Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

    Assalamalikum

    hamray han dunyavi taleem kay ley bachay ko 3-4 ki age main school main Admission dila dia jata hai ..lekan deeni taleem kay ley kaha jata hai hai kay he/she is too young for this ..or samjah nahi paian gay is age main islam ko ..or dono cheezian sath karain gay to bacho pay boujh par jaye ga etc etc ..aisi kai baatian sunnay main ati hain ..aap logo ki kia raye hia is pay kay kesay manage kia jana chaye ? :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

    Originally posted by Aanchal View Post
    Assalamalikum

    hamray han dunyavi taleem kay ley bachay ko 3-4 ki age main school main Admission dila dia jata hai ..l
    Wa salaam

    :o :o yeh aflatoon key bachey hain?
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

      Allah Tallah banday par utna hi bhoj dalta hai jitna woh bardasht kar sakta hai

      Comment


      • #4
        Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

        دینی تعلیم تو اُس وقت سے شروع ہوجاتی ہے جب

        بچے کے کان میں آزان دی جاتی ہے :)۔

        ویسے احادیث کی رو سے سات سال کے بچے کو نماز کی طرف راغب کرنے کا کہا گیا ہے
        :star1:

        Comment


        • #5
          Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

          Originally posted by Masood View Post


          Wa salaam

          :o :o yeh aflatoon key bachey hain?
          3-4 say pehlay Nursery jana shuru ho jatay hian kuch to :manicure:
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

            Originally posted by -=The Driver=- View Post
            Allah Tallah banday par utna hi bhoj dalta hai jitna woh bardasht kar sakta hai
            han lekan aap kay khayal main kis age say shuru karna chaye bachay ko islam ki knowledge dena ?:--d
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

              Originally posted by S.Athar View Post
              دینی تعلیم تو اُس وقت سے شروع ہوجاتی ہے جب

              بچے کے کان میں آزان دی جاتی ہے :)۔

              ویسے احادیث کی رو سے سات سال کے بچے کو نماز کی طرف راغب کرنے کا کہا گیا ہے
              han namaz 7 saal rooza 10 saal say start ho jata hai ...lekan islam main to or buhat kuch hai na wo kis age main bacha seekhye :rose
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

                Mujhe itne na passand hai k pocho mat
                mera kehna hai k bache paida he na karoon
                agar karte b ho tu paal sako
                agar paal b lo tu duno kama hone cahiyen deeni taleem b school k parhayi b
                apki mein kya kaho mere tu bache hai nahi ab..
                So kuch kehna shai nahi
                :shyy::hii:

                Comment


                • #9
                  Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  3-4 say pehlay Nursery jana shuru ho jatay hian kuch to :manicure:
                  Nahin main ney is liyey kaha keh hamarey yahan per 5-6 saal ki umer mein bachon ko school liya jata hai :D - arey haan bhool geya tha keh yeh log to waisey bhi ham sey hazaron saal peechey hain :lol

                  Bibi 3-4 saal ka bacha school mein kya karey ga? koi Khuda ka khof karein!!!
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

                    Originally posted by Masood View Post


                    Nahin main ney is liyey kaha keh hamarey yahan per 5-6 saal ki umer mein bachon ko school liya jata hai :D - arey haan bhool geya tha keh yeh log to waisey bhi ham sey hazaron saal peechey hain :lol

                    Bibi 3-4 saal ka bacha school mein kya karey ga? koi Khuda ka khof karein!!!

                    pehli baar suna hai kay 3-4 saal k bachay school jatay hovey :lol:

                    aap logo k bachay 5-6 ki omar main school jatay hian to us say pehlay kia kartay hian :think:
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #11
                      Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

                      Originally posted by Saba Baloch View Post
                      Mujhe itne na passand hai k pocho mat
                      mera kehna hai k bache paida he na karoon
                      agar karte b ho tu paal sako
                      agar paal b lo tu duno kama hone cahiyen deeni taleem b school k parhayi b
                      apki mein kya kaho mere tu bache hai nahi ab..
                      So kuch kehna shai nahi
                      theek hai tumhray yeh saray msg sun ley sub nay :==d
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #12
                        Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        pehli baar suna hai kay 3-4 saal k bachay school jatay hovey :lol:

                        aap logo k bachay 5-6 ki omar main school jatay hian to us say pehlay kia kartay hian :think:
                        HAMAREY bachey? hahaha okay okay HAMAREY bachey galiyon mein guli danda kheltey rehtey hain :lol

                        Denmark mein agar waldein dono job karney waley hon to bachey ki pedaish key baad sey ley ker taqreean aik saal tak maan ko chhuti ka haq haasil hain with 60% of pay. Us aik saal baad maan job per wapis jaa sakti hai. Iskey baad ya issi doran baap 14 days free kar sakta hao with pay bachey ko sambhalney key liyey. Is key baad bachey day care mein jata hai. Uskey baad nursery mein jiskey mukhtalif levels hain. Yehi sey bachey ko School aur society key liyey tayyar kiya jata hai, jaisa keh qanoon ka paas, traffic key qanoon ka paas waghera. Iskey baad jaisa main ney kaha 5, 5½ sey 6 saal ka bacha school shuru karta hai.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          pehli baar suna hai kay 3-4 saal k bachay school jatay hovey :lol:

                          aap logo k bachay 5-6 ki omar main school jatay hian to us say pehlay kia kartay hian :think:
                          u.a.e mein 4 saal se uper bache ku kg1 mein nahi bethne dete ..
                          is liye sab apne bache 4 saal ki he umer mein he admission kara dete hai
                          :shyy::hii:

                          Comment


                          • #14
                            Re: deeni Taleem kis age say shuru honi chaye ???

                            Assalaam-O-alaikum

                            Bohat hi achay topic ka agaaz kia hay aap nay, JAZACH ALLAH KHAIR :)


                            Hum nay apnay deen ko bohat complicted bana dia hay aur aksar hum deen aur duniya ko alag andaaz say dekhtay hain, magar jab hum Nabi-e-Karim SAW aur Sahaba-e-Karam Razi ALLAH Alayhum Ajmayeen ki seerat ka mutala'a kartay hain tou unhoon nay deen aur dunya ko kabhi alag nahin kia, matlab hukumtii umoor bhi nibhaayay aur saath saath deen ko bhi firoogh dia, ghar gharastii bhi chalayii aur saath saath namaz ki pabandi aur deeeni umoor ko bhi nibhaaya!!

                            Bachay ka zehan aik beej ki tarah hota hay jiss ki sahii nashoonuma ki jaayay tou aik acha phal saamnay aata hay aur yeh tarbiyat ussay jaisay jaisay shsour aata jasysy daini chayeh waran yeh murjha jaata hay..... issi liye bachay kay zehan main ISLAM ki taleem jo kay humarii 'Tarbiyat' ka bhi hissa hay say roshnas karwaana chayed jinn main NAMAZ ki pabaandi bohat zaroori hay magar uss kay liye humain khudh bhi aik MISAAL qayiim karni hay agar hum khudh paaband nahin tou hum bachoon main woh cheese kahan muntaqil karain gain..

                            Aik 'badoo' Hazrat Abu Bakr Siddique RZ kay paas aaya aur kaha kay mujhay asaan tareeqa batayain kiyonki meri yaadasht itni nahin kay sab kuch yaad rakh sakoon, Aap RZ nay kaha kay aap kay haath main paanch ungliyan hain :
                            1. Pehli ungli ALLAH SWT ki wahdaniyat per yaqeen aur iss baat ka yaqeen kay NABI-E-KARIM SAW ALLAH kay aakhri RASOOL hain
                            2. Dosri unglii NAMAZ (farz namaaz ki adaygi)
                            3. Teesri ungli ROZA (Ramadan Main rouzay)
                            4. Choti ungli ZAKAT ki adayegi (Agar waajib hay)
                            5. Hajj (Agar Hajj ki istitayat hay)

                            Kia yeh yaad rahay ga, uss nay kaha haan yaad rahay ga.... yaani dekhain kay kitna simple iss message ko rakha, yehi simplicity thi kay ISLAM iss taizi say phela baaqi zindagi main kia achayii hay aur kia burayii hay iss kay liye deen ki nahin balkay woh tou ALLAH SWT nay humaray andar 'ZAMEER' paida kia hay jo humain achay aur buray ki tameez khudh bata daita hay!

                            Bachoon kay zehan main ISLAM ki taleem ko simple aur asaan andaaz main daalni chayeh, main aksar pics aur movie clips dekhta hoon jinn main bachay chotay say 'Jaa namaaz' per baithay dua kar rahay hain, namaz ada kar rahay hain.... yaa aisay bhi bachay dekhain hain jo 'gangnum style per' aur 'aaja nachlee' ki dhunn per matak rahain hain....

                            yeh sab aap kay apnay AMAL ka nateeja hay, jiss soch aur jaisay amal aap apnay ghar main karain gain, bachay wohii seekhain gain aur agar uss kay baad bachay na-farmaani karain tou hum asaani say keh daitay hain kay 'Bachay badtameez' hain, magar yeh sochnay say aari rehtay hain kay unhain 'TAMEEZ' sikhaanay waalay nay tameez kab sikhayii??

                            Kehnay ko bohat kuch hay, magar iss post ko yahiii mehdood rakhta hoon, umeed hay kay sahiii message hum sab ko mil gaya hoo ga aur yehi dua hay ALLAH SWT humain bachoon ki sahi parwarish karnay ki toufeeq ata farmayay kiyonki yehi bachay hain jo kal ko humari pehchaan banay gain aur koi bhi nahin chahay ga kay uss ki pehchaan KHARAAB ho!!

                            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                            FI amaan ALLAH




                            Originally posted by Aanchal View Post
                            han namaz 7 saal rooza 10 saal say start ho jata hai ...lekan islam main to or buhat kuch hai na wo kis age main bacha seekhye :rose
                            sigpic

                            Comment

                            Working...
                            X