan woh apni biwi ke ehsasat ko samjhe ga jazbati sahara bane ga os ka ....lakin larkiyun ke zehen mein ye bhi hona chahiyye keh ho sakta ho ke age ki rah purkhar ho tu apna aap ko thora saa practical bana ker nae gher ki dehliz ko par keren...

    Comment

    • #3
      Re: Aik sawal, aik khawahish?

      acha topic shuru kia hai aap nay aroosa ..
      har larki kay shadi say pehlay buhat khawaab hotay hain ...aik acha ghar banana jo us ka apna hoo usay apnay saleeqaye or peyaar say saja sakye ...aik achi biwi , bahu or aik achi maa ban sakye ....shadi kay waqat yakenan unhaye ghar choornay ka dukh zaror hota hoo ga laiken is kay sath us ki aik nai zindagi ki shuruwaat hoo rahi hoti hai .....woh to achay khawaab lay kay hi jati hai laiken is kay sath sath us kay husband ko bhi us kay adhooray sapnay poorany karnay main us ka sath deena chaye ....agar usay ghar main woh maakam hi na millaye jis ki woh mustahiq hai to pher us ka kia hoo ga ?? aik husband, sas or doosray ghar walye sab ko apnay faraiz ka khayal reakhna chaye ( yeh alag baat hai aisa aksar nazar nahi ata ) ..husband ko is baat ka zaida khayal reakhna chaye kay aik larki apna sab kuch apnaay maa ,baap, behan, bahi or apni har cheez peachay choor kay us kay paas atai hai agar husband hi us ka sath na daye to shayad zindagi itni asaan na hoo guzarana .....aik larki ko bhi chaye woh apnay toor pay bhi apnay halat ko behtar bananay ki kushish karey :)
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #4
        Re: Aik sawal, aik khawahish?

        hmm ambereen sister aur aanchal sis apkai khilaylaat padh ker acha laga.......aap ne bohat achi baat ki kai ager saathi saath de ..to saab acha rehta hai....maire khiaal mai bih........aik saathi jaab mohabaat deta hai...uska pooora saath deta hai..to uss larki kai liye iss se badi aur koi khushi ki baat nahi hoti...ar wo apni poori zindagi....ksii bih mushkil mai guzaar sakti hai...ager uska saathi usska saath dena wala hamdard ho to......................
        aisiy akser larkia hoti hain.....

        Comment

        • #5
          Re: Aik sawal, aik khawahish?

          Apni gudiyon, saheliyon, pyari si adaoun, ghar ki ronaqon, bhaiyon sey shrarton, waldein ki shafqat key sayoun aur aik ghar sey Allah Tala ki rehmaton ko apney dil mein chhupaey aik naey ghar janey wali larki ko aik baat apney zehan mein achhi tarha bithaa leni chahiye keh uski asal zindagi ka aaghaz AB ho raha hai. Us ney bohat sey khawab buney hain, bohat si aasein wabasta ki hain, bohat sey umeedein rakhi hain keh yeh neya safar khushgwaar ho ga LEKIN aisa nahin hai. Zindagi aik suffering hai aur aik aurat key liye ziyada badi suffering hai. Uskey khawab kisi waqt bhi chakna-choor ho saktey hain. Agar ussey aik aisa ghar mil jaey jo uski umango sey milta julta ho, ussey shohar mil jaey jo ussey wafaoun aur muhabbaton key zewaraat mein tol dey, uski shadi shuda zindagi uski umeedon key mutabiq ho jaey to ussey BONUS smajhna chahiye. Zindagi imtihano sey bhari hai. Kuchh auraton ki zindagi mein siwaey tootey huwey khawabon key kuchh nahin hota until they get a baby. Aulad aurat ko tmaam suffering sey nijaat dila deti hai. Uski kul kainaat apni aulad hoti hai, agar shohar ki taraf sey woh tawajoh na milley to.
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Aik sawal, aik khawahish?

            :)
            Attached Files

            Comment

            • #7
              Re: Aik sawal, aik khawahish?

              btw main sooch rahi houn kay larkian to kafi kuch sooch kay jati hain jab apnay susral jati hain ......to kia larkay kuch nahi soochtay ? :cc:
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #8
                Re: Aik sawal, aik khawahish?

                Originally posted by Aanchal
                btw main sooch rahi houn kay larkian to kafi kuch sooch kay jati hain jab apnay susral jati hain ......to kia larkay kuch nahi soochtay ? :cc:
                umm haan
                mery khayal ma to vo kuch nahe soochty :pcoz wo to apny gher mai he rehty hain na ..apny susraal mai thore na :D

                Comment

                • #9
                  Re: Aik sawal, aik khawahish?

                  Originally posted by aroosa
                  Salam pyari behno aur bahiyoo

                  aaj aap saab se aik sawal kerna chahti hoon, aur wo yeh kai....aik larki apni shadi se pehle kuch aisey khawahishaat kai saath widaa horahi hoti hai....wo jazbaat kaisey hotey hain..jismai apne maa baap...bahi behno ..ko chodhne ka gham hota hai...unkai saath itna arsaa guzra hua her pal ankhou mai liye aik ajeeb sa gham hota hai....aur saath hi apne zindagi kai saathi kai pass humesha jaaney kai liye aik khushi...aur bohat se khawaab hote hain........aur aik yeh darr kai...kiya yeh khawaab poore honge...kiya yeh naiy zindagi ....wo raang laey gi....jo ankhou mai hai?.............aisey mai aik larki ki kaisey jazbaat hotey hain...........aik larki aik ghar se doosre ghar mai jaatey huey.........apnaaa poora wajood hi badal rahi hoti hai....apni zindagi kai doosre modh per jarahi hoti hai....app saab ki kiya khialaat hain iss per.............kiya aisey mai uskai honai wale kai saathi ko chahiey ..kai uska kis tarah se saath de............:rose

                  Bahut achchha topic aroosa

                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment

                  • #10
                    Re: Aik sawal, aik khawahish?

                    Originally posted by Aanchal
                    btw main sooch rahi houn kay larkian to kafi kuch sooch kay jati hain jab apnay susral jati hain ......to kia larkay kuch nahi soochtay ? :cc:
                    Aisi baat nahiN hai Madam, laRkiyaN young hone ke baad sirf aur sirf KHWAB dekhna shuru kar deti haiN, unka sapno ka saajan aisa hoga...to waisa hoga...aur intezar karti hai...shaadi ka...

                    lekin laRkoN ke saath aisa nahiN hai...wo to KHWAB bhi nahiN dekh sakta...kyoN ke degree Khatm hone ke baad naukri ki fiKhar rahti hai...wo bhi chahta hai ke ek achha sa job mile, apna alag achha sa ghar ho, aur ek car...tab jaa ke isske aage ubharti hai ek TASVEER, tasveer bole to ek jhakkas laRki ki...intelligent, khubsurat, jhuki nazreN uThaye, uTha ke phir jhukaye, thoRi sharmili si but thoRi dusht bhi laRne-jhagaRne wali, inn sab KhyaloN mein wo bechara shoes ghista hai, walk in interview meiN waqt barbad karta hai...aur phir khwab bhi nahiN dekh sakta...laRkiyaN utna nahiN sochti jitna laRke sochte haiN.
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #11
                      Re: Aik sawal, aik khawahish?

                      Originally posted by Spy009

                      to is taraha to lagta hai larkay apni ideal hi kay khawaab soochtay rehtay hain

                      larkiyan or larkoun kay khawaab alag alag hotay hain lekan khawaab deekhtay donoo hain na !!

                      main aik yeh sawal pouchna cha rahi the kay jab larki ki shadi hoti hai har koi us kay sar pay sawar rehta hai shadi kay bad yeh karna woh karna waldeen ki nasehatain , rishtadaroun ki or susral ja kay husband or saas ki waghera waghera...... to jab larkay ki shadi hotay hai to main nay nahi suna kay usay bhi yehi naseehatain ki jati houn kay kis taraha apni shadi shuda zindagi ko acha banana hai ......sari naseehtain female kay leye hoti hain kia ?
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: Aik sawal, aik khawahish?

                        Originally posted by aik_lerki
                        umm haan
                        mery khayal ma to vo kuch nahe soochty :pcoz wo to apny gher mai he rehty hain na ..apny susraal mai thore na :D
                        lolz han woh shadi kay bad apnay amma aab akay paas hi hotay hain par shadi to larkay ki bhi to hoo rahi hoti hai na :wk
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #13
                          Re: Aik sawal, aik khawahish?

                          Originally posted by Aanchal
                          to is taraha to lagta hai larkay apni ideal hi kay khawaab soochtay rehtay hain

                          larkiyan or larkoun kay khawaab alag alag hotay hain lekan khawaab deekhtay donoo hain na !!

                          main aik yeh sawal pouchna cha rahi the kay jab larki ki shadi hoti hai har koi us kay sar pay sawar rehta hai shadi kay bad yeh karna woh karna waldeen ki nasehatain , rishtadaroun ki or susral ja kay husband or saas ki waghera waghera...... to jab larkay ki shadi hotay hai to main nay nahi suna kay usay bhi yehi naseehatain ki jati houn kay kis taraha apni shadi shuda zindagi ko acha banana hai ......sari naseehtain female kay leye hoti hain kia ?
                          ji haaN wo bhi sochte haiN...per uski bhi majboori hoti hai...wahi settlement ki, ab Sasural main laRkiyoN ko uske sasural waloN si kitni tanbih aur nasihateiN milti hai...ye to depend karta hai wife-husband per ke wo dono mil kar kaise carry on kare.

                          aur phir yeh "nasihatoN" wali baat mere Khyal meiN sabhi jagah nahiN hoti hogi, agar hota bhi hoga to zaahir si baat hai ke laRki kuchh naa kucch ghalti karti hogi...kyoN ke wo nai jagah meiN samajh nahiN pati hogi k koun kis mijaz ke haiN, kise kya pasand hai...wagHaira wagHaira.

                          kyoN ki saas bhi kabhi bahu thi...aur bahu bhi kabhi saas banegi...
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment

                          • #14
                            Re: Aik sawal, aik khawahish?

                            Originally posted by aik_lerki
                            umm haan
                            mery khayal ma to vo kuch nahe soochty :pcoz wo to apny gher mai he rehty hain na ..apny susraal mai thore na :D
                            Tum aisa karo k waisa laRka talaash karo jo tumhare ghar meiN rahe...agar Hindustan meiN tum hoti to maiN tumhara yeh problem solve kar deta.
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #15
                              Re: Aik sawal, aik khawahish?

                              Originally posted by Spy009
                              [color=blue]aur phir yeh "nasihatoN" wali baat mere Khyal meiN sabhi jagah nahiN hoti hogi, agar hota bhi hoga to zaahir si baat hai ke laRki kuchh naa kucch ghalti karti hogi...
                              asmani maklooq waloun kay han nahi hoti houn gee naseehatain :p

                              kyoN ki saas bhi kabhi bahu thi...aur bahu bhi kabhi saas banegi...

                              saas bhi kabhi bahoo the to unhay apni bahoo kay masayal ko zaida samjhna chaye ....

                              or bahoo bhi kabhi saas banaye gee to woh door ki baat hai us nay abhi banna hai bani nahi ...
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X