Dulhon ki sale
Ek baar hamey shadi karney ka khyal aaya
Ham ney turant jaakar pita ji ko bataya (Pita ji : Waalid)
Pita ji ne agley din hi
Bina dahez ke shadi ke liye (Dahez : Jahez)
Akhbar mein ishtehar chhpawaya
Maheeney bhar tak ghar per koi nahin aaya
Tab pita ji ne apni samasya (samasya : Masaayel)
Ek property dealer ko batayi
Usney turant ek tarkeeb sujhayi
Bola
Jhumri Tilaiyya mein dulhon ki sale lagi hai
Wahan ladkiyon ki bahut lambi line lagi hai
Aap fauran wahan chaley jaayie
Jaise chahen Vadhu payie (Vadhu : Dulhan)
Pita ji boley
Per mujhey dahez nahin lena
Wo bola ladki tum rakh lena
Dahez mujhe de dena
Pita ji ko uskey bol samajh mein aa gaye
Agley din wo hamein lekar Jhumri Tilaiyya aa gaye
Ham ne Sale ko different counter mein banta paya
Das percent discount
Bees percent discount
Chaalis percent discount
Assi percent discount
Pitaji ne hamein sau percent discount wale,
Counter per laa kar bithaya
Counter clerk bola
Aapko kya problem hai
Farmaayie
Pitaji boley
Hame dahej nahin chahiye
Wo bola
Ladke mein khot batayie (Khot : Aib)
Pitaji ne property dealer se puchha
Bhayi ladke mein kya khot bataya jaye
Property dealer angrezi ka vidwan tha (Vidwan : Aalim)
Bola
Ladkey ko overload bataya jaye
Counter clerk ki samajh mein
Overload ka matlab nahin aaya
Phir hamein eighty percent discount waley
Counter per laa ker bithaya
Thodi hi der mein
Wahan ek chaalis saal wali aayi
Pitaji ko dekh ke hauley se muskurayi
Phir property dealer se boli
Inki age kitni hai
Jo aapke barabar mein khadey hain
Property dealer bola
Masha Allah jawan hai
Dikhtey badey hain
Wo boli
To phir inse meri baat chalayie
Zara inka rate mujhey batayie
Property dealer ne pitaji se baat chalayi
Pitaji ne ussey karari karke daant pilayi
Uskey baad pitaji hame le ke bhage
Ek Qissa dekha ham ney thoda aagey
Ladkey ke pita
Ladki ke pita ka
Viva le rahey thay
Ladki ke pita
Paseeney paseeney ho rahey thay
Phir
Jab saudey baazi ki baat aayi
Ladkey ke pita ne rate list dikhayi
Ladki ki pita boley
Aap rate bahut zyadah laga rahey hain
Wo boley
Kya kahte ho
Abhi to bees percent discount per bata rahey thay
Ladki ke pita boley
Per aapka ladka to bahut sidha hai
Jawab mila
Dekhiye ji
Hamari machine ne ek hi piece banaya hai
Iss liye over all cost kuchh zyadah hai
Itna suntey hi pitaji ko chet aaya (Chet : Hosh)
Unhon ney hamein No Discount waley
Counter per laa ker bithaya.
Thodi hi der mein hamarey bhagy jaagey (Bhagy : Qismat)
Ek sajjan aaye bhage bhage
Unhon ne hamarey charon aur chakkar lagaya
Phir pitaji ki aur face ghumaya
Boley kitna chalega
Pitaji boley
Yeh to aap ki beti per depend karega
Kifayat se chalaayegi to salon saal chalega
Wo boley
Aap ke ladke mein aisi kya khasiyat hai
Jo rate inta zyadah bata rahey hain
Uper se No Disocunt ka board laga rahey hain.
Pitaji boley
Mera ladka imaan rakhta hai
Jo aaj kal kaRoron mein bikta hai
Wo boley
Per aapka yeh imaandar beta
Ghar ki roti kaise chalayega
Khud bhooka marega to
Meri beti ko kya khilayega
Aap issey yehan se le jayie
Pehle isse qisston mein
Imaan bechna sikhayie
Jis din
Issey qisston mein imaan bechna aa jayega
Uss din
Issey iss se bhi zyadah rate per koi bhi le jayega
Pitaji ko unke bol samajh mein aa gaye
Agley din wo hamein le kar ghar per aa gaye
Tab se hamarey pitaji nirantar prayas kar rahey hain (Nirantar : lagatar, Prayas : Koshish )
Hamein sikhaney ke liye
Apna imaan bechney ka prayas kar rahey hain
Prantu (Prantu : Lekin)
Hamein nahin lagta
Kew o din kabhi aayega
Ke unka imaan bik payega
Iss liye yeh Tuk Tuk
Kunwara paida huwa hai
Kunwara hi mar jayega.
By: Sardar Tuk Tuk, from a Hindi Magazine
Comment