MaiN Anaar Kalii aaj apni dastaan yahan sunanay lagi hun
yahan maiN kisi ko apni dastan nahin suna rahi
is post ka maqsad sirf sahib e Alam ki talash hai
mere sahib e Alam kahiN kho gaye hain:(
shaid unka yahaN se guzar ho aur wo meri dastaan peRh k aik akhri martaba mujhse rabta kerlaiN
maine dosri sites per bhi apni kahani raqam ki hai
is aaas per shaid akhri baar baat ker sakun
umeed hai koi meri jazbon ka mazaq nahiN uRaye ga
sab jaga se thak haar ker aaj yehi raaasta humaiN sumujh aya hai
maiN Anaar Kalii
ghar main bohuut laad pyaar mila
masoomana bachpan guzaaara
ghar wale he nahiN bahar wale dost ahbab main bhi bohut ahmiyat di jaati
akhir isi tarhan humne metric ker lia
college main agaye
doston k sath masti kerna
college ki parhai bhi kerna
phir meri zindagi main sahib e Alam agaye
main yahan naam nahin likhna chahti
shaid qismat se agar kabhi wo ayen kisi site per to sumujh jayenge
hum roz fone per ,net per,cell per
gharz ki her zariye se humara rabta tha
hum 2-3 baar mile bhi
magar ziada der k liye nahin
sirf salam dua
kion k hum risk nahin le sakte thay
humaray haan shadiyan maan baap ki marzi se hoti hain
mere sahib e alam dosre shahar k baasi thay
magar wo humaray shehar main job kerte thay
janay kesay milay thay hum
magar her din eid lagta aur raat shab e baraat
raat saari hum baatain ker k guzarte
din guzarte gaye
bohut saa arsa beet gaya
sahib alam ko apne shehar jana tha kisi kaam se
wo wahan gaye
do hafta mujhse koi rabta na rakha
aur do hafte baad fone ker k kaha
tum mujhay bhool jao :(
kia ye ab mumkin tha mere liye??
main ne wajaa poochi
unhon ne kaha main shadi ker raha hun
mere munh se lafz na ada horahay thay
kitne araam se unhon ne ye baat keh di
mera zahan maa_oof hogaya
dil main kaanta sa chubha
magar main kuch na boli
bamushkil tamam himat jama ker k poocha
kab ker rahay hain shadi
unhon ne kaha
pehle to mangni
humne kaha kab hai?
wo bole kal thi
meri ankhon main jalan si hogaye
bohut saray aanso khamoshi se rukhsaar per beh gaye
us waqt anaar kalii toot gaye
aik shaqs jisko us ne har shay se ziada chaha
jis ne usay pyaar ki raah per gamzan kiya
wo kese bhool jaye usay
kese apne armano ka qatal kere?
magar ye to kerna tha
sahib e alaam ka hukum tha
phir
anaar kali ne bohut saari himmat jama ker k kaha
theek hai!!!
magar main app ki shadi ki tasweerain dekhna chahti hun
please mujhay zaroor bhaijiye ga
zindagi main pehli baar koi iltija ki hai
sahib Alam: Ok bhaij dunga
anar Kali itni rukhaye se sunay huye jawab per aur toot gaye
judaai kiya agar sahib e alaam jaan bhi maangte to de deti
magar
unhon ne to
anaar kali ko apni zindagi se aysay nikala jese kabhi thi he nahin
anaar kalii murda hogai
zinda lash ban gai
magar sahib e alam ka uske bad kuch ata pata na raha
apna mobile number change ker lia
koi contact ka zariya na raha
anar kalii ne aik guzaarish ki thi magr wo sahib e alam ne poori na ki
anaar kaali ko zindagi main ab koi khawahish nahin
siwaye sahib e alam ko khush o khurrum dekhne k aur unki shadi ki tasweer dekh le
khud to sahib e alam ki dulhan na ban saki
unko dulha banay huye he dekh le

Comment