Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

From the Camera of thefire1 - Jordan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • From the Camera of thefire1 - Jordan

    Assalaam-O-alaikum

    Dostoon kaafi arsay baad yahan post kar raha hoon, kuch places ki tasaweer hain jahan visit karnay ka mouqa mila, iss baar JORDAN ki baari hay, tasweerain bayshumaar hain, magar chand selected pictures aap ki khidmat main paish hain:

    1. ASHAB-E-KAHF, yeh Jordan main hay aur woh tamam nishaaniyan jinn ka Quran-e-Pak main zikar hay yahan moujood hay, jaisay paani ka kunwaan, zaitoon kay darakht, Ashab-e-kahf ki qabrain, really amzing place to visit.

    2. Aqaba (Tasweer main, woh area nazar aa raha hay jo iss waqt ISRAEL kay qabzay main hay, jissay ILAAT ka naam dia gaya hay, haalankay woh Palestine ka hissa tha jiss ka naam " " tha. Hum nay apni kashti bohat qareeb ki jiss per Israeli forces nay humain weapons dikha kar RUKNAY ka ishaara kia aur peechay jaanay ka kaha!! very adventours, just loved it.

    3. Jordan City, Amman bohat hi khoobusrat aur tareekhi shehar hay, picture main BLUE MASJID nazar arahi hay jo kay city highlight and must see place hay.

    4. Maadaba, one of the oldest town in the history of Jordan, tasweer main Catholic Church ki tasweer hay, jo kaafi puraana hay aur abhi tak in service hay. Aik bohat hi interesting baat iss church ki yeh hay kay iss ki zameen per KINGDOM OF JERUSALEM ka naqsha print hay, jo kaafi tareekhi hesiyat rakhta hay.

    5. Wadi-e-Mosa (Petra) main kaafi musaafat kay baad yeh muqam hay, yaani HAZRAT HAROON AS ki qabar-e-mubarak, bohat kam log yahan tak safar kar paatay hain, kiyonki raasta kaafi dushwaar hay, mujhay taqreeban 2 ghantay lagay yahan tak poohanchnay main aur woh bhi aisi pagdandi per jahan dono taraf gehri khayee thi, aur mujhay KHACHAR per safar kar kay jaana paRa, very adventours and dangerous ride of lifetime.

    6. Raat dair honay ki waja say Maqam band hogaya tha aur main HAZRAT KHIDHAR AS ki qabar-e-mubarak na dekh paya, albatta maqam ki bahar say tasweer paish-e-khidmat hay.

    7. Hazrat Shoaib AS ki qabar-e-mubarak, yahan main Maghrib ki namaz ada ki thi.

    8. Hazrat Yosha Bin Noon AS ki qabar-e-mubarak kay deedar kay saath saath main nay uss kunway say bhi paani piya jiss say Nabi ALLAH Hazrat Yosha AS paani piya kartay thay.

    9. Wadi-e-Musa ka aik aur tareekhi shahkaar jisay KHAZNA kay naam say jaana jaata hay, KHAZNA Arabic word hay jiss kay maainay hain TEJOORI, kehtay hain kay yeh FIRO'ON kay zamaanay main tameer kia gaya tha.

    Mazeed clarification/maloomat kay liye rujoo karain, INSHALLAH jitna pata hay utna zaroor bataoo ga, khush rahyeh :)

    Fi amaan ALLAH

    Click image for larger version

Name:	AshabeKahf.JPG
Views:	1
Size:	19.6 KB
ID:	2488607Click image for larger version

Name:	Aqaba.JPG
Views:	1
Size:	73.7 KB
ID:	2488608Click image for larger version

Name:	Jordan City.JPG
Views:	1
Size:	96.4 KB
ID:	2488609Click image for larger version

Name:	Maadaba.JPG
Views:	1
Size:	144.5 KB
ID:	2488610Click image for larger version

Name:	Maqam Hazrat Haroon AS.JPG
Views:	1
Size:	110.3 KB
ID:	2488611
    sigpic

  • #2
    Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

    .
    Attached Files
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

      WaAlaikum salaam

      thefire1 bahi.................thnk you for sharing with us some fantastic pics.............jabb aap wapsi per pics post kerte hein aur saath men detail bhi dete hein......to mehsoos hota he k mein khud whaan woh jhga dekh rhi huh!!!Its very reassuring to me, as I would never be able to see these places otherwise!

      aap kab Jordan gay the aur usqt average temp kiya tha?

      aap in journeys pr tour guide rakhte hein saath?
      jab booking kerte hein to bass ticket book kerte hein ya poora package as in kahan jana he..aur whan ka travel bhi?
      jis jgha jaa rhe hote hein, whan ki language ke baare mein thora seekh ker jaate hein, ya aap ko is se koi frq nhi prtha ke whaan ki lingo aap ki smjh mein aati he?

      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

        Walaikum Assalaam

        December kay mahinay main jaana hua tha Jordan, mousam bohat hi acha tha, main dead sea tak hokar aaya, JORDAN nisbatan garam mulk hay magar December main bohat hi acha mousam tha..!

        main apna tour operator KHUDH hoon and I plan my travel sometimes 6 months in advance, kahan jaana hay, kitna fasla hay, method of transportation etc.

        Apnay TRAVEL main jo kay almost organised hota hay main say AIK DIN AUR AIK RAAT main bilkul unorganised rakhta hoon, you call it "Lets Get Lost", uss din ka na koi hotel booking hoti hay aur na koi plan........ bas bhatak jaata hoon anjaan shehar main :)

        Waisay tou Arabic bol laita hoon tou Jordan main koi parishaani nahin hoyee.... JOrdan ka sab say mashoor local DISH hay "Munsaf" yaqeen karain bohat hi achi dish hoti hay yeh, humaray yahan ki tarah Masalay daar nahin hoti magar its really fun eating.

        Almost har jaga log English samajh hi jaatay hain, albatta THAILAND main masla hua tha, magar its manageable, insaan ka sab say behtreen communication langue is "ISHAROO KI ZABAN" and many understand it without hesitation :)

        Khush rahyeh

        FI amaan ALLAH
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

          Item No. 2 as quoted in my first post....
          Eilaat jo kay abhi Israel ki custody main hay, was known as "Umm Al-Darawaish" when it was Palestine's territory.
          For Record and reference.

          Sorry I didn't mentioned it earlier as I couldn't recall the name through my memory.... ab double check kar kay post kia hay taakay authentic aur sahi maloomat paish kar sakoon :)
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

            buaht shukriya Ap itni achi pix share kerny ka ..

            Comment

            • #7
              Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

              بہت خوبصورت، مارولس، میں ویسے انتظار میں ہی تھا، کہ کوئی نئے ٹوؤر کی پکس دیکھوں۔۔
              \
              تھینکس آ لاٹ
              Allah

              Comment

              • #8
                Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

                Shukriya Ahsaas and Yaaram for your valuable quote :)
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

                  بہت عمدہ ! کیا شاٹ لئے دیکھ کر دل خوش ہوگیا ، بلکل پروفیشنل پکچرز ہیں فوٹو گرافی میں تو سچ میں کمال حاصل کرلیا ہے جناب نے
                  Last edited by Jamil Akhter; 16 July 2012, 21:44.
                  ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                  سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                  Comment

                  • #10
                    Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

                    Hosla Afzayiii ka bohat bohat shukriya :)
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

                      Originally posted by thefire1 View Post
                      Walaikum Assalaam

                      December kay mahinay main jaana hua tha Jordan, mousam bohat hi acha tha, main dead sea tak hokar aaya, JORDAN nisbatan garam mulk hay magar December main bohat hi acha mousam tha..!

                      main apna tour operator KHUDH hoon and I plan my travel sometimes 6 months in advance, kahan jaana hay, kitna fasla hay, method of transportation etc.

                      Apnay TRAVEL main jo kay almost organised hota hay main say AIK DIN AUR AIK RAAT main bilkul unorganised rakhta hoon, you call it "Lets Get Lost", uss din ka na koi hotel booking hoti hay aur na koi plan........ bas bhatak jaata hoon anjaan shehar main :)

                      Waisay tou Arabic bol laita hoon tou Jordan main koi parishaani nahin hoyee.... JOrdan ka sab say mashoor local DISH hay "Munsaf" yaqeen karain bohat hi achi dish hoti hay yeh, humaray yahan ki tarah Masalay daar nahin hoti magar its really fun eating.

                      Almost har jaga log English samajh hi jaatay hain, albatta THAILAND main masla hua tha, magar its manageable, insaan ka sab say behtreen communication langue is "ISHAROO KI ZABAN" and many understand it without hesitation :)

                      Khush rahyeh

                      FI amaan ALLAH
                      Aslam-o-alikum...!!

                      Bohut kubsoorat pics..hain jo aap na capture keen hain....aap nay likha hai..aap 'dead sea' tak gaye....iss ka baray main kuch share karain k kisa atmosphere hain wahan per koi cheez sink nahi ho sakti iss pani main......mainy parha hai...k ye whaee muqaam hai...jahan "Qoum-e-loot (a.s)" bohut sadiyon pehlay abaad thee...aur unn per azaab-e-ilahi nazil hoa tha..unn k kartootoon ki wajah say (mainly homosexuality)....azab k baad yahan ki zameen dhaans gaee thee aur phir baad main barishoon aure tofano ki wajah say ye ilaaqa (Territory) aik jheel k (lake) ki soorat iktiar kjer gaya...(wallah alam)...!!

                      Baher haal tama pic..bohut nice hain....mazeed ager kaheen aur ka trip hoa tu uis ki bhi snap zaroor bhejye ga..!!

                      Allah aap ku jazaye khir ata farmaye..(aameen) !!

                      Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

                      Comment

                      • #12
                        Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

                        [FONT=Book Antiqua][SIZE=3][COLOR="#008000"]Walaikum Assalaam

                        Hosla afzayii ka bohat bohat shukriya... :)

                        Jee haan DEAD SEA jisay Arabic main "Bahr-e-Mayeyat" kehtay hain wohi muqaam hay jahan Hazrat Lout AS ki qoum per azaab naazil hua tha.

                        Yeh samandar ka woh hissa hay jahan ZINDAGI ka wajood hi nahin aur yeh MIRACLE hi hay kay samandar ka kinaara honay kay bawajood iss main koi mouj nahin, paani tehra hua hay aik jheel ki tarah, na machli hain, na hi koi aur jaanwar, naa hi koi samandari pouday hain aur naa hi kabhi kisi parinday ko iss ka paani peetay dekha.....

                        Main nay iss main swimming ki thi, December ka mahina honay kay bawajood yeh ilaaqa thanda nahin tha, main paani main kinaray say kaafi aagay jaa kar paani kay upper baith gaya (Palaathi maar kar) kiyonki chahay aap ko swimming aayay yaa na aayay iss paani main aap 'doob' nahin saktay!!! Bohat hairat naak baad hay, aap paani per laitain, yaa baithain, aap baith kar AKHBAAR bhi paRh saktay hain!!

                        Nabi-e-Karim SAW nay aisi jagah jaanay say mana farmaya hay jahan per ALLAH SWT ka azaab naazil hua hoo, yeh uss waqayay say quote kia hay kay Makkah say isaiyoon kay khilaaf aik jang main jaatay huay rastay main aisa maqaam aaya jahan per ALLAH SWT ka azaab aaya tha, aap SAW nay tamam lashkar ko hidayat ki kay JALDI JALDI yahan say nikal jaayain.... issi liye main bhi dead sea per ziyada dair nahin ruka, bas jo thoRa bohat experience karna tha kia aur chalta bana!

                        May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN SUM AMEEN

                        INSHALLAH tasweerain bohat hain, jald hi share karoon ga :)

                        Fi amaan ALLAH

                        sigpic

                        Comment

                        • #13

                          Aslam-o-alikum....!!

                          Apna expriance share kernay ka bohut shukria....jo jo batain aap nay batain hain...taqreeban yahee kuch maniy parha hai k ye jahah aik 'fault line per waqye thee'...jahan per taqreeban 4000 hazarr saal pehlay aik zabardast zalazala (earthquake) aya tha...jiss say yahan abad aik quom tabah ho gaee..(tahqeeq k mutabiq ye Loot (a.s) ki qaum thee....Wlalah alam!!

                          Agerche inn jaghoon per jana sahi nahi..kyon k Azab-e-ilahi wala ilaqa hai....lykin inn jisee tareekhee jaghoon ku explore kernay ka bhi apn hi maza hai..!! .

                          Allah aap ku jazaye khir ata farmaye..(aameen)...!!

                          Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

                          Comment

                          • #14
                            Re: From the Camera of thefire1 - Jordan

                            Pleasure is all mine, aap kay khoobsurat comments aur hosla afzayii kay liye bohat bohat 'Shukriya' :)
                            sigpic

                            Comment

                            Working...
                            X