Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

We are different...!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • We are different...!!!!

    Main samundar kinarey kharri us ka intezaar kar rahi thi..laikin usey aj aney main dair hogayii..aik ghanTa guzar gaya tha mujhey wahan us ka intezaar kartey ...laikin phir bhi main waheen us ka intezaar karti rahi.....Main waheen rait par baithi or Aasmaan main uRtey parindoo, maghrib main doobtey sooraj ko dekhney lagii..main ne samundar k paaney ko apnii muThii main bhara..or merey zehan main aya k isey chakti kyun nahiin??hmm..... ye tu namkeen hai..haan hoga bhi kyun nahiin...samundar ka paani jo hai..main peechey muRi dekha Mineral water ki bottle thi...main ne us main se paani piya..ye tu is se bilkul mukhtalif hai...peeney layiq hai...!!!main ne khud se poocha Kyun hum namkeen paani nahii peetey???tu merey zehan main jo jawaab aya wo tha k is dunya main koi bhi cheez aik hi nai hoti..balkey mukhtalif cheezein hoti hain or un main se jo merey liye munasib hoti hai main wohi choose kar letii hoon..Kyun shair jungle main rehta hai or hum yahan??Kyun har jaanwar aik khaas qisam ka khana khata hai or Insaan bhi apney liye aik khaas andaaz se khana banata hai???

    Hum main se har aik ki soch bhi alag or khaas hoti hai, har aik ki khaney peeney or libaas main bhi choice alag hi hoti hai...yahan tuk k sciences bhi sub ko alag alag hi passand hain...kuch logoon ko mathematics attract karti hai..kuch ko History..koi Physics passand karta hai tu koi Chemistry...koi kahey ga Doctor acha tu koi kahey ga Engineer....agar chahatoon or sochoon main ye ikhtilafaat na hotey tu aj Insaaniyat is muqaam par na hoti..Misaal k tour par agar sub insaan Doctor hotey tu hamarii kya halat hoti??kahan hota wo Engineer jo hamari life ko facilitate karta apney naye inventions se??kahan hota wo Teacher jo aney walii nasloon ko knowledge pohonchata??Kisaan, Mechanic, Designer, Police, Watchman....dunya tu is tanawu' k na honey ki wajah se ruk hi jatii..

    Humein nai bhoolna chahye k Allah ta'ala ne insaanoo main mukhtalif maharaat paida kii hain or koi insaan un se ooncha nai jaa sakta..apney zehan par booj na daalo k main ne Doctor ban'na hai jub k ap ka zehan is tarah se programmed hi nahii hai..chalye khul k wazeh baat kartey hain..har aik ki zehnii salahiyat doosrey se mukhtalif hoti hai..har aik apnii taqat, isteta'at or ma'rifat k mutabiq kaam karta hai....agar ap k paas shairii ki salahiyat moujood hai tu Haan ap Sha'er hain...ap khud ko painter ban'ney par majboor na karein..kyunki ap ko apney ander aisii salahiyat nai milley gii..Hum main se ba'az khud ko majboor kar detey hain kuch aisa karney par jo hum kabhi kar hi nai saktey...Nateeja...Waqt or quwat ka zaya'....kabhi xindagii main ye na sochye ga k app main dosroon ki tarah talent nai hai..hum main se har aik talented hai...kuch log apney talent ko khud pehchaan letey hain kuch k talent ko koi or...or wo talent un k ander barrhta jata hai waqt k saath saath...baghair unhey is baat ka ehsaas howe...or doosrey janib kuch log aisey hotey hain jin k ander buhut saarey talents hotey hain magar wo un ko pehchaan nai patey ..ya jaan nai paatey k ye talents un main asal main hain kahan..ya ye keh saktey hain k un k talents ko ubhaarney wala koi hota nahiin...

    Mukhtasir ye k koi aisa shakhs nahii jis main koi talent ya koi khaas zehnii salahiyat na ho laikin sub aik doosrey se mukhtalif hotey hain...so apney ap ko majboor na karo doosroon se buland honey k liye...kyunki hum waqaee aik doosrey se mukhtalif hain..!!!

    Aaaaahhh....main in sub sochoon main doob gayi thi or waqt ka dehaan hi na raha...meri dost abhi tuk ayii nahiin..!!!..arey ye kiya wo tu is waqt ayii hai ..itnii dair se...atey hi kehney lagii ..."Sorry, mujhey aney main dair hogayii.."...main ne us se wajah poochi tu kehney lagii..k "main koshish kar rahi thi k koi shiar likh loon laikin mujhey alfaaz k wazn ka koi ilm nahiin..qafiye kaisey set karon kuch patta nahiin" main ne poocha "laikin itni mehnat phir kyun??" kehney lagii.."meri aik colleague hai wo bhut achi shairii kartii hai or main chahtii thi k us se behtar likhoon.."main ne usey kaha "Jo salahiyat tum main Allah ne dali nahiin..us par itnii mehnat kar k kyun khud ko itnii takleef dey rahi hoo...dhoondo apney ander.... Allah ne tumhein kisi or salahiyat se nawaza hoga...us par dehaan do or usi par mehnat karo taakey mehnat kuch rung tu laye...or kabhi xindagii main ye koshish na karo k doosroon se buland ho us kaam main jis k liye tum banii hi nahii...doosroon ki tarah ban'ney ki koshish na karo...kyunki tum sub se alag ho"
    Us ne kaha "Haan...waqaee hum sub aik doosrey se mukhtalif hain..or isi wajah se hum sub khud main hi buhut khaas hain"
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: We are different...!!!!

    theek kehti ho

    Comment


    • #3
      Re: We are different...!!!!

      Masha Allah bohut achee post hai....yaqeenan ager hum apni salahiyatoon ku jaan lain pehchaan lain tu bohut kamayabi haasil kersaktay hain...


      Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

      Comment

      Working...
      X