Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Traffic Signals

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Traffic Signals

    Assalamo allaikum dosto

    Muhazzab qomein apney muashrey mein kuchh qawaneen bnati hain aur phir uska paas karti hain aur is tarha muashra taraqi paata hai aur uska wajood sehatmand rehta hai. Jahan aur bohat sey qawaneen hotey hain, wahin per TRAFFIC QAWANEEN bnaey jatey hain. Kyun? kya aisa nahin ho sakta keh garri ki seat per bethon sulf maro, speed dbao aur yeh ja woh jaa....

    Nahin aisey siwaey tabahi key aur kuchh nahin mila, in shape of accidents aur phir amwaat

    Europe mein traffic qwaneen ki sakhti sey pabandi ki jati hai aur yehi hisaab doosrey mumalik jahan per qanon ka paas kiya jey wahan per bhi hai.

    Aaj sey main aik game shuru karta hoon jis mein ham aik signal dein gey aur aap ko us per likhna hai keh iska kya matlab hai. (Yaad rakhiye keh kuchh mumalik mein local signals hotey hain jo aik mulk sey doosrey mulk key liye mukhtalif maaney rakhtey hain).

    To shuru kartey hain is signal sey:

    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Traffic Signals

    good game :thmbup:

    mera tukka yeh hai kay sark kay beach main kuch hai :D maybe zebra crossing hoo ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #3
      Re: Traffic Signals

      Originally posted by Aanchal
      good game :thmbup:

      mera tukka yeh hai kay sark kay beach main kuch hai :D maybe zebra crossing hoo ?
      Chalein ji doosrey bhi guess karein - magar behtar seekhney key liye kisi website per naa jaien, is tarha seekha nahin jaey ga :zuban:
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: Traffic Signals

        I am waiting for the answer..
        Life is more strict than a teacher
        A teacher teaches a lesson
        and takes an exam.
        But life takes an exam
        and then teaches a lesson

        Comment

        • #5
          Re: Traffic Signals

          Hmmm lagta hai keh yahan per drivers kam kam hi hain :D
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Traffic Signals

            mmmmm :mm:

            jo signal aap ne post kiya hai akser dekhney mei nahi aata magar lagta hai it indicates that "there's a bridge coming a head" :hhh:

            Am I right , if yes then next signal i'll post :cc:
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: Traffic Signals

              Mujhey lagta hai keh mujhey hi btana parey ga keh iska kya matlab hai:

              Is sign ka matlab hai keh yahan sey ab MOTORWAY shuru honey wala hai. Motorway us shahraah ko kehtey hain jis per KOI TRAFFIC LIGHT NAHIN AATI, Speed ki limits aam roads sey bohat ziyada hoti hai, yeh har mulk mein different hai. Yahan per siraf aaney aur jaaney ka track hota hai, yani wapsi ka raasta nahin hota. Siraf Motorway sey bahir nikalney ka raasta hota hai ya phir motorway mein dakhil honey ka raasta.

              Duniya mein sab sey behtareen Motorways, Germany mein hain. Wahan per kai Motorways aisey hain jahan speed ki koi limit nahin.

              Pakistan mein Motorways kam hain, magar jo Lahore sey Rawalpindi ka Motorway hai ussey duniya key behtareen motorways mein shumar kiya jata hai. Yahan Denmark mein aik jareedah chhapta hai, usmein duniya bhari key roads per tabsraa kiya jata hai, uska writer likhta hai:

              "Pakistan mein aam roads ki halat naqas hai, magar yeh motorway shayid Germany key baad sab sey behtareen motorway hai!" a very huge complement!
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Traffic Signals

                Originally posted by Masood

                yeh lo :tauba .. inna fazol sa sign motoway ke liyeh :tauba
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: Traffic Signals

                  Originally posted by Sweet & Sour
                  yeh lo :tauba .. inna fazol sa sign motoway ke liyeh :tauba
                  to aur kya aap key liye 3D mein lightein marta huwa shokh-o-chanchal sa board hona chahiye tha :D
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Traffic Signals

                    me ko bhi motorway ka yeh nishan pasand nahi aya

                    acha next :lpop:
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: Traffic Signals

                      Chalein jaldi sey btaein iska kya matlab hai:
                      Attached Files
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Traffic Signals

                        Originally posted by Masood
                        Chalein jaldi sey btaein iska kya matlab hai:
                        yeh to us kay oper likha hai kay "ruk jaoo" agay nahi jana :D
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #13
                          Re: Traffic Signals

                          Originally posted by Aanchal
                          yeh to us kay oper likha hai kay "ruk jaoo" agay nahi jana :D

                          mujhe bhi yahi laga hai, yeh to koi bacha bhi btaa sakta hai :khi:
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: Traffic Signals

                            Originally posted by Aanchal
                            yeh to us kay oper likha hai kay "ruk jaoo" agay nahi jana
                            Originally posted by Sweet & Sour
                            mujhe bhi yahi laga hai, yeh to koi bacha bhi btaa sakta hai
                            Chalein shuker hai is ka to jawab diya jab sab zahir tha :lol.

                            STOP ka matlab hota hai keh is sign key qareeb pohanch ker HAR HALAT MEIN RUKNA hota hai chaley left/right sey gadi aaey ya na aaey. Jahan rukna hota hai wahan road per aik TRIANGULAR ho ga us mein bhi STOP likha ho ga.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            Working...
                            X