Parveen Shakir marhooma ki barsi qareeb aa rahi hai. Unki aik ghazal mujhey bohat pasand hai "Ku ba'ku phail gaee baat shanasaee ki" ... aaj is per aik shrarat soojhi.... :lol
ku ba'ku phail gaee baat sharamsaee ki
begum ney parrosan samney khoob meri pitaee ki
kaisey kah doon keh hath uska hai man man ka gola
baat to sach hai magar baat hai ruswaee ki
us ney jab ghutnon mein gardan meri ko dabocha
rooh tak jaan gaee haibat us qasaee ki
teri hansi meri be'basi ki tarha aabad rahey
tujh peh guzrey na qayamat begum sey maar khaee ki
begum ney jab sab key samney mujko kiya ganja
sab log jaan gaey, beti hai kisi naee ki
merey dukhoon ka madawa parrosan ney kuchh yun kiya
har thuddey peh bol uthi rudaad aankh'larraee ki
usney jaisa bhi mara achha laga, keh mera bacha uska bacha laga
bas yehi baat hai achhi merey harjaee ki

Comment