Budhooo
"mera laya huwa sauda tum ney kabhi pasand nahin kiya tha. Kabhi woh kharab hota aur kabhi mehnga. Har baar koi cheez khareed kar lata to tum sey jhagrra zaroor hota. Aik bar main ney socha keh tumhein is muqabley mein shakist deni chahiye. Aakhir tum ney mujhey samajh kya rakha hai. Bilkul budhoooo??
Main ney Azra key frak key liye apni pasand ka kaprra khareeda. Ghalban 6 rupey gaz key hisaab sey mila tha. Main ney tumhein dikhaya. Tum ney qeemat poochhi. Main ney kaha "3 rupey gaz" socha tum hairan rah jao gi aur meri farasat ki daad deney lago gi. Magar tum foran cheekh parri...
"yeh kaprra to 6 rupey gaz bikta hai, tum 3 rupey gaz kaisey ley aaey? - raddi ka kapra ho ga, zaroor is mein koi nuqs ho ga. Mehbarni kar key issey wapis kar key aao"
(Meerza Adeeb ki kitab "Mitti Ka Diya" sey iqtibaas)

Comment