Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Main aur Shairi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Main aur Shairi

    Assalamo allaikum

    Aaj main aap ko apni aik aap beeti sunata hoon...

    DK migration karney key baad jab main pehli baar Pak geya to wahan per meri dosti chand larkon sey hui. Main us waqt teen-age mein tha. Un larkon mein aik Sufi Sahib bhi they jo kaafi parhey likhey they aur aik shair Mustafa Zaidi key doston mein sey they. Sufi Sahib khud bhi collegue key zamaney mein shairi kiya kartey they.

    Unkey haath meri kitab lagi jismein meri tooti phooti shairi thi. Sufi sahib kehney lagey:

    Sufi Sahib: "Masood tum kehtey ho keh tum shairi kar saktey ho, main tumhein apney collegue key zamaney ki aik ghazal ka aik misra btata hoon, mujhey uska matlab aasan urdu mein btaa do"

    Masood: "Sufi sahib main ney kabhi dawa nahin kiya keh main shairi kar sakta hoon, bas aisey hi shairi sey "jagali" karta hoon :lol - aap jo imtihaan mein daalein yeh soch lijiye keh meri Urdu ki taleem siraf 3 jumatein hain"

    Sufi Sahib: ".... nahin jo shairi karta hai ussey to patah hona chahiye... chalo jaldi sey is misrey ki salees urdu btao:

    kushta-e-shokhi-e-rindana nigah hain ham bhi"

    Qasam ley lijiye meri samajh mein aaya keh iska kya matlab tha. Main ney bohat socha phir sharmindgi sey kaha :blush: :

    Masood: "Sufi sahib! main aap ko iska matlab to nahin btaa sakta, agar aap ijazat dein to aap ka shair mukamil kar doon?" - Sufi sahib ney tajasus sey kahan haan kar do....

    to main ney apni sharmindgi ko alfaz mein dhanptey huwey shair yun mukamil kiya:

    Kushta-e-shokhi-e-rindana nigah hain ham bhi
    kisi ullu ki pathi key gham mein tabah hain ham bhi :lol :lol :lol
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Main aur Shairi

    Assalaam-0-Alaikom:rose

    aaaaaaaaaa... tauba hai

    :kr:
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: Main aur Shairi

      Originally posted by Rida
      Assalaam-0-Alaikom:rose

      aaaaaaaaaa... tauba hai

      :kr:
      Rida behna yeh itney salon sey merey zehan mein raha hai magar kabhi share karna ka khiyal tak nahin aaya. Kal un Sufi Sahib ki tasweer nazar aai to yeh waqeya zehan mein aa geya...
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Main aur Shairi

        Kushta-e-shokhi-e-rindana nigah hain ham bhi
        kisi ullu ki pathi key gham mein tabah hain ham bhi



        :lol un soofi sahab ko bhi is ka matlab pata tha ya nahi ?:khi:
        woh apna yeh misra ab kisi ko nahi suanye ga, aap nay yeh haal jo kar dia us kay shair ka
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Main aur Shairi

          Aap khud hi itni mushkil shairi kartay ho ...phir to aap ko is shair ka matlab to paata hona chahi tha

          Aap ne yeh nahi bataya ..ke Sufi sahib ne is ka matlab bataya ke nahi
          Last edited by amber; 20 March 2006, 11:40.

          Comment


          • #6
            Re: Main aur Shairi

            Originally posted by Aanchal
            Kushta-e-shokhi-e-rindana nigah hain ham bhi
            kisi ullu ki pathi key gham mein tabah hain ham bhi



            :lol un soofi sahab ko bhi is ka matlab pata tha ya nahi ?:khi:
            woh apna yeh misra ab kisi ko nahi suanye ga, aap nay yeh haal jo kar dia us kay shair ka
            Sach kehti hain aap - mujhey to sharmindgi thi keh matlab na btaa saka tha, magar jo phir unkey saath huwa uska andaza kiya jaa sakta hai
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Main aur Shairi

              Originally posted by amber
              Aap khud hi itni mushkil shairi kartay ho ...phir to aap ko is shair ka matlab to paata hona chahi tha

              Aap ne yeh nahi bataya ..ke Sufi sahib ne is ka matlab bataya ke nahi
              Nahin unho ney matlab nahin btaya balkey unhein Chaey aur Mithaee key paisey zaroor dena parey they keh yehi hamari shart thi :D

              Baad mein main ney khud ghaur kiya to pata chala keh iska matlab to bohat clear hai:

              Kushta = farsi lafz hai iska matlab hai "qatal kiya huwa"
              Shokhi = chanchalpa - shokhi (yeh to sab jantey hain)
              rindana = yeh bhi farsi hai, rindana ka matlab hai MAKKAR

              yani "makkar aankhon ki shokhi ka qatal kiya huwa" :wk
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Main aur Shairi

                yani aap shiru se hi ese hen uncle:khi:

                Comment


                • #9
                  Re: Main aur Shairi

                  Originally posted by shy
                  yani aap shiru se hi ese hen uncle:khi:
                  aisey kaisey? :cc: - saaf saaf kah do na khala keh main NIL-BATTA-NIL hoon - apni khala per geya hoon na
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Main aur Shairi

                    Originally posted by Masood
                    Rida behna yeh itney salon sey merey zehan mein raha hai magar kabhi share karna ka khiyal tak nahin aaya. Kal un Sufi Sahib ki tasweer nazar aai to yeh waqeya zehan mein aa geya...
                    Assalaam-0-Alaikom:rose

                    achi lagi hai aap ki sharing..:)
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #11
                      Re: Main aur Shairi

                      Originally posted by Masood
                      Nahin unho ney matlab nahin btaya balkey unhein Chaey aur Mithaee key paisey zaroor dena parey they keh yehi hamari shart thi :D

                      Baad mein main ney khud ghaur kiya to pata chala keh iska matlab to bohat clear hai:

                      Kushta = farsi lafz hai iska matlab hai "qatal kiya huwa"
                      Shokhi = chanchalpa - shokhi (yeh to sab jantey hain)
                      rindana = yeh bhi farsi hai, rindana ka matlab hai MAKKAR

                      yani "makkar aankhon ki shokhi ka qatal kiya huwa" :wk

                      Ek to itni mushkil udu ko samajna mushkil hai...upar se yeh farsi ki baat kar rahay hain

                      Comment


                      • #12
                        Re: Main aur Shairi

                        Originally posted by amber
                        Ek to itni mushkil udu ko samajna mushkil hai...upar se yeh farsi ki baat kar rahay hain
                        amber mujhey aik baat aaj btaa hi dein - aap key shairana zoq ko main koi 3 saal sey janta hoon - mujhey aap yeh btaein keh woh itni khoobsurat aur mushkil shairi aap kaisey samajh leti hain? :cc: - kya aap ki behan to paas nahin bethi hotin jo kehti hain yeh ghazal share karo :mm:
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: Main aur Shairi

                          Originally posted by Masood
                          amber mujhey aik baat aaj btaa hi dein - aap key shairana zoq ko main koi 3 saal sey janta hoon - mujhey aap yeh btaein keh woh itni khoobsurat aur mushkil shairi aap kaisey samajh leti hain? :cc: - kya aap ki behan to paas nahin bethi hotin jo kehti hain yeh ghazal share karo :mm:


                          Maine aj tak koi mushkil shairi post nahi ki....aur main Wohi share karti
                          hun..jab mujhe samaj aye ...main apni pasand ki hi shairi hi share karti hun
                          Aur waese main in 3 saal me hi bohat se mushkil lafz sikhay hain:D ...isi liye
                          urdu kuch behtar hogai hai

                          Comment


                          • #14
                            Re: Main aur Shairi

                            Originally posted by Masood
                            aisey kaisey? :cc: - saaf saaf kah do na khala keh main NIL-BATTA-NIL hoon - apni khala per geya hoon na
                            bohat aqalmand ho gaey hen uncle aap:wk ishare se hi baat samjh gaey:khi:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Main aur Shairi

                              Originally posted by amber
                              Maine aj tak koi mushkil shairi post nahi ki....aur main Wohi share karti
                              hun..jab mujhe samaj aye ...main apni pasand ki hi shairi hi share karti hun
                              Aur waese main in 3 saal me hi bohat se mushkil lafz sikhay hain:D ...isi liye
                              urdu kuch behtar hogai hai
                              yehi to hamein maqsood tha keh aap ki urdu mein rasaee achhi ho aur kalmaat key mafhoom ko samajhna sehal ho :p
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X