Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

career or shadi ...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • career or shadi ...

    Assalamalikum

    har larki kay kuch khawab hotay hain apni zindai kay baray main ..us ka aik apna carrer hota hai ...lekan parhai kay bad jesay hi carrer bananay ki bari ati hai us ki shadi hoo jati hai (mostly aisa hota hia )...shadi kay bad larkiyan itna kuch kar nahi pati shouhar ghar bachay bas inhi main mehsoor hoo kay reh jati hai ....
    is leye aaj kal ki larkiyan yeh kehti hai pehlay ham apna carrer banain gee pher shadi karain gee ....woh shadi ko carer ki raah main rukawat samjahti hain ...

    aap logoo ka is baray main kia khayal hai ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: carrer or shadi ...

    akswer larkiyaan shadi ko hi apna carrier samajti hein :lol

    waise bhi larkiyoon ko apne carrier se ziada us larkay ke carrier ki fiker kerni chahiye jin se un ki shadi honi he...aur jahan tak apnay carrier ki baat he...to mein yeh kahoon ga ke larki ko is baray mein struggle tub kerni chahiye jub us ki shadi nakaam ho jaye ya us ka hubby usay sahi tareekay se support na ker pa raha ho...otherwise there is no need to go for something not necessary at all.
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: carrer or shadi ...

      Originally posted by munda_sialkoty

      aiewayeen
      larrkey larrkion ko dhamkion ke siwa detey kia hain ?? jo un ki fikar kerni chahye ?? huh

      Studies.. Career first... shaadi is just the End of life..
      after 40's kerni chahye... :khi::lpop:
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment

      • #4
        Re: career or shadi ...

        Agar larkiyon ki baat hai siraf to meri zaati soch yeh hai keh aik larki ko taleem ki zaroorat aik larkey ki nisbat ziyada hai. Woh is liye keh larki aik nasal ko janam deti hai aur agar woh taleem'yafta hai to woh apni aulad ki behtar tarbiyat kar sakti hai.

        Is tarha agar aik larki apna career bnana chahti hai to ussey poora haq hasil hona chahiye - infact main is baat key haq mein hoon keh larki ko independent hona chahiye. Kabhi kisi per inehsaar nahin karna chahiye. Yeh koi zaroori nahin keh woh shadi key baad kaam hi karey - agar halaat ijazat detey hain aur woh ghar mein rehna ziayda pasand karti hai to it's okay - agar woh apna career continue rakhna chahey then it's also okay :)

        Career is must !
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: career or shadi ...

          Nice topic Aanchal ji,
          mere khayal se lakiyon ka bhi haq hai ke wo larko ki tarha aala taleem hasil kare aur apna career banaye.zindagi me jab bhi koi mushkil waqt aata hai to ye parhae he kaam aati hai.aap ka post hai shadi ya career,both are important but first career then shadi
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: carrer or shadi ...

            Originally posted by Aania
            aiewayeen
            larrkey larrkion ko dhamkion ke siwa detey kia hain ?? jo un ki fikar kerni chahye ?? huh

            Studies.. Career first... shaadi is just the End of life..
            after 40's kerni chahye... :khi::lpop:
            Dhamkiyaan aur wo bhi musalsal shareef larkay mein ne to hameesha larkiyoon ko dhamkiyaan dete dekha he...larka jese masoom sanaf per aap yeh kia ilzaam aid ker rahi hein...aap ko zaroor kisi ne ghalat bataya ho ga :lpop:

            Larkiyoon ko perhai kerni chahiye...aur shadi ker ke sharafat ke saath apne buchay aur miyaoon ko paalna chahiye :lol ager aik larki carrier ke liye apne buchay choor ke bahir niklay gi to us ke saaray buchoon ka carrier daoo pe lug jaye ga...lehaza apne carrier se ziada apne choozon ke carrier ka soochna chahiye larkiyoon ko :lol
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: career or shadi ...

              Originally posted by Masood
              Agar larkiyon ki baat hai siraf to meri zaati soch yeh hai keh aik larki ko taleem ki zaroorat aik larkey ki nisbat ziyada hai. Woh is liye keh larki aik nasal ko janam deti hai aur agar woh taleem'yafta hai to woh apni aulad ki behtar tarbiyat kar sakti hai.

              Is tarha agar aik larki apna career bnana chahti hai to ussey poora haq hasil hona chahiye - infact main is baat key haq mein hoon keh larki ko independent hona chahiye. Kabhi kisi per inehsaar nahin karna chahiye. Yeh koi zaroori nahin keh woh shadi key baad kaam hi karey - agar halaat ijazat detey hain aur woh ghar mein rehna ziayda pasand karti hai to it's okay - agar woh apna career continue rakhna chahey then it's also okay :)

              Career is must !
              Islami nazam mein merd kamata he aur aurat ghar sambhaalti he...aur is tarah her cheez mein aik symetry rehti he...Ager aik doctor Engineering kerne lag jaye aur saath mein derzi bhi bun jaye, aur moochiyoon walay kaam bhi karay to yeh kuch mayoob ho jaye ga...is liye behtar yahi he ke her koi aik particular field sambhalay, ta ke relations aur profession mein aitdaal rahay:lpop:

              waise aap aik aurat ke carrier se kia muraad lete hein...aik aurat kia karay to us ka carrier bunta he...thoora tafseel se bataiye ga
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: career or shadi ...

                Originally posted by Wafa
                Nice topic Aanchal ji,
                mere khayal se lakiyon ka bhi haq hai ke wo larko ki tarha aala taleem hasil kare aur apna career banaye.zindagi me jab bhi koi mushkil waqt aata hai to ye parhae he kaam aati hai.aap ka post hai shadi ya career,both are important but first career then shadi
                Aap bhi bataiye...larki ka carrier kia hota he...aur wo us ki azdawaji zindagi mein kis had tak khush-gawaar asraat kaim ker sakta he
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: carrer or shadi ...

                  Originally posted by munda_sialkoty
                  Dhamkiyaan aur wo bhi musalsal shareef larkay mein ne to hameesha larkiyoon ko dhamkiyaan dete dekha he...larka jese masoom sanaf per aap yeh kia ilzaam aid ker rahi hein...aap ko zaroor kisi ne ghalat bataya ho ga :lpop:

                  Larkiyoon ko perhai kerni chahiye...aur shadi ker ke sharafat ke saath apne buchay aur miyaoon ko paalna chahiye :lol ager aik larki carrier ke liye apne buchay choor ke bahir niklay gi to us ke saaray buchoon ka carrier daoo pe lug jaye ga...lehaza apne carrier se ziada apne choozon ke carrier ka soochna chahiye larkiyoon ko :lol
                  chal beti phir qurbaan ho jaa
                  sadyon ki reet nibhaani hai
                  na main koi na tu koi
                  bas saari dunyadari hai
                  peda to kia hai beti ko
                  peda to huii hoon beti hi
                  to kia taqdeer se jhagrra ho
                  jab sooli hi charrh jana hai
                  mardon ka hi ye zamana hai
                  kuch deen-mazhab ka dhong to hai
                  per sach to nahen
                  mardon ne wo apnaya hai
                  mardon ne wohi apna-na hai
                  jo un ki marzi un ki raza
                  ham koaun hamari auqaat hi kiaa
                  sar uthaya to baghawat ho gi
                  shaney mila ke chelen ..
                  to bad-tehzeeb kehlaayen
                  mardon ka mua-shera purana hai
                  ham peda hon to rona hai
                  mar jayen to parsan e haal nahen
                  chal beti teri baari hai
                  khamoshi ki sooli charr jaa
                  taqdeer ka koi dosh nahen..
                  Rab ki ye raza bhi nahen
                  kuch zulm andheri dunya hai
                  teri chalney kis ne deni hai
                  chal beti phir sooli charr jaa
                  khamoshi se apney andar mar jaa
                  yehan koi samajhney wala nahen
                  aur samjhana baghawat hai
                  ye matam kesa matam hai
                  apni hi cheekhen aap suno
                  apni hi tasweer ka rukh badalna hai
                  chal beti phir sooli charr jaa
                  khamoshi ki sooli chaar jaa !!!

                  by, me ( A ) :(
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment

                  • #10
                    Re: carrer or shadi ...

                    Originally posted by Aania
                    chal beti phir qurbaan ho jaa
                    sadyon ki reet nibhaani hai
                    na main koi na tu koi
                    bas saari dunyadari hai
                    peda to kia hai beti ko
                    peda to huii hoon beti hi
                    to kia taqdeer se jhagrra ho
                    jab sooli hi charrh jana hai
                    mardon ka hi ye zamana hai
                    kuch deen-mazhab ka dhong to hai
                    per sach to nahen
                    mardon ne wo apnaya hai
                    mardon ne wohi apna-na hai
                    jo un ki marzi un ki raza
                    ham koaun hamari auqaat hi kiaa
                    sar uthaya to baghawat ho gi
                    shaney mila ke chelen ..
                    to bad-tehzeeb kehlaayen
                    mardon ka mua-shera purana hai
                    ham peda hon to rona hai
                    mar jayen to parsan e haal nahen
                    chal beti teri baari hai
                    khamoshi ki sooli charr jaa
                    taqdeer ka koi dosh nahen..
                    Rab ki ye raza bhi nahen
                    kuch zulm andheri dunya hai
                    teri chalney kis ne deni hai
                    chal beti phir sooli charr jaa
                    khamoshi se apney andar mar jaa
                    yehan koi samajhney wala nahen
                    aur samjhana baghawat hai
                    ye matam kesa matam hai
                    apni hi cheekhen aap suno
                    apni hi tasweer ka rukh badalna hai
                    chal beti phir sooli charr jaa
                    khamoshi ki sooli chaar jaa !!!

                    by, me ( A ) :(

                    :( :( :(

                    Aania...tumhari nazm perh ke me ke aankhon se aansu nikalnay ki nakaam kooshish kerne lagay hein...bohat acha likha he

                    Ub me tumhein kehta hoon...tum apna carrier banao...me dekhata hoon ke koon tumharay raastay mein aata he
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: carrer or shadi ...

                      Originally posted by munda_sialkoty

                      :( :( :(

                      Aania...tumhari nazm perh ke me ke aankhon se aansu nikalnay ki nakaam kooshish kerne lagay hein...bohat acha likha he

                      Ub me tumhein kehta hoon...tum apna carrier banao...me dekhata hoon ke koon tumharay raastay mein aata he
                      arey me ka taja kalam .... general sense mein hai n its the biggest reality of Eastern Society especially... :)

                      khudi kaho .. kia yehi nahen hotaa??
                      yehi musalsal hamesha se nahen hota aa raha ??
                      aur kia yehi hamesha nahen hota rahey gaa?
                      Larrkiyon ka Career ... ban bhi jata hai.. when they r at parents home..
                      lekin shaadi ke baad... do soorten ho jaati hain
                      ya to husband ji begum ki kamayee per reh jaate hein... weley beth ke TV dekhney jogey yaa...
                      phir zor-zabardasti .. shak ki bhent char-ha ke .. 4 deewari main qaid ker denaa...
                      lemme tell u this is just not in india PK or Bd but .. where-eva Easter especially Pakistani people live in the huge world .... it happens...

                      Visit My Early PS Work
                      You Are Welcome To Comment

                      Comment

                      • #12
                        Re: carrer or shadi ...

                        Originally posted by Aania
                        aiewayeen
                        larrkey larrkion ko dhamkion ke siwa detey kia hain ?? jo un ki fikar kerni chahye ?? huh

                        Studies.. Career first... shaadi is just the End of life..
                        after 40's kerni chahye... :khi::lpop:
                        jiyo Aano...:hug:
                        shadi waqai 30's ya 40's ke baad karni chahiye....
                        hum apni ammi ko kaafi dinu se wahi sumjha rahe hain....:tauba
                        such pahle studies aur carrer phir jub establish ho jao tu kisi na kisi per ehsaan karte oye shaadi ker leni chahiye....:khi:

                        Comment

                        • #13
                          Re: carrer or shadi ...

                          Originally posted by ummid

                          haha haha..
                          likh deney se koi maan thorri na jata hai ...
                          koi manta nahen hai ye fact..
                          ooo kher...
                          Allah sab ke haal pe reham fermaaye...
                          meri mom to kehti hain.. parho beta kuch ban ke dikhao mein tumharey sath hoon.. Allah mujhey taufeeq de ke main unke dreams poorey kero sakoon aameen .. !!!
                          Visit My Early PS Work
                          You Are Welcome To Comment

                          Comment

                          • #14

                            aoye Aano jaan...:lol
                            hum ne studies ke liye apni mama ka jitna sataya hai utna tu ladke bhi nahi satate...:D
                            woh khud teacher hai aur hume bhi career banae ke liye kahty hai...:tauba
                            bus hume kabhi kabhi aisi foozol baatein ker ke satate hain..aur kuch nahi....:phool: she loves me a lot....bauaht zyada, apne baiton se bhi zyada....:)

                            Comment

                            • #15

                              :hug: we love u too girly... :hug:
                              Visit My Early PS Work
                              You Are Welcome To Comment

                              Comment

                              Working...
                              X