:salam: Kuch batein Khalil Jibraan ki.......:rose
Agar tum tanha ho Aur waqt k dil shikan lamhaat tumharay seenay k mehsoosaat ko paamal ker rahay hain to kia hua, tum is duniya mein tanha hee aaey thay tanha hee jaao gay, to phir tanhaeey se kion ghabratay ho.
Raatein guzar jaaty hain aur hum baykhabar soey rehtay hain. Din hamara istaqbaal kerta hai aur hum se baghal geer hota hai lekin hum phir bhi shab-o-roz musalsal khaufzada rehtay hain aur isee terha saree zindagi guzaar detay hain.
Jab tum kisi se mohabbat kertay ho to isey aazad chhor do Agar wo laut aaey to us ki parastish kero aur agar waapis na aaey to samjho k wo kabhi tumhara hua hee na tha...
Zindagi taareeki hai siwa us waqt k jab lagan hoti hai aur her lagan us waqt tak khokhli hoti hai jab tak elm nahin hota aur her qisam ka elm baykaar hai jab tak amal na ho aur her amal khokhla hai jab tak mohabbat na ho aur jab tum mohabbat k saath amal kertay ho tab tum khud ko apnay aap se ek doosrey se aur KHUDA se baandh letay ho
Tum mein se kuch log aisay hotay hain jin k pass kam hota hai lekin wo sab de detay hain, ye wo log hain jo zindagi per yaqeen rakhtay hain aur zindagi ki sakhawat per, so in ka sandooq kabhi khali nahin hota.

Comment