Asslam o Alaikum Insan Zindagi mein 2 Chehray kabhi nhe bhoolta 1 woh jo Insan k mushkil tareen halaat mein us ka sath day aur dosra woh jo mushkil halaat mein sath chor jaiy.Aap jab apni Past Life ko dekhtay hain to Kaya Aap ko koi aisay chehray nazar aatay hain jo in dono conditions mein se kisi pe pora utertay hon??? Share if there is something to share
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Insan Zindagi mein 2 Chehray
Collapse
X
-
Re: Insan Zindagi mein 2 Chehray
جی بالکل بہت سے دوست بنائے اور ہمیشہ کسی نے مشکل وقت میں ساتھ نہیں دیا، لیکن ہاں پھربھی کچھ نام ایسے ہیں جو ہمیشہ وہ جس قسم کا بھی میرا سہارا بن سکتے وہ بنے اور انہوں نے واقعی میں دوستی نبھائی، آپ نے واقعی ٹھیک کہا کہ کبھی بھی یہ دو لوگ نہیں بھولتے، لیکن ایک بات یادرکھیں، کبھی بھی مشکل وقت میں کسی کا ساتھ نہ تلاشیں، ایسے وقت کو خود فیس کرنا سیکھیں، کیونکہ یہ سب کچھ آپ کے لیے ہی ہےAllah
Comment
-
Re: Insan Zindagi mein 2 Chehray
Walaikum Assalaam
Bohat achi thread post ki hay aap nay, khiraj-e-tehseen qubool karain.
Meri zindagi bohat TAWAZUN main guzar rahi hay (ya aap keh sakti hain kay koi tawazun hi nahin :)) iss ka matlab yeh hay kay meri jaan pehchan bohat achi hay, log mujhay respect daitay hain kiyonki main unn ki izzat karta hoon, zaroorat per unki madad karta hoon, magar main kabhi apnay liye madad kisi say talab nahin karta, ya agar karta hoon tou purely on professional background, (yaani aisi madad jiss say us ka bhi kaam nikal jayay, yaa main return main kabhi usski similar nature ki madad kar sakooo)!
Yehi waja hay kay main meri expectation dosroo say kam hi rehti hay, jiss ki waja say jaan pehchan main 'badmazgi' paida nahin hoti, insaan dil main 'kudurattain' ussi waqt paida karta hay jab woh kisi ko apnay 'zaati affairs' main apna saathi banayay aur uss say woh kuch expect karnay lagay jo shayed uss kay khudh kay control say bhi baahir hoo!!
Jaisa kay aap nay kaha kay, INSAANI fitrat hay kay woh aksar usay yaad rakhta hay jo usskay "BURAY" waqt main uss ka 'SAATH' daita hay aur ussay bhi jo uss kay buray waqt main usska saath 'Nahin' daita.....! Magar insaan yeh sochnay ki koshish kabhi nahin karta kay aakhir uss shakhs ki koi majboori tou ho gi kay woh buray waqt main saath nahin day paaya!!!
Its all about being positive in life, agar expectations kam hoon gii tou TAKLEEF bhi kamm hogii aur aap kay auroon say taaluqaat bhi 'mustahkam' rahain gain, this is a simplest philosophy of life, that I follow aur main abhi tak kamyaab raha hoon, iss ki yeh waja nahin kay mujhay kisi ki madad ki zaroorat nahin paRti.....! Meri tamam zarooriyat ko poora karnay kay liye mera RAB hay jiss kay huzoor faryaad karta hoon, agar meri faryaad poori hojaati hay tou main khush ho jaata hoon kay RAB nay sunn lee aur agar nahin hoti tou aur bhi ziyada khush ho jaata hoon kay iss main meray RAB ki marzi shaamil nahin :)
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Fi amaan ALLAH
PS: Post kuch taweel hogayi... maazrat in advance :)
Last edited by thefire1; 24 July 2012, 08:52.sigpic
Comment
-
Re: Insan Zindagi mein 2 Chehray
Originally posted by Yaaram View Postجی بالکل بہت سے دوست بنائے اور ہمیشہ کسی نے مشکل وقت میں ساتھ نہیں دیا، لیکن ہاں پھربھی کچھ نام ایسے ہیں جو ہمیشہ وہ جس قسم کا بھی میرا سہارا بن سکتے وہ بنے اور انہوں نے واقعی میں دوستی نبھائی، آپ نے واقعی ٹھیک کہا کہ کبھی بھی یہ دو لوگ نہیں بھولتے، لیکن ایک بات یادرکھیں، کبھی بھی مشکل وقت میں کسی کا ساتھ نہ تلاشیں، ایسے وقت کو خود فیس کرنا سیکھیں، کیونکہ یہ سب کچھ آپ کے لیے ہی ہےEast or West Sidra is Best
Comment
-
Re: Insan Zindagi mein 2 Chehray
Originally posted by thefire1 View PostWalaikum AssalaamBohat achi thread post ki hay aap nay, khiraj-e-tehseen qubool karain.Meri zindagi bohat TAWAZUN main guzar rahi hay (ya aap keh sakti hain kay koi tawazun hi nahin :)) iss ka matlab yeh hay kay meri jaan pehchan bohat achi hay, log mujhay respect daitay hain kiyonki main unn ki izzat karta hoon, zaroorat per unki madad karta hoon, magar main kabhi apnay liye madad kisi say talab nahin karta, ya agar karta hoon tou purely on professional background, (yaani aisi madad jiss say us ka bhi kaam nikal jayay, yaa main return main kabhi usski similar nature ki madad kar sakooo)!Yehi waja hay kay main meri expectation dosroo say kam hi rehti hay, jiss ki waja say jaan pehchan main 'badmazgi' paida nahin hoti, insaan dil main 'kudurattain' ussi waqt paida karta hay jab woh kisi ko apnay 'zaati affairs' main apna saathi banayay aur uss say woh kuch expect karnay lagay jo shayed uss kay khudh kay control say bhi baahir hoo!!Jaisa kay aap nay kaha kay, INSAANI fitrat hay kay woh aksar usay yaad rakhta hay jo usskay "BURAY" waqt main uss ka 'SAATH' daita hay aur ussay bhi jo uss kay buray waqt main usska saath 'Nahin' daita.....! Magar insaan yeh sochnay ki koshish kabhi nahin karta kay aakhir uss shakhs ki koi majboori tou ho gi kay woh buray waqt main saath nahin day paaya!!!Its all about being positive in life, agar expectations kam hoon gii tou TAKLEEF bhi kamm hogii aur aap kay auroon say taaluqaat bhi 'mustahkam' rahain gain, this is a simplest philosophy of life, that I follow aur main abhi tak kamyaab raha hoon, iss ki yeh waja nahin kay mujhay kisi ki madad ki zaroorat nahin paRti.....! Meri tamam zarooriyat ko poora karnay kay liye mera RAB hay jiss kay huzoor faryaad karta hoon, agar meri faryaad poori hojaati hay tou main khush ho jaata hoon kay RAB nay sunn lee aur agar nahin hoti tou aur bhi ziyada khush ho jaata hoon kay iss main meray RAB ki marzi shaamil nahin :)May ALLAH SWT light and guide our ways AMEENFi amaan ALLAHPS: Post kuch taweel hogayi... maazrat in advance :)East or West Sidra is Best
Comment
Comment