Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pakistan's Funny Poets

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pakistan's Funny Poets

    Dosto baat yai hy k ..Kuch logoon ki adat hoti hy Mezaak hi mezaak main bohat bari bari batain kehny ki ... Bohat azeem log hotay hain yai .. Jin sy apny watan ka dukk ..Muashrti buraiaan ,by insafiaan Berdasht nahi hoteen ..lakin sath sath apny hum watnoon ka dukh bhee hota hy ..k kaheen yai hurt na ho jain . I will be thanks full ager aap kuch sharing karain gy .. Take good care ..Apna or apny dostoon ka khiyaal rekhyai ga . Or on sy bhee kehyai ga k aap ka khiyaal rakhain.
    Arsal

  • #2
    Re: Pakistan's Funny Poets

    School Di Wadi Medom ny
    Papo no kutya as Gul Ty
    O niki miss No anda See
    Aa Jaa Ni by Ja cycle ty

    Comment


    • #3
      Re: Pakistan's Funny Poets

      Shaher Bhar ki Tontioon main
      Pani ka Ik Qetra Na tha
      Or main Tlash E aab main
      Toya ba toya, Khoo ba Khoo

      Comment


      • #4
        Re: Pakistan's Funny Poets

        :lol :lol


        its very nice Arsal...magar kya yeh aap ki likhi huwi poetry hai yaan aap sirf share ker rahey ho ???
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Pakistan's Funny Poets

          Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note
          bichhaa deta hoon
          Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note
          bichhaa deta hoon
          Uske jaane ke baad woh sab note utha leta hoon..
          (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

          Jab tumne thaam lee hai mere jeevan ki dor,
          Jab tumne thaam lee hai mere jeevan ki dor,
          Yeh dil maange more..Yeh dil maange more..
          (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

          Pyar mein kitne ghar doob gaye yaaron..
          Pyar mein kitne ghar doob gaye yaaron..
          Pyar mein pandrah-bees ghar dooba gaye yaaron..
          (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

          Tumko dekha to yeh khayaal aaya
          Tumko dekha to yeh khayaal aaya
          Ke kal raat maine itna kyon khaya?
          (wah,wah,wah, wah....... taaliyon ki gad-gadahat)

          WOH SADAK KE IS PAAR THI, HUM SADAK KE US PAR
          THE; KUCH HUM AAGE BADHE, KUCH WOH AAGE BADHI;
          HUM KUCH AUR AAGE BADHE, WOH BHI KUCH AUR AAGE
          BADHI;
          HUM KUCH AUR AAGE BADHE, WOH BHI KUCH AUR AAGE
          BADHI;
          AB HUM SADAK KE US PAR THE, AUR WOH SADAK KE IS PAR
          THI.

          Aapne mere man se khela,
          aapne mere tan se khela,
          aapne mere dhan se khela
          aapne mere tan, man, dhan se khela...
          well played! well played! well played!!

          Pyar ke sitaare jab gardish mein hote hai,
          Laila ghar mein aur majnoo jail mein hote hai.

          Mein tere pyar mein kitna pita chhaliye,
          Mein tere pyar mein kitna pita chhaliye,
          iodex maliye kaam pe chaliye,

          Tum har raat mere khwabon mein aao,
          Tum har raat mujhe yuunhi satao,
          Melody khao khud jaan jao........

          Door se dekha to kuchh dikha nahi,
          Door se dekha to kuchh dikha nahi,
          Paas jake dekha to kuchh tha hi nahi.

          Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
          Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
          Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

          Main hu yahan, tu hai wahan
          Main hu yahan, tu hai wahan
          Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan

          before marrige
          takdir hai magar kismat nahi khulti,
          tajmahal banana chahata hoon,
          lekin mumtaz nahi milti.

          after marriage
          takdir hai magar kismat nahi khulti,
          tajmahal banana chahata hoon,
          lekin mumtaz nahi marti.

          Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain,
          Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain;
          JAISE KAL CHAMAK RAHE THE !!!

          kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
          kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
          ke kyon kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai??

          Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita;
          Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita;
          Tan ki shakti, manki shakti, Bournvita.

          Tum aa gaye ho,
          noor aa gaya hai;
          chalo teeno movie chalen.

          Khud ko kar buland itnaa Ke,
          Himaalay ki choti pe jaa pahunche
          Aur khuda tumse puche,
          Abe sale gadhe. ab utrega kaise?

          Jise dil diya woh dilli chali gayi,
          jise pyar kiya woh italy chali gayi;
          dil ne kaha khud-kushi(suicide) kar le jalim,
          bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi.

          Humne bhi pyar kiya tha jindgi main,
          badi joshh ke sath;
          Humne bhi pyar kiya tha jindgi main,
          badi shhor ke sath;
          Aab hum pyar karenge badi soch ke sath,
          Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath.
          kaaash ke tere chehre par Chickenpox ke daag hote.
          kaaash ke tere chehre par chickenpox ke daag hote.
          chand to tu hai hi, sitaare bhee saaath hote...

          Ladka bola

          kash ein hasinao ke baap mar jate,
          bahana gam ka hota, hum inke ghar to jaate.
          Ladki boli Bewkoof, Yeh sochana bhi paap hoga,
          kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

          Ladki boli:
          Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
          Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
          Ladka bola:
          Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya.hoga,
          Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

          Bewafa sanam se to cigrattee achi hai,
          Bewafa sanam se to cigrattee achi hai,
          Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai

          Comment


          • #6
            Re: Pakistan's Funny Poets

            Nahi g yai ANwar Mesood sahib ki potry hy. Or new wali awain kisi na maloom ki hy lakin mzy daar hy ...

            Comment


            • #7
              Re: Pakistan's Funny Poets

              buhut achey, to aap ki yeh poetry Mazahiya Adab " ke section ke liyeh buhut mozoo'n hai main issey waha move ker rahi hoon. :)

              Writer's club main aap apna likha huwa zaati kalam share ker saktey hain.

              Khush rahiyeh :rose
              sigpic

              Comment


              • #8
                Deso G tohada Ki khiyaal a :)










                Beri mushkil sy dhoondi hy yai aap logoon k liay .. 2 ghenty sy search ker reha tha...

                Comment


                • #9
                  Re: Pakistan's Funny Poets

                  Oh sorry G main Galet jegha per aa gya..... Thank u G

                  Comment


                  • #10
                    Re: Pakistan's Funny Poets

                    Lakin jehaan mughy move kiya ja reha hy os ka path do betaiin naaaa.......

                    Comment


                    • #11
                      Re: Pakistan's Funny Poets

                      Originally posted by Arsal
                      Lakin jehaan mughy move kiya ja reha hy os ka path do betaiin naaaa.......

                      Aap ka path hai
                      Pegham -- > Forums --- > Nasri Adab ---> Mazahiya Adab
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Pakistan's Funny Poets

                        Kia aap is site ki Admin hain...

                        Comment


                        • #13
                          Re: Pakistan's Funny Poets

                          Originally posted by Arsal
                          Kia aap is site ki Admin hain...
                          Nahi, is site ke Admin Masood hain mei Super-Mod hoon.
                          Aap ko kuch poochna ho yaan koi problem ho to Admin, Co-Admin, kisi bhi Super-Mod yaan Mod se pooch saktey ho :)
                          sigpic

                          Comment

                          Working...
                          X