:rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Yaadain
Collapse
X
-
Comment
-
Re: Yaadain
AOA,
Yadain bila shoba insaan ki sathi hai lakin yadoon ko hum khud takhleek karte hain ye hum pe muhasir hai k hum inn ko kis tara banate hain talkh ya haseen iss ko jab insaan bana sakta hai to meri nakis ilm k motabik khatam b kar sakta hai.
Sohail Abbasi.Apna haq ada karo.
Comment
-
Re: Yaadain
yadaian to insaan ki sathi hoti hain ..jab tak insaan zinda rehta hai woh us kay sath sath hi chalti rehti hain ...jab insaan boorha hoo jata hai woh humesha apnay pechalye waqat hi ko yaad karta rehta hai...yadaian kushgawar bhi hoti hain or na kushgawar bhi ....chlian deekhian gay mahreen kis had tak nakushgawar yadoun kay nishan insani zehan say mitanay ki kushish kar saktay hain :)
btw acha topic hai
mujhay to is pay aik gana yaad a gia :lol
batain bhool jati hain
yadain yaad ati hain
yeh yadain kisi dil -o -janam kay
chlaye janay kay bad ati hainاللھم صلی علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
اللھم بارک علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
Comment
-
Re: Yaadain
kash keh kuch aisa waqi ho jaye keh dilkhrash yadon se chutkara mil jae......kiun keh isi qisim ki talkh yadon ki wajha se hafze key chin jane ki shair hazrat ne khuda se iltejah bhi ki hai.....lakin kuch qawanen qudrat ke bhi hote hain ho sakta hai keh buri yadon ki wajhase hum achi yadon ki qader kerte hon..
Comment
-
Re: Yaadain
bohat acha topic sharoo kiya...
yaadain khush gawaar bih yaad rehti hain...aur kuch aisey yaadain jo dard kai saath mili juli hoti hain...wo humara saath issliey nahi choodhti kiuke...unkai yaad rehne se hi shaid hum achi yaadou Ki Qadar kerna sikhte hain :)
Comment
-
Re: Yaadain
baki members bhi is topic pay kuch izhaar-e-khayal karain :rose :)اللھم صلی علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
اللھم بارک علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
Comment
-
Re: Yaadain
:)اللھم صلی علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
اللھم بارک علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
Comment
-
Re: Yaadain
yeh namumkin nahi....
Psychology mein kai aisi tech hain jis ke zariye aap waqai aisa ker sakte hain...
ek shakhs jo apni kisi talkh yaad se picha chodana chahta ho Psychologist use aisa karne mein maddad karte hain aur woh kafi had tak kamyaab bhi ho jate hain...
Comment
-
Re: Yaadain
Originally posted by Aanchalbaki members bhi is topic pay kuch izhaar-e-khayal karain :rose :):thmbup:
Comment
-
Re: Yaadain
Adaab!!!!
Yadeiin...ye zindagi ka haseen sarmaya hain .Saanson ki rawani jab tak hai tab tak ye saath hain hamaray ........hamara Bitaya huaa pal hain jo hamein her gharee ...her sa-at mein yaad rehta hai...hamaray saath rehta ...ab ye hum nay khushgawar guzara ho waqt ya khuda na khaasta na khushgawar ...lekin wo hum se hamaree zaat se related waqt ...hai ..usey hum kesay khud se juda kar saktay hain...
Haan agar ye yaadein khushgawar hon to zindagi ka her pehloo...her gharee ...her sa-at ko roshan kar dety hain is tarha se k un yaadon ki roshni se hamara wajood damakta hai............aure na khushgawar ho to dil ko dukh aur taklif denay ka sabab banti hain .Lekin us dukh taklif se hee hamein bitaey huey achhay palon ki qadar hoti hai.........lekin is ka her giz ye matlab nahin k Sciencedaan ab ye karein k na-khushgawar yaadon ko nikal phenkein ...... k achhi hon ya buree un mein to hamara her pal basa hota hai jo hum guzaar chukay hain to at least main to her giz nahin chahoon gi k merey guzray huay lamhon mein se koi chand lamhay nikal k phenk de..........
ye aakhir science daan hamesha nature k against hee q jatay hain:taubasigpic
Comment
-
Re: Yaadain
Achi yadein insan ki zindagika sermaay hotihai, insan oun chand yadon ke sahare poori zindagi jee sakta hai.
Talkh yadain ek azab hoti hai ........ jeeney nahi deti, insan in se kitna bhi farar kiu na chahyeh yeh sada sath rehti hain, aisi talkh yadon se jaan churaney ke ek tareeqa jo mera azmaya huwa hai, khudh ko bhool jao jis hadth tak mumkin ho, apni zindagi dosronke liyeh waqf kerne ki koshish kero, dosro ki khushi mei apni khushi talash kero to zindagi aasan ho jayeh gi .....
sciencedaan kya hal talash karein gai is ka :lolsigpic
Comment
Comment