Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

    next episode :garmi:

    Click image for larger version

Name:	ab2n.png
Views:	1
Size:	1.83 MB
ID:	2417516

    12.khushgawar wakeyat to bohat hen lekin koi esa nahi jo naqabil-e-faramosh ho...ager hota to is waqt faramosh na hua hota...yaad ajata..:lol
    13.chahne se kabhi waqt loat kar nahi ata...lekin ager farz karna he to me wo waqt wapas lana chahun gi jab mere father n mother meri zindagi me the....
    14.net,book reading,painting,gardening weghera.
    15.lahoo lahoo he arzoo
    ghubar sa he chaar soo
    kabhi gumaan,kabhi yaqeen
    qadam kahin,nazar kahin
    jo hosh me bhi rahe bekhudi si lagti he
    ye zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti he
    16.iqrar-e-mohabat,ehed-o-waja sab jhooti sachi baten hen
    har shaks khudi ki masti me bas apni khatir jeeta he
    17.khush hoti hun or Allah ka shukar ada karti hun.
    18.Izat,mohabat,dolat,shohrat.
    19.apne father ki taraf se ki gai mere leay tareef jo iqbal k aik sher ki soorat me thi:shyy:
    20.ye sawal mujhe kuch samjh nahi aya.
    Last edited by BhaTaktii RooH; 10 February 2011, 16:28.

    Comment


    • #32
      Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

      thankz Abgeena sis app tashreef la chuki ho...
      jawabat pher kar apki bari mein buht acha laga..... :pa:
      kuch sawalat appni skip kia hai.... bt khair.. kaisy ko pata nhi chla hai ... :hehe:
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #33
        Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

        Asssalaam-O-alaikum AbgeenA

        Aap kay baaray main jaan kar acha laga....!

        Ab tak kay jawaabaat paRh kar yehi andaaza lagaya hay kay aap zindagi ko bharpoor andaaz say nahin jee rahiiin... uss ki wajohaat bhi jawab no. 13 main zikar hay.... jaanta hoon kay waldain kay baghair zindagi kitna mushkil aur dushwaar lagtii hay, magar yeh naa bhooliye kay hum jiss Nabi-e-Karim SAW ki ummat hain woh khudh bhi Yateem thay.....

        Humaray saamnay itni baRi misaal hay kay zindagi ko bharpoor andaaz main kaisay jeena hay, isi liye be happy and enjoy your life to full, iss bhai ki dua'a hay kay ALLAH SWT aap kay daaman ko khushyoon say bhar dayy AMEEN.

        Yeh aap ka intikhaab mujhay bohat acha laga:

        apni wehshat ki numaish mujhe manzoor na thi
        warna dushwar na tha chaak-e-garibaan hona


        Fi amaan ALLAH
        sigpic

        Comment


        • #34
          Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

          Click image for larger version

Name:	ab3c.png
Views:	1
Size:	1.92 MB
ID:	2417514

          21.is badalne me bohat kuch ulat pulat ho jaey ga..is leay rehne do:lol
          22.sab se pehle Allah se dua mangti hun k darust fesla karne ki taofeeq ata kare phir dil or dimagh dono ki mushwarat se.
          23.chote mote moamle par mashwara kar leti hun....koi bara masla ho to bas Allah se dua or hidayat mangti hun.mujhe serf Allah ki zaat pak par bharosa he.me insanon par zeada bharosa nahi karti.
          25.nahi yaqeen nahi rakhti.
          26.khana pakane me mujhe dilchaspi he.baki ghar k kaam mujhe koi khas karne nahi parte to mushkil nahi hoti.
          27.waqt ki pabandi na karna.
          28.Allah ka apne bande se rishta bohat hi khubsurat lagta he...kahan Allah ki azeem zaat pak or kahan haqeer sa insan...or phir bhi Allah apne gunahgar bande ki sunta he..us ki rag-e-jaan se bhi kareeb hota he...banda apne ko dekhe or khuda k mukam ko samjhe to larz jaey k Allah ne us ko kia mukam de dia.to is rishte k bare me sochun to mujhe bara acha lagta he...Allah pe behad piyar ata he.or insani rishton me maan or bache ka rishta khubsurat lagta he.
          29.nahi esa koi nahi.me milne milane me khasi ehtyat karti hun:lol
          Last edited by BhaTaktii RooH; 10 February 2011, 16:24.

          Comment


          • #35
            Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

            Originally posted by *Hala* View Post
            thankz Abgeena sis app tashreef la chuki ho...
            jawabat pher kar apki bari mein buht acha laga..... :pa:
            kuch sawalat appni skip kia hai.... bt khair.. kaisy ko pata nhi chla hai ... :hehe:
            achi baat he na kisi ko pata nahi chala:lol

            Comment


            • #36
              Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

              و عليكم السلام

              Rita dear sorry u ko Halo k haathon pakRa kar khud itna late hogayi...:embarasse:

              Anywayz warm welcome to the Hot Seat..

              U k answers quite achey hain....u ka way ov thinking almost me se match karta hai...liked it...:D:
              Last edited by BhaTaktii RooH; 10 February 2011, 16:31.
              .......................!!!!!

              Comment


              • #37
                Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                hmmmm good......
                iqbal ka wo sher b share kro na jo tareef me kaha gya

                sawaal 20 bilkul b mushkil nae ...just think for a while ,u wl get the answer : )
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment


                • #38
                  Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                  Originally posted by thefire1 View Post
                  Asssalaam-O-alaikum AbgeenA

                  Aap kay baaray main jaan kar acha laga....!

                  Ab tak kay jawaabaat paRh kar yehi andaaza lagaya hay kay aap zindagi ko bharpoor andaaz say nahin jee rahiiin... uss ki wajohaat bhi jawab no. 13 main zikar hay.... jaanta hoon kay waldain kay baghair zindagi kitna mushkil aur dushwaar lagtii hay, magar yeh naa bhooliye kay hum jiss Nabi-e-Karim SAW ki ummat hain woh khudh bhi Yateem thay.....

                  Humaray saamnay itni baRi misaal hay kay zindagi ko bharpoor andaaz main kaisay jeena hay, isi liye be happy and enjoy your life to full, iss bhai ki dua'a hay kay ALLAH SWT aap kay daaman ko khushyoon say bhar dayy AMEEN.

                  Yeh aap ka intikhaab mujhay bohat acha laga:

                  apni wehshat ki numaish mujhe manzoor na thi
                  warna dushwar na tha chaak-e-garibaan hona


                  Fi amaan ALLAH
                  duaon k leay dheron shukria:rose

                  Comment


                  • #39
                    Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                    Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
                    و عليكم السلام

                    Rita dear sorry u ko Halo k haathon pakRa kar khud itna late hogayi...:embarasse:

                    Anywayz warm welcome to the Hot Seat..

                    U k answers quite achey hain....u ka way ov thinking almost me se match karta hai...liked it...:D:
                    haan me bhi soch rahi thi k mujhe hot seat par bithane ka mashwra de kar Raniya kahan ghaeb ho gai:garmi:....bahar hal shukria Hala k hathon me pakrane ka:lol

                    Comment


                    • #40
                      Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                      Aap ka answer na 27 bohat hi acha laga, aur baaqi jawabaat per bhi tabsara hoga, magar aik break kay baad :lol

                      Very well going, kaafi dilchasp aur purasarar sa image dia hay aap nay abhi tak :)
                      sigpic

                      Comment


                      • #41
                        Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                        Originally posted by AbgeenA View Post
                        haan me bhi soch rahi thi k mujhe hot seat par bithane ka mashwra de kar Raniya kahan ghaeb ho gai:garmi:....bahar hal shukria Hala k hathon me pakrane ka:lol
                        Halo pakRey or bunda khush na ho..aisa kaisey hosakta hai...:ekek:

                        nywayz baqi answers hope raastey mai hi hoon...
                        .......................!!!!!

                        Comment


                        • #42
                          Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                          mazeed jawabat:garmi:
                          30.internet ki dosti internet tak hi achi rehti he.or fark ye k internet par likh kar baat hoti he or bahir ki dunya me bolna parta he:lol
                          31.dosti kabhi sawal jawab kar k nahi hoti...bas honi ho to ho jati he.
                          32.kisi cheez ki bhi nahi.
                          33.sabhi kar dete hen.
                          34.bohat sari kamiyan hen.
                          35.kahin Allah ji mujh se naraz na ho jaen.
                          36.dil me bura to lagta he lekin kar leti hun.
                          37.jagte me dekhne wale khwab me nahi dekhti.neend wale mujhe bhool jate hen.
                          38.bhook me jo mil jaey pasand hota he.

                          Comment


                          • #43
                            Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                            last episode
                            39.insan ki mansha k mutabik baat ho jaey to wo baat us ki khushi ban jati he or ager marzi or mansha k mutabik na ho to wohi baat dukh ban jati he.or ager

                            dil k piyaley me khushi ya gham aik khas level se barh jaey to ankh ansoo baha kar level ko normal karne ki koshish karti he.
                            40.har giz nahi.jahan seyasat ho rahi ho wahan mujhe wehshat hone lagti he.
                            41.Allah se dua go hun k Pakistan or umat-e-muslim ko ab mushkil se nijat de or agle 10 saal me ham beheter mukam par hon.ameen
                            42.me khud or mera Khuda.
                            43.kiun k khud se mulaqat ho jati he apna ehwal pata chalta he.warna bheer me to insan kho jata he.
                            44.aik dost k tawasut se yahan aei or ye mere leay doston ki eik khubsurat mehfil he jahan akar mujhe bohat acha lagta he.
                            45.kafi sare menbers hen.
                            46.Gupshup section me zeada ati hun to yahan ane wale sabhi members se dosti bhi he or ache bhi lagte hen.
                            47.kisi se bhi nahi.
                            48.sab members or khas tor par Mods yahan apni hazri to regular bnaen to kafi masail hal ho sakte hen.
                            49.Allah apko ache kaam karne ki or achai phelane ki tofeeq de.khush rahen.
                            50.acha laga:lol

                            Comment


                            • #44
                              Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                              Originally posted by saraah View Post
                              hmmmm good......
                              iqbal ka wo sher b share kro na jo tareef me kaha gya

                              sawaal 20 bilkul b mushkil nae ...just think for a while ,u wl get the answer : )
                              ye feza-e-nazar tha ya ke maktab ki kramat thi
                              sikhaey kis ne ismail ko adab-e-farzandi

                              or sawal no.20 ka jawab mujhe abhi tak nahi aya:shyy:

                              Comment


                              • #45
                                Re: In The Spot Light ~*Dear AbgeenA*~

                                Originally posted by thefire1 View Post
                                Aap ka answer na 27 bohat hi acha laga, aur baaqi jawabaat per bhi tabsara hoga, magar aik break kay baad :lol

                                Very well going, kaafi dilchasp aur purasarar sa image dia hay aap nay abhi tak :)
                                is ka matlab ap bhi waqt ki pabandi ko pasand karte hen

                                shurkia ager apko dilchasp laga interview

                                Comment

                                Working...
                                X