Chamcha
Thali se chhota hota hai chamcha
Dongey se chhota hota hai chamcha
Katori se bhi chhota hai chamcha
Per sahab ki thali mein pada itraata
Bahut bada hota hai chamcha
Sahab ko theke ke chawal khilata hai chamcha
Sahab ko comission ka halwa khilata hai chamcha
Tanwangi bhindi ka swad chakhata hai chamcha
Shaahi Thath se paneer khilata hai chamcha
Bahut tyagi hota hai chamcha
Sahab ka bharta pet
Khud khali pet rahta hai chamcha
Sahab ke munh mein aa jaye kankar agar
Hanskar jhoothna uthata hai chamcha
Khushi se nahin phoola samata hai chamcha
Jab sahab ke hathon mein hota hai chamcha
Jab sahab ke honton ko chhoota hai chamcha
Bauney nazar aatey hain sab
Sahab ho jata hai sahab ka chamcha
Sahab ke sahab ki party mein
Chhota bada sab tarah ka hota hai chamcha
Jagmagaatey videshi bartano ke bich
Table per chaandi ka sajta hai chamcha
Chhotey motey doston ki party ke bich
Steel ka chalta hai chamcha
Jaan per khelne waley murkh sewakon ko
Milta ha plastic ka chamcha
Main to haath se kha loonga sahab, bola chamcha
Chamchey ko naseeb nahin hota hai chamcha
Sahab ke kachhey kano mein kuchh phusphusaata hai chamcha
Per ninda ka ras pilata hai chamcha
Sawan ka andha ho jata hai sahab
Kuchh bhi nazar nahin aata
Nazar aata hai sahab ko bas sahab ka chamcha
Ghar mein achanak tapak padey sahab
Phoola nahin samata hai chamcha
Sara ghar ban jata hai chamchey ka chamcha
Mere sahab aaj mere ghar aaye
Telephone per taja samachar padhkar
Chamchon ko sunata hai chamcha
Chamchamati duniya mein pyare
Har koi kisi na kisi ka chamcha
Koi apni patni ka chamcha
Koi dusrey biwi ka chamcha
Koi sahab ka chamcha, koi sahiba ka chamcha
By: Dr. Prem Janmajay
Comment