Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khuwab aur Haqeqat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khuwab aur Haqeqat

    Asslam o Alaikum Friends Life mein different types k persons hamein miltay hain jin mein kuch Haqeeqat Pasand hotay hain to kuch ki zindagi khawabon k saharay chalti hy Pehlay to yeh batain k aap Haqeeqat pasand hain ya khawab dekhtay hain??? Phir yeh batain k zindagi se agar khawab nikaal diyay jain to zindagi mein baqi kaya bachta hy?????
    East or West Sidra is Best

  • #2
    Re: Khuwab aur Haqeqat

    وعلیکم سلام
    حقیقت پسند
    کچھ بھی نہیں ، کیونکہ خواب کو حقیقت بنانا میرا شوق ہے
    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

    Comment


    • #3
      Re: Khuwab aur Haqeqat

      Walaikum Assalaam

      Bina maqsad ka insaan bilkul ussi tarah hay jiss tarah 'Kashti bina patwaar', kisi maqsad per zindagi qayim karna bohat zaroori hota hay, yehi haqeqat pasand shaks ki 'tareef' hay kay woh khuwaab dekhta hay aur phir ussay haqeqat ka rang dainay kay liye ussay apnay jeenay ka maqsad samajhta hay aur uss khwab ki tabeer apni mehnat say karta hay bina kisi 'moujazay' ki raah dekhay.... ALLAH 'moujazay' bhi usay dikhaata hay jo log 'struggle' karna jaantay hain................!

      Pas main woh HAQEQATPASAND hoon jo KHUWAB dekhta hay aur usski tabeer ko apna maqsad-e-hayaat banata hay, har khuwab sachay nahin hotay haan unn khuwaab ki tabeer sachi ho sakti hay agar lagan sachi ho, niyat saaf aur imaan kaamil ho, wagar naa kayii kishtiyaan aksar kinaaray per aakar doub jaati hain....!!!!

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      Fi amaan ALLAH
      sigpic

      Comment

      Working...
      X