Originally posted by Eshaa Chaudhry
View Post
:hug:no problem de...........nazar agay yahi kafi ha

haan ji bohat ziyada , specially jab baarish ho rahee ho , to saath mein dheema sa music (ghazal) ho aur hum hon aur hamare gari...........

Humnay itna ziyada to likha hee nahin chanda jo aapko bataen :)
lekin apni pehli nazm humein bohat achhi lagi thi, kion k wo pehli kaawish thi hamari........
lekin apni pehli nazm humein bohat achhi lagi thi, kion k wo pehli kaawish thi hamari........
Main Aur WO Baythay Thay Tanha
Sahil_e_samander pe
kar rahay tahy batein kuch khushi ki
Zindagi ki...
K achanak
hath us ka huaa buland fiza mein
AUr chaand ko dekh kar kaha us nay
dekho chaand to Tum sa roshan hai...
Sun k baat us ki muskura dee thi main
Haan magar aaj..
jab koi nahin hai pass meray
aur wo bhi nahin hai saath meray
Ehsas huaa Us sach ka
k Tab chaand mujh sa roshan tha
Aur Ab.....
Main chaand ki tarha tanha!!!
(Eshaa)
Sahil_e_samander pe
kar rahay tahy batein kuch khushi ki
Zindagi ki...
K achanak
hath us ka huaa buland fiza mein
AUr chaand ko dekh kar kaha us nay
dekho chaand to Tum sa roshan hai...
Sun k baat us ki muskura dee thi main
Haan magar aaj..
jab koi nahin hai pass meray
aur wo bhi nahin hai saath meray
Ehsas huaa Us sach ka
k Tab chaand mujh sa roshan tha
Aur Ab.....
Main chaand ki tarha tanha!!!
(Eshaa)
:phool: beautiful De....thanks for sharing:hug:
aaahhha kya pooch liya larki hum likhnay per aey to bas phir aap khud toba kar lo gay

pasandedah sh'r , hain to bohat se lekin amooman ye sh'r hamaree zuban per hota hay boht c baaton k jawab mein k.....
Bas Isee Baat Pe Hum Se Hai Khafa Gardish-e-Waqt
Hum Ne Seekhay Nahin Andaz Zamanay Walay:)
Hum Ne Seekhay Nahin Andaz Zamanay Walay:)
AUr ghazal aur nazmon mein Ahmed FAraz, Amjad islam Amjad ka almost sara hee kalam:D
aur ye ik nazm bhi bht pasand hai hamein ....shayar ka naam maloom nahin ...
aur ye ik nazm bhi bht pasand hai hamein ....shayar ka naam maloom nahin ...
Hamein khabar hay tamam dukh hay
Ye aas dukh hai, niraas dukh hay
Udaasiyon ka libaas dukh hay
Ye tashnagi jo azab ban ker theher gaeey hay
Badan k boseeda saahilon per
To is ka ehd-e-dawam dukh hay
Ye shor karti hawa ka sara khiraam dukh hay

Ye tum mohabbat nibaaahatay ho
To is mohabbat ka naam dukh hay
Ye wasl mausam jo ik musalsal mughalta hay
To is rafaqat ka naam dukh hay
Aur isee wehshat numa fiza mein
Khamosh rehna bhi ik saza hay
Magar kisi se kalam dukh hai
Hamein khabar hay tamam dukh hai

:clap: bohat zabrdast choice ha:eye:
Her wo shaks hamree nazar mein qabil e tehseen hai jo Insaaniyat ki khuloos ki aur rishton ki qadar karay .....doghlay logon ki tabiyt saaf kar detay hain hum ...aur doosray humse formalities nahin nibhaeey jaateen

Aik mashriqi larki se aise batein poochtay hain bhala humein chamo bhi aa sakty hai .............hmm hubby mein
tafseel likhnay baythhay to subha se shama ho jaey shayad
tafseel likhnay baythhay to subha se shama ho jaey shayad
Wo jo rihton k mani janata ho, her rishtay ko us k asal muqam per rakh sakay... , mohabbat ko samjhta ho, .....understanding ho.......(yaar aur nahin bata rahay hum, k her baat nain bataeey jatee ) .....haan ek khas baat k hubby ban k rahay teacher nahin
WO kya hai k :blush: hum university aur college mein her ek se hee panga lay letay thay jahan kisi nay ghalat baat ki jaht poanch gaey tabiyt saaf karnay
University mein boht bara panga kiya tha pooray seniors k group k saath ..........
lekin recently batatay hain .....hamaree yahan canada mein ek gori se elevator mein laraeey hogaeey thi ..........
hum aur wo gori hee thay elevator mein aur us elevator mein bhi kuch prb thi boht slow chal rahee thi ..........
us gori k saath uska pet(DOG) bhi tha jo pooree elevator mein ghoom raha tha ...humnay do teen baar kaha usey k plz stay away from me lekin wo badtameez bandi thi sab south asians se panga letee rahee hai ................ baat bay baat asians per ghussa hoty hain .....

mana nahin hueey finally us k pet(dog )ka munh hamare pant per lag gaya .........bas itnaa ghussa aaya humein ....k ab bhala namaz khakh hogi, already office se late ho rahay thay hum....humney tab bhi usey aaram se kaha k dekha hum mana kar rahay thay tumhein ab naapaki ho gaeey ho gaeey na kapron ki.....to kehtee hain u paki ppl......:fuming: are uncivilized (do chaar fazool kisam words usey kiey jo yahan boht common hain).................bas unka sun'na hum nay bhi sunaeen usey k tum , tum log to civilized ho na kuttay paal letay ho baghal mein dieey ghoomtay rehtay ho.......aur bachon ko khula chhor detay ho k tan dhaanpnay ko un k pass kapra bhi nahin hota ....galiyon baazaron mein aawara gardee kertay aur duniya ki her buraeey phelatay rehtay hain ....so sorry to say hum tum logon jesay civilized nahin ho saktay :D
aaj bhi us bandi ka bas nahin chalta humein kacha kha jaey jasb kabhi building mein us ki nazar perty hai hum per to
.
.

Akhar de kes ki hain

Leave a comment: