Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Shy ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

    Originally posted by Masood
    1) aap key pehley sawaal key jawab mein aik baat yaad aai keh hamein kya yaqin keh aap HAMARI dost hain key HAMAREY dost :zuban: (yaad aaya kuchh???)

    2) Ranjish ho jaey to baat chhor deti hain phir to aap dil mein ghubar rakhti hai. Aur agar dil mein ghubar ho to moafi nahin di jaa sakti. Aur moaf karna to afzal tar hai. Aap goya is sey door rehna chahti hai?

    3) .... to manfi soch bhi rakhti hain ya rakhi hai zindagi key barey mein. Jab manfi soch rakhti hain to kya sochti hain? kya aap apni manfi soch ko amali jama bhi pehnaa sakti hain ya aap mein itna shaoor raha hota hai keh aap ki soch siraf soch hi rehti hai.

    5) .... Shab-e-Qadr ki kya haqeeqat hai?

    6) haan ji chalako maasi to aap ho.
    uncle masood aap ke mazeed sawalon ke jawab :tang:
    wese aap ye sawal kahan se chun chun kar la rahe hen :hathora
    Attached Files

    Comment

    • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

      Originally posted by Masood
      tabiyyat aaj kuch aankh macholi khailney ko maangti hai. I am okay :)
      ajab tabeyat he aap ki ab ankh micholi bhi khelni lagi :D

      Comment

      • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

        Originally posted by Saima Shaheen
        Dear Ap ka interview parh ker buhut acha laga, mei Inshallah later in the day aap se kuch sawal kero gi :D

        Magar aap ke is reply per mujhe apni baat yaad aayi, aap se kehna chahou gi, ek waqt mei main bhi khuda se khafa hoti balkey shikwa kerti thi ke ous ne mujhe ager itni zimedarian di hain to lerka kiu nahi banaya..... buhut shikayat thi mujhe is baat per......... magar waqt guzerne ke sath duniya dekhne ke baad andaza huwa lerkay kya hotey hain, oun ki fitrat kya hoti hai, aur yaqin kero dear oun ke rang dhang dekh ker mei ab shuker kerti hoon ke mei lerka nahi. Khuda na karey ager lerka hoti to shayed oun ki tarah aisi rahon per bhatak jati. Aurat ka wajood apney aap mei muqadas hai, ager hum samjhein to .... is ka andaza is baat se ker lo k humari ek teacher kaha kerti thi k jo lerki naik seerat, parhaizgar ho farishtey bhi ous ke pakeeza daman mei namaz parhney ki dua kertey hain :)
        to ager me larka hota to bohat acha larka ban ke dikhata na dunia ko,koi in jesa thori hota jese aj kal hen :tauba wese mujeh hasrat to nahi he kiun ke apni family me aklota hone par mujhe jo laad piyar or mohabat mili us par me Allah ki bohat shuker guzar hun,lekin hamari society me larkon ko jo bila waja mehez male hone par fokeyat di jati he wo mujhe achi nahi lagi,jab ye kaha jaey ke wo ye kaam kar sakte hen kiun ke wo larkey hen,tab bara ghusa ata he,boys chahen to studies ke leay dunia ke kisi bhi hise me chale jaen or larki ko apne mulk me dusre city me jane ki ijazat na mile,ye to na insafi he na

        Comment

        • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

          Originally posted by shy

          Haan Dear yeh baat aap ne sahi kahin, lerko ko ja baja akser chizon per foqiyat di jati hai, mere sath shuroo mei aisa huwa meri mama buhut si baton se tokti thi.... magar mei bhi koi aisi wesi baiti thori thi oun ki jo baaz aa jati achey achey dalayel dai ker her baat per convince ker leti thi, aur jahan dalayel se kaam nahi chalta waha "emotional blackmailing" yeh keh ker ke ager aap ka koi baita yeh fermaish kerta to foram poori ker deti mei baiti hoon is liyeh .... yahan aa ker mama :D kher parhayi ke mamley mei khush kismati yeh hai ke mama ko khudh shoq tha is liyeh humein kabhisi se nahi roka .
          sigpic

          Comment

          • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

            Wese SHY masood ke questions mei Q # 2 Ranjish" ke barey mei aap en jo jawab diya, pasand aaya ... sahi kaha aap en meri aadat bhi kuch aisi hai is liyeh I think I can understand :)
            sigpic

            Comment

            • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

              Originally posted by Saima Shaheen
              Wese SHY masood ke questions mei Q # 2 Ranjish" ke barey mei aap en jo jawab diya, pasand aaya ... sahi kaha aap en meri aadat bhi kuch aisi hai is liyeh I think I can understand :)
              achaa u v esi :D chalo fer aap ko samjh aa gaei ho gi baat :wink

              Comment

              • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                Originally posted by Saima Shaheen
                Dear Ap ka interview parh ker buhut acha laga, mei Inshallah later in the day aap se kuch sawal kero gi :D

                Magar aap ke is reply per mujhe apni baat yaad aayi, aap se kehna chahou gi, ek waqt mei main bhi khuda se khafa hoti balkey shikwa kerti thi ke ous ne mujhe ager itni zimedarian di hain to lerka kiu nahi banaya..... buhut shikayat thi mujhe is baat per......... magar waqt guzerne ke sath duniya dekhne ke baad andaza huwa lerkay kya hotey hain, oun ki fitrat kya hoti hai, aur yaqin kero dear oun ke rang dhang dekh ker mei ab shuker kerti hoon ke mei lerka nahi. Khuda na karey ager lerka hoti to shayed oun ki tarah aisi rahon per bhatak jati. Aurat ka wajood apney aap mei muqadas hai, ager hum samjhein to .... is ka andaza is baat se ker lo k humari ek teacher kaha kerti thi k jo lerki naik seerat, parhaizgar ho farishtey bhi ous ke pakeeza daman mei namaz parhney ki dua kertey hain :)
                Saima dear aap larkon sey bohat bad-zhan ho. 5-on ungliyaan braber nahin hoti. Is mei koi shak nahin keh mostly larkon per yeh ilzaam dhara jata hai jo kaafi hadd tak drust bhi sabit hota hai. Magar meri baat yaad rakhein keh har insaan apni fitrat key mutabiq kaam karey ga. Mujhey aap key khittey ka to nahin pattah, magar Europe mein aur bohat had tak ab pakistan mein halaat is qadar badal chukey hain keh ab LARKIYAAN woh kaam karti nazar aati hain jo kabhi tassawar mein bhi nahin hota. Main aap ko afsos naak baat btaoun yahan per PAKI-larkiyaan is qadar waheyaat ho chuki hai keh teen-age ki larkiyaan aisi aisi gandi aur behoodah harkatein karti milti hain. Fitrat aaj kal ki larkiyon ki bhi koi khaas achhi nahin rahi.

                Aap ko main ney jitna jaana hai aap ki baton sey is baat ki khushboo aati hai keh aap ki tarbiyyat bohat umdah ki gaee hai, aur yehi sab sey bada point hai keh ghar mein kya tarbiyyat ki jati hai.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                  Originally posted by Saima Shaheen
                  is ka andaza is baat se ker lo k humari ek teacher kaha kerti thi k jo lerki naik seerat, parhaizgar ho farishtey bhi ous ke pakeeza daman mei namaz parhney ki dua kertey hain :)
                  Aur yeh sab baaten naa ho to ...
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment

                  • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                    Originally posted by Masood
                    magar Europe mein aur bohat had tak ab pakistan mein halaat is qadar badal chukey hain keh ab LARKIYAAN woh kaam karti nazar aati hain jo kabhi tassawar mein bhi nahin hota. Main aap ko afsos naak baat btaoun yahan per PAKI-larkiyaan is qadar waheyaat ho chuki hai keh teen-age ki larkiyaan aisi aisi gandi aur behoodah harkatein karti milti hain. Fitrat aaj kal ki larkiyon ki bhi koi khaas achhi nahin rahi.
                    1000% Agreed, Sirf Europe mein hi kyon, yeh aal over world mein hai. Teen age ladke to kam se kam sudhre hote hain, but teenager girls...main to chupp hi rahoonga :dua
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                      Originally posted by Masood
                      Saima dear aap larkon sey bohat bad-zhan ho. 5-on ungliyaan braber nahin hoti. Is mei koi shak nahin keh mostly larkon per yeh ilzaam dhara jata hai jo kaafi hadd tak drust bhi sabit hota hai. Magar meri baat yaad rakhein keh har insaan apni fitrat key mutabiq kaam karey ga. Mujhey aap key khittey ka to nahin pattah, magar Europe mein aur bohat had tak ab pakistan mein halaat is qadar badal chukey hain keh ab LARKIYAAN woh kaam karti nazar aati hain jo kabhi tassawar mein bhi nahin hota. Main aap ko afsos naak baat btaoun yahan per PAKI-larkiyaan is qadar waheyaat ho chuki hai keh teen-age ki larkiyaan aisi aisi gandi aur behoodah harkatein karti milti hain. Fitrat aaj kal ki larkiyon ki bhi koi khaas achhi nahin rahi.

                      Aap ko main ney jitna jaana hai aap ki baton sey is baat ki khushboo aati hai keh aap ki tarbiyyat bohat umdah ki gaee hai, aur yehi sab sey bada point hai keh ghar mein kya tarbiyyat ki jati hai.

                      Ho sakta hai , nahi balkey hai lerkian bhi aisi hain, sab ghar ki tarbiyat per depend kerta hai, Jo terbiyar maan baap karein wahi seerat lerkion mei aati hai. Lerkian galat rah apnati hain, jab ghar se oun per koi rok tok na ho, ounhein be-ja aazadi di jayeh to aisi lerkio ko bigarne mei rahi sahi kaser media poori ker deta hai. Magar lerkey to ghar ki tarbiyat achi honey ke baad bhi ............ kya kehna .......
                      sigpic

                      Comment

                      • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                        Originally posted by Spy009
                        Aur yeh sab baaten naa ho to ...

                        To wo pak-daman to nahi huwi phir
                        sigpic

                        Comment

                        • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                          Originally posted by Spy009
                          main to chupp hi rahoonga
                          aap chup rahein ya na rahein magar main khamosh nahin rah sakta kyun keh main ney yeh batein bohat qareeb sey dekhi hai. Hamarey aik janene waley hain. Woh meri behnon per tanz kiya kartey they keh yeh maghribi libaas pehanti hain. Jab unki apni 3 betiyaan jawan huin to woh ghar sey pakistani libas mein nikalti, magar school pohanch kar western libaas aur woh bhi aala darjey keh behooda libas pehan kar ghoomtin.

                          Aur to aur aaj kal bohat kam teen age girls hain jo koi behoodah kaam nahin kar chuki hoti.

                          Originally posted by Saima Shaheen
                          jab ghar se oun per koi rok tok na ho, ounhein be-ja aazadi di jayeh to aisi lerkio ko bigarne mei
                          achhi dost yeh mushahidah bhi kiya geya hai keh be-ja rok tok baat baat per mana karna, unko jitna ziyada pabandiyon mein rakha jata hai woh larkiyaan utni bigartee nazar aai hain. Aazadi dena koi buri baat nahin, pabandiyaan kisi masley ka hal nahin, magar sab sey aham baat larkiyon mein aik aetmaad bahaal karta hota hai, unhein is baat per yaqin dilana hota hai keh woh aazad hain magar aazadi ko ghalat istimaal nahin karein. Yeh sab tarbiyyat ka kamal hai.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Dear Ap ka interview parh ker buhut acha laga, mei Inshallah later in the day aap se kuch sawal kero gi :D

                            Magar aap ke is reply per mujhe apni baat yaad aayi, aap se kehna chahou gi, ek waqt mei main bhi khuda se khafa hoti balkey shikwa kerti thi ke ous ne mujhe ager itni zimedarian di hain to lerka kiu nahi banaya..... buhut shikayat thi mujhe is baat per......... magar waqt guzerne ke sath duniya dekhne ke baad andaza huwa lerkay kya hotey hain, oun ki fitrat kya hoti hai, aur yaqin kero dear oun ke rang dhang dekh ker mei ab shuker kerti hoon ke mei lerka nahi. Khuda na karey ager lerka hoti to shayed oun ki tarah aisi rahon per bhatak jati. Aurat ka wajood apney aap mei muqadas hai, ager hum samjhein to .... is ka andaza is baat se ker lo k humari ek teacher kaha kerti thi k jo lerki naik seerat, parhaizgar ho farishtey bhi ous ke pakeeza daman mei namaz parhney ki dua kertey hain :)

                            Assalaam o alekum,

                            bahooooot khoooob saima bahoooot hi khooob aapkaa jawaab perh ker behud khushi huee Allaah pak aisi hi aql o shaoor her larki ko dein ameen summa ameen mere pass isse zaayed alfaaz nahin aapki taareef ke liye khush rahien:thmbup: :thmbup: :salam:
                            :tang: RISK IS MY BUSINESS

                            DANGER IS MY GAME

                            DONT PLAY WITH ME
                            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                            Comment

                            • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                              Originally posted by Masood
                              aap chup rahein ya na rahein magar main khamosh nahin rah sakta kyun keh main ney yeh batein bohat qareeb sey dekhi hai. Hamarey aik janene waley hain. Woh meri behnon per tanz kiya kartey they keh yeh maghribi libaas pehanti hain. Jab unki apni 3 betiyaan jawan huin to woh ghar sey pakistani libas mein nikalti, magar school pohanch kar western libaas aur woh bhi aala darjey keh behooda libas pehan kar ghoomtin.

                              Assalaam o alekum,

                              Yessssss i agreed 101% wth u masoood hum dooosrooon ki maan behnooon per bahoot tanz kerte hain lekin jab humaari apni maan behnien wohi kerti hain to hum khaamooosh rehte hain yeh insaani fitrat hai shaayad doosrooon per ungli uthaanaa :( waise tarbiyat per bahooot kuch munhasir hootaa hai larkiyoon ki aur ussmien maan ek ahem qirdaar nibaahti hai
                              :tang: RISK IS MY BUSINESS

                              DANGER IS MY GAME

                              DONT PLAY WITH ME
                              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                              Comment

                              • Re: Is Haftey ki Mehmaan--Shy--

                                Hmm sawalat kai jawab khoob likh rahee ho aur kuch adhoorey bhi par baaton ka kya jitni chahey kar lo so agey barhtey hain ..!! meri taraf sai akhri kuch sawalat

                                1) Meethi Churiyan kya hoti hain Bayan karein ?

                                2) Jo loag zayda Over honaey ki koshish kertey hain un kai saath kya karti ho ?

                                3) Tum nai kaha zaban ka rishta nahi hota to ham sab ka rishta bhi to zaban ka hee hai likhai ka hee hai to kya net per kisi ka aitbar nahi ?

                                4) Khushamdi loag kasey lagtey hein ? ..!!! Koi tumhari khushamad karey to kassa mehsoos hota hai ?

                                5) Gharoor kabhi kya ? (Riwayatee dialouge nahi pls) agar kya to kab aur kyun ?

                                6) Koi hasrat ? (khawahish nahi hasrat yaad rekhna :) )

                                7) Hamarey muasharey main ik kamyab aurat ki kya nishani hai ? ..!!! (yaad rahey Hamarey muasharey main :) )

                                8) ALLAH nai aurat main bohat sabar rakha hai ..!! Tum kahan tak khud ko sabir aur shakir samjhti ho ?

                                9) Jo loag peeth peechey burayan karein doosron ki un ko kya samjhti ho ?

                                10) Mera akhri sawal..!! Dosti is rishtey ki izzat kitni hai tumahrey dil main ? Is rishtey par kitna aetbar hai ? aur is aetbar ko yaqeenan kisi na kisi nai kahin ka kahin thaes zaroor lagai ho gi ..!! aisa hua to kya feelings thaein ?

                                Comment

                                Working...
                                X