Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Be Yourself..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Be Yourself..!!!

    Jo shakhs kehta hai main "Main" nahii bun sakta..wo yeh dawa karta hai k koi us k or us ki zaat k darmiyaan hayil hai..Yeh kaisey such hosakta hai??Kaisey ap apney siwa koi or bun saktey hain??
    Yeh mumkin hai k kisi mushkil dour se guzarney ki wajah se ap "AP" nahiin rehtey..laikin us waqt ap us shakhs ki wisayat main chaley jatey hain..jo ap ki hifazat karta hai..or bad'qismatii sey jo shakhs ap ki hifazat karta hai wo ap se yeh tawaqu' karta hai k ap us andaaz se jiyein jaisey wo chahta hai..yaani wo tareeqa jis sey us ne ap ko bachaya tha..
    Agar ap ko is baat se Dar lagta hai k ap "Apnii Zaat" khud banein, tu buhut mumkin hai k ap is khayaal se hi dartey hain k ap apna khayal khud rakhein ya baghair kharjee mudakhlat k apnii zimmedaari khud sambhalein..Agar koi ap se dostii karna chahta hai tu koi baat nahiin, magar ap ko apnii xindagii ka gharz hi yeh rakhna hai sub se behtareen suhbat ikhtiyaar karein..or wo hai ap ki zaat..na k doosroon ki quwat par bharosa rakhna..Apnii azaadi ko qabool karein or us k saath us akeley'pun k ehsaas ko bhi jo us k saath paida hoga..ap ko tayaar rehna hoga apna raasta akeley sur karney k liye..Ek challenge k tour par nahiin balkey ek choice k tour par..
    Agar ap "Apnii zaat" ban'ney se dartey hain, tu yeh wajah bhi hosakti hai k ap apney ghussey se dartey hain..ap ko ye lagta hai apney ghussey ko apney ander qaid rakhna chahye nahiin tu us shakhs ko ghussa ajaye ga jis par ap apnii hifazat or xinda rehney k liye mu'tamid hain..ya ap ko yeh dar lagta hai k ap kuch kho dein gey agar apnii zaat ki ta'beer karein gey..Isi liye ap apney ghussey ko apney ander qaid rakhtey hain or wo ghussa ap k ander jaR pakaR leta hai..us waqt ap ko khud se nafrat hojaye gii..kamzoori k ehsaas or apni zaat se door rehney ki wajah se.........yeh aik andha kunwaaN hai or is main ap kabhii na girtey agar ap apnii zaat khud hotey tu..
    Hum sub ghaltiyaan kartey hain laikin ap k paas ye azaadi hai k ap apni ghaltiyoon ki tasheeh kar sakein..ap k is faisley se dosroon ko dukh zaroor hoga magar ap un se maafi maang kar un k ghussey se deal karna seekhein..
    Doosrey ap ko dukh dey kar toR saktey hain magar phir ap ko apney ander aik aisii androoni taqat ka ehsaas hoga jo ap ko dosrii murtaba uTh kar chalney k qaabil banaye..
    Khud ko bachayein..jo ap k liye Theek hai ap wo karein..apni zaat ko zaahir karein..Apnii xindagii ko dhoondein or usey apney tareeqey se jiyein..or agar ap apnii maslihat k liye kuch nai kar saktey tu ap be'shak kisi or shakhs k masaleh k liye bhi kuch nai kar saktey..

    ****************
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Be Yourself..!!!

    right

    Comment


    • #3
      Re: Be Yourself..!!!

      buht acha lekha hai...
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment

      Working...
      X