Assalamo allaikum
Zel mein kuchh bujhartein hain, inhein solve kijiye....
Zel mein kuchh bujhartein hain, inhein solve kijiye....
- Aik kashti kisi bandargah mein langar'andaz hoti hai. Kashti sey aik seerhi nikali jati hai jiskey har step mein 25cm ka faasla hai. Raat bhar khoob barish hoti hai aur paani ki satah 130cm buland ho jati hai. Seerhi key kitney steps ab paani mein hongey?
Doooooooor sunsaan jaggah per aik makan hai, jiskey charon (all four) kinarey junoob (south) ki janib hain - qareeb sey aik reechh - (bear) guzarta hai - us reechh ka rang kya hai?
Do betey aur do baap shikaar ko jatey hain, aur 3 batkhein shikar kartey hain. Baad mein woh 2 betey aur 2 baap aik aik aapis mein baant letey hain.... Yeh kaisey mumkin hai?
You have 4 four-digit (yani 4, 4, 4, aur 4) - in 4 charon key saath aap ney 5 likhna hai. Aap chahein to ( ) use karein ya jama +, zarb *, taqseem / ya tafreeq - istimaal karein...
Comment