Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Think Different - badley ga Pakistan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Think Different - badley ga Pakistan

    Assalamo Allaikum Muhazzab logo :)

    Maaz ney aik post mein kaha hai keh "think different - badley ga Pakistan" - I come across to this question:

    Woh kaun si sochein hain jinko badalney sey Pakistan badal jaey ga?

    Aur kya sirf soch key badalney Pakistan badal jaey ga?

    Kya AAP apni aisi sochon, aisey amlon ko, aisi baaton ko, aisey taur-tareeqey ko badalney key liyey tayyar hain jo Pakistan key badalney ki zamanat detey hon???

    Kya yeh zaroori nahin keh mahol ko badalney key liyey apney aap ko badla jaey? Ya khud ko badalney ki bajaey mahol ko apney taein badal liya jaey??

    Serious entries allowed as I want to use entries in my new book.

    Masood
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Think Different - badley ga Pakistan

    Walikum Salam...

    ap k sab sawalon mein sirf last ka answer karon ge k "we have to change ourselves from very ordinary point to extreme level" ... its not possible to change other ppl xcept only through one way and the way is to adopt positive attitude towards each and every matter of ur life... u know wot i observed,analyze and realize is k don't follow anyone blindly ALLAH gives u the ability to think its up to u to think positive or negative... ALLAH gives u all kind of sense wot u suppose to do is TO USE THEM BY UR OWN .... agar ap apny aik mamolay sy mamoly mamlay mein b positive change lao gy tu ahista ahista aik bara change aa jae ga.. yeh sochna k aik dam sy koi tabdeeli aa jae ge ya koi person pakistan mein inqalab lay aye ga yeh apki bewakufi k siwa kuch nai na he ap halat ko badal sakty hein jab tak k khud ap mein change ai ata....
    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

    Comment

    • #3
      Re: Think Different - badley ga Pakistan

      وعلیکم السلام

      جب تک اقرباپروری کے نتیجے میں قومی وسائل آلودہ ہوتے رہیں گے، پاکستان کو کوئی نہیں بدل سکتا، جب تک ہم خود ہرکام کے لیے بیچ والا راستہ ڈھونڈتے رہیں گے کچھ نہیں ہونے والا۔۔
      Allah

      Comment

      • #4
        Re: Think Different - badley ga Pakistan

        غلط کام کرنے والے کو معلوم ہوتا ہے کہ وہ غلط کر رہا ہے لیکن وہ سوچتا ہے

        میں کر لوں گا تو کیا ہوا یہاں سب کرتے ہیں۔

        جس دن ہم نے اس سوچ سے چھٹکارا حاصل کر لیا اُس کے پانچ سال بعد بدلا ہوا پاکستان لے لیجئے۔

        جتنا وقت ہم دوسروں میں خرابیاں تلاش کرنے میں لگا دیتے ہیں اگر اُسی وقت میں سے دس پندرہ منٹ خود پر صرف کریں تو شائد ہم اس دور کے ولی بن جائیں۔
        :star1:

        Comment

        • #5
          Re: Think Different - badley ga Pakistan

          Originally posted by crystal_thinking View Post
          Walikum Salam...

          ap k sab sawalon mein sirf last ka answer karon ge k "we have to change ourselves from very ordinary point to extreme level" ... its not possible to change other ppl xcept only through one way and the way is to adopt positive attitude towards each and every matter of ur life... u know wot i observed,analyze and realize is k don't follow anyone blindly ALLAH gives u the ability to think its up to u to think positive or negative... ALLAH gives u all kind of sense wot u suppose to do is TO USE THEM BY UR OWN .... agar ap apny aik mamolay sy mamoly mamlay mein b positive change lao gy tu ahista ahista aik bara change aa jae ga.. yeh sochna k aik dam sy koi tabdeeli aa jae ge ya koi person pakistan mein inqalab lay aye ga yeh apki bewakufi k siwa kuch nai na he ap halat ko badal sakty hein jab tak k khud ap mein change ai ata....
          Don't you think keh we ARE extremist??? Ham jis aik soch ko aik baar follow kar lein, usko chhorna hamarey liyey na'mumkin ho jata hai. Just analyze the religious matter or political matters - ham aik baar jis aik soch ko pakar lein usko nahin chhorrtey chahey us mein hamein laakh nuqsaan ho - to extremist to ham hain.

          Don't you realize keh what you are describing is the most difficult thing to do: change your self. Some times it's much easier to let other change you and change your mindset. Zulifqar Ali Bhutto was an classical example of a man who changed peoples mindset. So mujhey is baat sey ififaaq nahin keh aik insaan muashrey ko badal nahin sakta. Problem is we don't have such genious in Pakistan right now.
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Think Different - badley ga Pakistan

            Originally posted by Yaaram View Post
            وعلیکم السلام

            جب تک اقرباپروری کے نتیجے میں قومی وسائل آلودہ ہوتے رہیں گے، پاکستان کو کوئی نہیں بدل سکتا، جب تک ہم خود ہرکام کے لیے بیچ والا راستہ ڈھونڈتے رہیں گے کچھ نہیں ہونے والا۔۔
            chalein aap Hi sey aik sawaal karta hoon:

            Aap key bhaii sey aap ki aankhon key saamney qatal ho geya hai, aap kya karein gey?
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: Think Different - badley ga Pakistan

              Originally posted by S.A.Z View Post
              غلط کام کرنے والے کو معلوم ہوتا ہے کہ وہ غلط کر رہا ہے لیکن وہ سوچتا ہے

              میں کر لوں گا تو کیا ہوا یہاں سب کرتے ہیں۔

              جس دن ہم نے اس سوچ سے چھٹکارا حاصل کر لیا اُس کے پانچ سال بعد بدلا ہوا پاکستان لے لیجئے۔

              جتنا وقت ہم دوسروں میں خرابیاں تلاش کرنے میں لگا دیتے ہیں اگر اُسی وقت میں سے دس پندرہ منٹ خود پر صرف کریں تو شائد ہم اس دور کے ولی بن جائیں۔
              SAZ - agar aap ka aik intihaii aham kaam ruk geya hai, aur jiskey bghair aap aagey nahin barh saktey, to aap kya karein gey? is waqt AAP ki baat ho rahai hai - baqiyon ko chhorriyey.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Think Different - badley ga Pakistan

                Walaikum Assalaam

                As u said (Serious entries allowed as I want to use entries in my new book.)

                ab kiya jawab dun me :)

                Comment

                • #9

                  Originally posted by Mr.Khan View Post

                  Serious jawab do takeh I can get some input.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Think Different - badley ga Pakistan

                    Originally posted by Masood View Post

                    Serious jawab do takeh I can get some input.
                    Bhai meri ye soch hai ke agar hum khud ka istehsaal kar ke khud ko badal len to Pakistan or Pakistan ka haal apne aap badal jaye ga

                    Comment

                    • #11
                      Re: Think Different - badley ga Pakistan

                      Originally posted by Mr.Khan View Post
                      Bhai meri ye soch hai ke agar hum khud ka istehsaal kar ke khud ko badal len to Pakistan or Pakistan ka haal apne aap badal jaye ga
                      Aur apna istehsaal kaisey hoga? woh kaun si shay hai jis sey apna istehsaal kiya jaey?
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Think Different - badley ga Pakistan

                        Originally posted by Masood View Post

                        Aur apna istehsaal kaisey hoga? woh kaun si shay hai jis sey apna istehsaal kiya jaey?
                        bhai is tehsaal karne ke liye hume apne undar chupay har Zardari, Nawaz , Altaaf etc etc politician ko khatam karna ho ga tub ja ke Pakistan badlay ga

                        Comment

                        • #13
                          Re: Think Different - badley ga Pakistan

                          Originally posted by Mr.Khan View Post
                          bhai is tehsaal karne ke liye hume apne undar chupay har Zardari, Nawaz , Altaaf etc etc politician ko khatam karna ho ga tub ja ke Pakistan badlay ga
                          to aap key ander zardari, Shareef aur Altaf hai? Yani agar aap aisey kisi ohdey per hon, to aisa hi karein gey?
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: Think Different - badley ga Pakistan

                            Originally posted by Masood View Post

                            to aap key ander zardari, Shareef aur Altaf hai? Yani agar aap aisey kisi ohdey per hon, to aisa hi karein gey?
                            Mere khayaal is is duniya me koi bhi shakhs perfect ya ideal nahi hota......... har shakhs me koi na koi buraii zaror moujood hoti hai magar uska matlub hargiz ye nahi hai ke woh shakhs corrupt hai

                            Buhat choti si misaal deta hun, Aaj kal universities me chund makhsoos seats donation ke naam per sell ki jati hein

                            Halan ke mai ye samajhta hun ke Educational department me sirf or sirf merit ka kaam hona chahye, magar rishwat ko logon ne Donation ka naam de diya hai, or buhat se muazziz sakhsiyat apne bachon ke luye seats khareed letay hein jub ke woh jo paisay kama kar ye seat khareed rahe hein woh koi haraam kamaii nahi hoti hai woh jayez tareeke se hi kama rahay hote hein or waqt parhne per apne bachion ke liye na-jayez zaror kharch karte hein---------

                            Comment

                            • #15

                              No one is perfect that's for sure, beside Nabi Pak SAW!!

                              Lekin aap ney meri baat ka jawab nahin diya, agar aap ko moqa diya jaey, to kya aap BHI zardari waghera banein gey ya woh kaun si tabdeeli hai change hai jo aap implement kar key apney mahol ko theek karein gey?

                              Working...
                              X