Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

From the Camera of thefire1 - Piazza Vitoria- ITALY

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • From the Camera of thefire1 - Piazza Vitoria- ITALY

    Assalaam-O-alaikum

    Apnay safar ka agla stop, ITALY main masjid talaash karna itna hi mushkil tha jitna Pakistan main Khuloos, bas ALLAH ALLAH kar kay aik masjid ka pata chala aur main MILAN say iss masjid ki talash main nikal paRa aur bilaakhir issay dhoondh kar iss main DHOHAR aur ASAR ki namaaz (Kasar aur Jamma) paRhi aur Yaseen Sharif ki tilawat kar kay tamam Mulsim ummah kay liye dua ki.. Yeh Piazza Vitoria (Metro stop) kay pass hi located hay, koi bhi Bangladeshi aap ko guide kar day ga, aur Masjid main Bangladeshi bhi kaafi taadaad main nazar aayain gain.

    Yeh masjid aik Church kay back main waqiya hay yoon kahyeh kay church main servant quarter MASJID kay liye day diya gaya hay... Masjid kay bahir aik tasweer main Arch kay neechay kuch Italian baithay thay jo "Sharaab" say lutf andooz ho rahay thay, dil tou bohat chaha kay unka gala qalm kar doo kay Christian hotay huway na inhain Church ka ahtiraam tha aur na hi Muslamanoo ki ibaadat gah ka!!!

    Hope you will like these rear pictures which are not easily found anywhere :)

    Khush rahyeh

    Fi amaan ALLAH
    Attached Files
    sigpic

  • #2
    Re: From the Camera of thefire1 - Piazza Vitoria- ITALY

    Thank you very much for sharing these unique images with us!!!Very good.......

    aap yeh btaain k bangladesh k ilawa aur kis nationality/background k muslmaan the uss masjid mein...I just want to get an idea of the Muslim community in Italy!!

    Aur Pakistani kafi tadaad mein he????

    Kuch cases (jo dekhe aur sunne) se mjhe yeh lagta he k Pakistani families k liye Italy aik ubherti hui country he ..kiyuhnke whaan ponch ker un ke liye UK mein entry kuch easy ho jaati he!!!!


    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: From the Camera of thefire1 - Piazza Vitoria- ITALY

      Choonkay main bohat hi mehdood waqt kay liye waha per tha, magar main nay Mostly Bangladeshi masjid main dekhain, even wahan underground Ladies kay namaz paRhnay ki jagah thi jahan per uss waqt chootay bachay Quran ki taleem haasil kar rahay thay aur sab hi Bangladeshi thay. Namaaz kay douraan aik African probably from Senegal bhi namaaz karnay kay liye aaya tha. Masjid kay saath aik internet cafe tha jahan Pakistani laRkay nazar aa rahay thay.... shayed namaz ka waqt na honay ki waja say masjid main nahin thay!

      Jahan tak meri observation hay, Europe main log family nahin rakhtay, I dont know particular reason but as far as I could realize woh expensive hota hoga kiyonki living to eating everything is expensive and you have to pay tax/fees for parking, for using public toilet and many more!

      Yaa shayed woh bhi Mushtaq Ahmed Yousufi sahab kay qoul per yaqeen kartay hain jiss kay mutaabiq "Europe main family lay kar jaana aisa hay jaisay banda Buffet main Tiffin box lay kar jayay" :lol :lol
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: From the Camera of thefire1 - Piazza Vitoria- ITALY



        mein b gae v hn....:hairdrayer:
        میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

        Comment


        • #5
          Re: From the Camera of thefire1 - Piazza Vitoria- ITALY

          Originally posted by crystal_thinking View Post


          mein b gae v hn....:hairdrayer:
          kabh....pics do as an evidence:fly:


          sigpic

          Comment

          Working...
          X