Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

    Originally posted by khan
    AOA,

    Lagta hai shaikh sahib ko hum ache nain lage:)



    Sohail Abbasi.
    Assalaam o alekum,

    sohail bhai yeh aap keh rahein hain ??
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #47
      Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

      AOA,

      Iss se pahle b bahi se baat ki thi yaheen pe bahi nain jawaab nain diya:)


      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment


      • #48
        Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

        Umm gr8 going Khurram bhaii:rose
        Ab mai aate hon zara questions lay ker .. :eye:

        Comment


        • #49
          Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

          Originally posted by khurram_shaikh
          Assalaam o alekum,

          ji gul dekhien iss baar mainien waqt zaayaa nahin kiyaa fauran jawaab leker haazir huaa hun :D:
          ws wr,
          bohot shukrya

          Aap ki kis baat ya adat sey ghar waley pareyshan rehtey hein?
          Fizool kharchi :(

          :O
          is per to waqai aap ko kaam kerna chahiye inshAllah


          aap ki koi aik adat jo sab ko aur aap ko khud bhi achi lagti ho?
          Bewakoofiyaan kernaa :embarasse :embarasse
          lol right :thmbup:


          Aap ki sehat mand khaney ki adaat(healthy eating habits)
          Khanaa kitna bhi lazeez ho utnaa hi khanaa jitni bhook ho aur pet bardaasht ker sake
          bilkul theek, aur ye aap ki bohot achi adat hai


          Aap ki ghair sehat mand khaney ki adaat(unhealthy eating habits)

          Hotel baazi kernaa


          theek, with family ya akeyley akeyley ?? :P
          Kya aap cooking ker leytey hein?
          Ji cooking kaa jahan tak sawaal hai Inshaah Allaah ager pegham per ROOTI banaanien kaa competition ho to sabse pehle number per aaonga khass ker lerkiyoon mien aur haan chai bhi bahoot umdeh banaa letaa hun ager kisi nien peenaa hai to mere ghar tashreef laaye
          wow, inshAllah chai udhaar rahi :D:

          apney doston mey kaun kaun si khoobiyan deykhna chahtey hein?
          wafaadaari
          :thmbup:


          akser tanhai mey aap kya sochtey hein?

          Sochtaa hun ke main kahaan tak sahi hun apni zindagi mien
          aur jawab kya milta hai? yani key jahan aap ko lagta hai key aap ghalt hein to kya aap phir us per kaam kertey hein?
          Agar aap ko Aladdin Lamp mil jaye to aap ki teen khawahishaat?
          1. duniya mien koee musalmaan gahreeb naa ho
          2. aalishan masjidein banwaaongaa Inshaah Allaah
          3. duniyaa ki sair karongaa
          MashAllah v nice thinking :thmbup:
          Aap ka pasandeeda shahr ya mulk? kyoon?
          Saudi arabia kyon ke wahaan khanaa qaabaa hai
          yep, wahan to her cheez hi itni payyari lagti ho gi

          koi mulk ya shahr jahan aap jana chahtey hon?

          pakistan
          cool inshAllah, aur Pakistan mey kaun sa shahr aap ko sab sey ziada attract kerta hai?

          aik baat jo aap her aik sey kehna chahtey hon?
          Khudgharz naa banoo yaa daulat paaker khud ko naa bhool jaao
          :thmbup:

          Pegham key members key liye Koi Pegham
          Waise to Mashaah Allaah pegham ke members bahoot hi samajhdaar nazer aate hain lekin phir bhi main ek pegham unhien doongaa ke hameshaa isi tareh mil jul ker rahien apni zaat se kabhi iss site ko nuqsaan naa hoonien dein ager khudaa naa khwastaa kisi mod yaa admin se kabhi koee ghalati ho bhi jaaye to pegham member usse uss mod yaa admin se clear ker lien lekin kabhi pegham ki buraayi naa karien aur isse nuqsaan pahoonchaanien ki naa soochien kyoon ke yeh humaari apni site hai
          bohot shukrya aap ka
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #50
            Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

            Asalam alaikum Members,
            Aap mey sey koi nahi sawal kerna chahta ??
            kuch bhi aap ney Khurram-shaikh sey poochna hai, aap bikul pooch saktey hein
            inshAllah
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #51
              Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

              Originally posted by khurram_shaikh
              ager kisi nien peenaa hai to mere ghar tashreef laaye


              Thoda sa pee gaye peetey peetye
              Naa samjho ke ham pee gaye peetey peetey
              Buri baat:zuban: ...Shaikh sahab...aap kya pilatey hain

              Waise to Mashaah Allaah pegham ke members bahoot hi samajhdaar nazer aate hain lekin phir bhi main ek pegham unhien doongaa ke hameshaa isi tareh mil jul ker rahien apni zaat se kabhi iss site ko nuqsaan naa hoonien dein ager khudaa naa khwastaa kisi mod yaa admin se kabhi koee ghalati ho bhi jaaye to pegham member usse uss mod yaa admin se clear ker lien lekin kabhi pegham ki buraayi naa karien aur isse nuqsaan pahoonchaanien ki naa soochien kyoon ke yeh humaari apni site hai
              Pehley pehal main bhi issey serious nahin liya tha aur ek common forum se compare kiya tha...gradually main ne paya ke yehan jitney bhi members hain unmein sab mein alag alag khoobiyan hain, merits hain, sabhi suljhey huwe hain, koi fuhadd baaz nahin hai aur aaj main Pegham ko comparatively other forums bahut a'ala muqam pe dekh raha hoon, in fact ye saare credits members ko jaata hai.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #52
                Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                Khurram Sahab mera sawal

                1.) Mangal Pandey Hindustan ke kis qasba, village se talluq rakhtey thay ?

                2.) Aap Mumbai mein rahtey hain, 1990 ke baad se wahan bahut dange huwe, aap unn halat ko evaluate kar ke batayen ke wahan Musalmano ki kaisi halat hai ?

                3.) Aap Azam garh ke hain, Banaras se waqif honge, Mumbai mein rahtey hain, filmo se waqif honge...Film "Hum Aapke Hain Koun", kis purani film ki copy hai.

                4.) Kitney Actors, actresses, Politicians and Players se mil chukey hain ?

                5.) You're married and living in Metropolitan, aaj kal Extra Marital Affairs bahut ho rahey hain, kyon ho rahey hain ?
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #53
                  Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                  Assalaam o alekum,

                  Ji spy aapke sawaaloon ke jawaab haazir hain :)
                  1. Mangal Pandey Hindustan ke kis qasba, village se talluq rakhtey thay ?
                    BALLIA (northern india)
                  2. Aap Mumbai mein rahtey hain, 1990 ke baad se wahan bahut dange huwe, aap unn halat ko evaluate kar ke batayen ke wahan Musalmano ki kaisi halat hai ?
                    Ji 1992 mien jab BABRI MASJID SHAHEED ki gayi uss waqt Mumbai mien itnaa zabardast Fasaad berpaa thaa ke naa poochien kam az kam 1 week to samjhien curfew mien ghuzra lekin phir bhi diloon mien dehshat baaqi hi thi Musalmaan kahin bhi jaataa thaa to akelaa nahin jaataa thaa ek do log saath mien nikalte they , khair yeh to akser fasaadoon mien hootaa aayaa hai india mien lekin 1992 ke fasadaat ke baad koee fasaad nahin huaa Mumbai mien Allaah kaa shukr hai sab normal hai ab yehaan
                  3. Aap Azamgarh ke hain, Banaras se waqif honge, Mumbai mein rahtey hain, filmo se waqif honge...Film "Hum Aapke Hain Koun", kis purani film ki copy hai.
                    Ji uss film kaa naam thaa NADIYA KE PAAR mi rite?:)
                  4. Kitney Actors, actresses, Politicians and Players se mil chukey hain ?
                  Ji cricketer mien sirf KAPIL DEV se milaa aur chand ek politicians se bhi milaa Actor actress se milnien kaa koee bahoot shauq nahin rahaa haan bank mien job hoonien ki wajeh se bahoot saare TV Actor aur actress se milnien kaa ittefaaq huaa hai Jaise SUNNY DEOL sunny kaa bank A/c SUNNY SUPER SOUND humaari bank mien hi thaa, Firoz Khan kaa bhi bank A/C humaari bank mien thaa, kuch film directors bhi mile jinke accounts humaari bank mien they yaa hain

                  5.) You're married and living in Metropolitan, aaj kal Extra Marital Affairs bahut ho rahey hain, kyon ho rahey hain ?

                  Azaad khayaali, modernism , larkiyon kaa glamorous ki taref bhaagnaa, behoodaa TV serials etc etc
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment


                  • #54
                    Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                    Originally posted by Spy009


                    Pehley pehal main bhi issey serious nahin liya tha aur ek common forum se compare kiya tha...gradually main ne paya ke yehan jitney bhi members hain unmein sab mein alag alag khoobiyan hain, merits hain, sabhi suljhey huwe hain, koi fuhadd baaz nahin hai aur aaj main Pegham ko comparatively other forums bahut a'ala muqam pe dekh raha hoon, in fact ye saare credits members ko jaata hai.
                    :)

                    aur jo log suljhey huye nahi hien un key liye ham ney theek thak cheezien (pegham smilies) rakhi hien suljhaaney key liye ;)
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #55
                      Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                      Salam Khurram and very welcome :welcome:
                      sigpic

                      Comment


                      • #56
                        Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                        Originally posted by khurram_shaikh
                        Assalaam o alekum,
                        Mangal Pandey Hindustan ke kis qasba, village se talluq rakhtey thay ?
                        BALLIA (northern india)


                        Walekum Salam, Shaikh Sahab,
                        Correct answer, Mangal pandey ka talluq Ballia se tha.


                        Aap Azamgarh ke hain, Banaras se waqif honge, Mumbai mein rahtey hain, filmo se waqif honge...Film "Hum Aapke Hain Koun", kis purani film ki copy hai. Ji uss film kaa naam thaa NADIYA KE PAAR mi rite?:)


                        Correct Hum Aapke Hain Koun Nadia ke Paar ki copy thi,
                        Nadia ke Paar ki actress Sadhna Singh ki shadi mere shahar mein huwi, wo mere ghar ke qareeb rahti hai, mushkil se 50 meter door,


                        You're married and living in Metropolitan, aaj kal Extra Marital Affairs bahut ho rahey hain, kyon ho rahey hain ?

                        Azaad khayaali, modernism , larkiyon kaa glamorous ki taref bhaagnaa, behoodaa TV serials etc etc
                        Aaj kal yeh ma'amla pechida hota ja raha hai, main samajhta hoon sabse bada kasoor TV serials ki hai.

                        Koi sawal nahin kar rahey hain, iss liye Azmi sahab main abhi aur sawalat karoonga...don't mind
                        Last edited by Spy009; 23 November 2005, 12:35.
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • #57
                          Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                          Originally posted by Saima Shaheen
                          Salam Khurram and very welcome :welcome:
                          W salaam

                          shukriyaa saima aur sunaao kaisa rahaa tumhaaraa chhootaa saa safer ?? aur haan halke phulke sawaalaat hi kernaa samjhi :) waise hi gul nien kachumar nikaal diyaa hai mera :( :)
                          :tang: RISK IS MY BUSINESS

                          DANGER IS MY GAME

                          DONT PLAY WITH ME
                          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                          Comment


                          • #58
                            Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                            Originally posted by Spy009
                            [/color][/b]

                            Walekum Salam, Shaikh Sahab,
                            Correct answer, Mangal pandey ka talluq Ballia se tha.




                            Correct Hum Aapke Hain Koun Nadia ke Paar ki copy thi,
                            Nadia ke Paar ki actress Sadhna Singh ki shadi mere shahar mein huwi, wo mere ghar ke qareeb rahti hai, mushkil se 50 meter door,



                            Aaj kal yeh ma'amla pechida hota ja raha hai, main samajhta hoon sabse bada kasoor TV serials ki hai.

                            Koi sawal nahin kar rahey hain, iss liye Azmi sahab main abhi aur sawalat karoonga...don't mind
                            Assalaam o alekum,

                            arey nahin jenab aap be jhijhak sawal karein main bhalaa kaise mind ker saktaa hun jab mind hi nahin mere pass :lol :lol :lol anyway ur wellcome fr
                            :tang: RISK IS MY BUSINESS

                            DANGER IS MY GAME

                            DONT PLAY WITH ME
                            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                            Comment


                            • #59
                              Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                              Khurram bahi sorry late ho gaya ...:D: sorry na
                              acha kuch sawal hain apne bhai ke lye .....jwab dein ge na?
                              1 aap kin halat main bohat ziaada khush hote hian?
                              2 aap last time kab roye thay ......aur wajah?
                              3 Mosam konsa acha lagta hay?
                              4 Pegham per kis member se gehri dosti hay? Koi aik
                              5 Khushi ko kis tarah celebrate karte hain?
                              6 Pakistan Earthquake mutasreen ke lye aap message dena chahein ge ?
                              in ka jaawb dein phir baad main :)
                              Allah

                              Comment


                              • #60
                                Re: In The Spotlight ~* Khurram-Shaikh *~

                                Khurram bhaii mai aaa gaee..Questions lay ker
                                chalay ab aap ready ho jayay

                                1)Aap ye bataye sab sy pehly tou ky aap tanhae pasand hain ya social?:shh:

                                2)Aaapko 12 maheeno main say kon sa maheena zada pasand hai aur kioo?

                                3)Aaapko kitabon say lagao hay k nahe.apki fav kitab kon se hai?:)

                                4)Aaapki zindage ka koe asool?

                                5)Mout say khoof aata hai?:embarasse

                                6)Janvar palny ka shooq ha aapko?

                                7)Aaap ka qeemti asasa kiya ha?:)

                                8)Gher kay koe kaam jo aap shooq say kerty hon ..?:p

                                9)Ager apki galte ho to kiya us ka aaitaraf foran ker laity
                                hain?

                                10)Zindagi ka khoob surat tareen din kon sa hai?:D:

                                11)Aaap mehmano ki achanak amad say ghabra jaty hain kiya?:cc:

                                12)Aaap mizajan kesy hain..narm ya sakht?:D

                                13)Nagawre ka izhaar kesy kerty hain aap?

                                14)Aaap hazir jawab hain ky nahe?:)

                                15)Aaap logo ki tavelll aur booring guftugo aasani say sun lety hain k
                                nahe ?

                                Abhe aap is ky jawab dain baki quesitions lay ker ate hon main itny :eye:

                                Comment

                                Working...
                                X