Assalam-o-alaikum all of u Kabhi kabhi insaan apni kisi aik choti siii achii baat ki wajaah se dil main hamesha kay liye ghar kr jaatay hain Aur kabhi kabhi kisi choti sii hi buri baat yaa buri aadat ki waja se dil se hamaisha kay liye nikal jatay hain aur nazron se gir jaatay hain. Isliye apni choti choti ghaltion aur buri aadaton ko bhi buhat bara jaano aur un ki islaah karnay ki koshish kro jitni jaldi ho sakay.. Hamaray sath rehnay walay log hamarey achay aur buray rawwion ki waja se mutaassir hotay hain Isliye hamain chahiye kay Jin logon ki zindagiaan hamari zindagion se jurri huee hain un ki zindagion main khushion k rang bhar dain na kay un ki raahon main kaantay bichaa dein aur apnay lafzon se un ko takleef detey rahain.. Jo ho sakay toh roz apna jaaiza zaroor lain apnay zameer ko kabhi bhi sonay na dein.
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
achii baat ki wajaah
Collapse
X
-
Re: achii baat ki wajaah
Walaikum Asssalaam
Waqayi insaan uski guftaar say aur uss kay kirdaar say pehchaana jaata hay....
Bilkul sahi kaha aap nay kay humain apnay say juRay logon kay liye mishal-e-raah banna chahyeh naa kay unki raah kay kaantay.
shukriya for sharing such a nice post with us, khush rahyeh.
FI amaan ALLAHsigpic
Comment
-
Re: achii baat ki wajaah
Originally posted by Baniaz Khan View Post
یہ کیا جناب تمھاری بات کے تو دو دو مطلب نکل رہے ہیں*
تم خود ہی پہلے ذرا واضح کردو سب سے اچھا تمھارا رویہ ہے یا سب کے ساتھ اچھا ہے
اچھے کی کوشش اگر سامنے والا برا بھی بن رہا ہے؟
ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں
Comment
Comment