Baadshah Akbar aksar subah darya kinarey ghumney jatay thay. Akele ghumna unhen pasand nahin tha, so saath mein kabhi Begum Jodha Bai hoti thein, to kabhi Birbal ya koi aur khas darbari.
Ek din begum Jodha Bai aur Birbal ko saath le kar Badshah Akbar Yamuna darya ke kinarey ghumney gaye. Sabse aage Jodha Bai chal rahi thein. Birbal beech mein aur Akbar sabse peechhey thay.
Akbar ko achanak sharaarat sujhi. Unhonne Birbal ki kamar mein chikoti kaat li. Birbal ko gussa aaya, lekin zabt karke rah gaye aur kuchh naa bola. Kuchh der baad Birbal ne Jodha Bai ki kamar mein chikoti kaat li. Jodha Bai ne gussey se Birbal ko tamacha raseed kar diya. Birbal fauran peechhey mudey aur ek tamacha Akbar ko maar diya. Akbar gussey mein boley, "Ye kya himaakat hai?', Birbal ne kaha "Gustakhi mu'aaf jilley elahi, aap ne jo chitthi bheji thi, uska jawab aaya hai.

Comment