Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Intolerant (Tang Zehni)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Intolerant (Tang Zehni)

    Assalaam-O-alaikum all

    Aaj ess thread ka aghaaz kar raha hoon, shayed main kayii dinoo say iss forum per chalnay waali KASHEEDGI say bohat INSPIRE ho chukka hoon…….!

    Khair aik sawaal tha, socha kiyon naa aap sab say bhi iss ka jawaab talab karoon shayed mujhay dili sukoon muyassir ho!

    Kia humari qoum main aur humaray apnay logo main INTOLERANCE taizi say pehlti jaa rahi hay, aur hum choti choti baatoon per aik dosray ko qatal karnay say bhi duraigh nahin kartay, yaa humari taleem main kuch kami reh gayi, ya humain bhakaya jaa raha hay? Agar iss topic per mazeed behas ki jayay tou iss kay manfi asraat humaray maashray per kia paR rahay hain uss ka bhi zikar karain aur iss ko apnaanay say humaray kitnay maamlat sulajhtay hain unn per bhi roshni daalyey.

    Main aap kay comments main aap kay saath saath rahoo ga.
    Shukriya
    Fi amaan ALLAH


    sigpic

  • #2
    Re: Intolerant (Tang Zehni)

    میرا اپنا زاتی مشاہدہ زرا سیاسی رنگ لئے ہوئے ہوگا شائد آپ دوست اُس سے متفق نہ ہوں لیکن میں اپنی رائے کا اظہار کئے دیتا ہوں۔
    جس مملکت میں اپنی پیدائش کے صرف 11سال بعد آمریت مسلط ہوجائے
    جس مملکت میں مادر ملت ایک آمر کے مقابلے میں ہروا دی جائیں
    جس مملکت میں آمر کا جنریل یہ کہتے ہوئے کہ 'ہمیں لوگ نہیں زمین عزیز ہے 'اپنا بازو کٹوا دے
    جس مملکت میں ایک منتخب وزیر اعظم کو پھانسی چڑھا دیا جائے
    جس مملکت میں بیس بیس ماہ کی لولی لنگڑی حکومتیں اسٹبلشمنٹ اور ایجنسیوں کے ہاتھوں کا کھلونا رہیں
    جس مملکت میں ایک منتخب وزیر اعظم کو ہتکھڑیاں لگا کر پرائم منسٹر ہاوس سے نکال باہر کیا جائے
    جس مملکت میں ایک عوامی لیڈر کو سر عام گولی مار دی جائے
    اُس مملکت کے عوام شعوری و لاشعوری طور پر عدم تحفظ کا شکار ہوجاتے ہیں
    اور پھر وہ یہی مناسب سمجھتے ہیں کہ
    جس کی لاٹھی اُس کی بھینس کا فارمولا ہی زندگی کی اصل کامیابی ہے

    پیچھے زکر کئے گئے تمام عوامل وہ سلو پوائیزن ہے جو ہماری اس وقت کی نسل کی رگ رگ میں سرایت کر چکا ہے
    اس نسل نے یہی دیکھا یہی پڑھا اور یہی حاصل کیا کہ۔۔۔۔۔جائز ناجائز کچھ نہین صرف اپنا مقصد حاصل کرنا زندگی ہے چاہے اس کے لئے اپنوں کی لاشوں پر کھڑا ہونا پڑے۔
    :star1:

    Comment


    • #3
      Re: Intolerant (Tang Zehni)

      سوری مجھے تھوڑی دیر کے لئے جانا پڑا اس لئے بات مکمل نہیں کر سکا تھا
      تو ۔۔۔۔اوپر بیان کی گئی باتوں کی وجہ سے ہمارے معاشرے میں ایسے افراد میں اضافہ ہوتا جا رہا ہے جو دوسروں پر اعتماد کرنے کو تیار نہیں کہ اُن کے نزدیک دوسرا فرد اپنے مقصد میں کامیابی کے لئے کہیں اُسے استعمال نہ کر لے یا وہ یہ سوچتا ہے کہ کوئی بھی دوسرا فرد صرف دکھاوے کی محبت کر رہا ہے اپنے مطلب کی بر آوری کے لئے۔
      :star1:

      Comment


      • #4
        Re: Intolerant (Tang Zehni)

        Assalaam-O-alaikum

        S.A.Z. bhai, aap ki baat say kisi hadh tak itifaaq rakhta hoon, aur aap kay comments per meri apni rayii yeh hay:

        1. Yaqeenan humari qoum inn baatoon ka bhi asar lay rahi hay, laikin main uss BASIC taleem or tarbiyat ki baat kar raha hoon, jo aik muslamaan honay ki hesiyat say humari awaleen tarjeeh honi chayeh thi.
        a. Humaray mazhab nay tou humain nahin sikhaaya kay hum kisi ko iss bunyaad per qatal kar dain kiyonki woh kisi aur FIRQAY say ta'aluq rakhta hay?
        b. Humaray mazhab nay tou humain yeh nahin kaha kay riyasat, siyasat aur zameen say mohabbat ISLAM ka hissa nahin hay, balkay humain tou yeh sikhaaya gaya hay, balkay tareekh bhi iss ki gawaah hay kay apnay HUQOOQ ki husooli kay liye JAHAD ki jayay aur jo apnay HAQ ki husooli kay liye jahad kartay hain ALLAH SWT unki nigahbaani kartay hain!
        c. Jinn siyaasi iqtidaar aur jiss establishment kay asar-rusookh ki baatain aap kar rahay hain, woh bhi hum main say hi hain, koi asmaani makhlooq nahin..... tou kia aaj awaam ka IMAAN itna kamzoor hogaya hay kay woh inn establishment ki baaton ka asar apnay dil-o-dimaagh per lay kar baithay hain aur apni basic taleem ko bhool chukay hain.
        d. Jab Pakistan azad hua tou uss laRayii main MUSLAMAAN bhi thay, HINDU bhi thay, Qadyaani bhi thay, Shia bhi thay, sunni bhi thay, bohri bhi thay....... inn sab nay tou humain mil jul kar aik maqsad (yaani PAKISTAN ki husooli) ko haasil karnay ki taleem dii, tab tou humari qoum kisi kisam kay ta'asub ki shikaar nahin thi!
        e. Azaadi uss ko dee jaati hay jo azaadi kay qaabil ho, jo qoum INSAAF aur apnay HUQOQ ki adayegi say katraayay woh qoum tareekh kay panno per "SHIKASTA HAAL" aur "ZILLAT" ki bayRiyaan pehnay nazar aati hay!

        2. Main aaj bhi iss baat per qayil hoon kay humari TALEEM, humari guidance main kami hay aur humain chayeh kay hum young generation main iss amar ko zinda karain kay, ISLAM aik PEACUFUL mazhab hay aur humain aapas ki ham-ahangi aur bhai-chaaray ki taleem daita hay.

        3. Just for your information, aik idependant study "how to overcome corruption in Pakistan" was conducted by a Chinese company some years back.... aur uss report kay mutaabik "agar Pakistan main corruption khatam karni hay tou 12 saal ki umar tak ki tamam generation ko khatam kar diya jaayay".... Aap khudh hi andaaza lagayain kay hum kitni CORRUPT qoum hain?!

        Main itna kahoon ga kay "lets talk, lets clear, and lets learn to progress and not to degrade" kiyonki jiss mazhab ka hum hissa hay, huamin uss ki pasbaani karni hay aur uss ka muqaam ouncha rakhna hay.

        FI amaan ALLAH
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Intolerant (Tang Zehni)

          وعلیکم سلام

          تنگ نظری ایک زندہ انسان کی موت ہے
          جس کو ساری انسانیت کا امام بننا ہو، اس کو ہر لحاظ سے اپنے اندر وسعت پیدا کرنا ہوگی اور ایک دنیا کو اپنے اندر سمونا ہوگا اور ساتھ لے کر چلنا ہوگا۔ اسے اپنے دل کے اندر وسعت پیدا کرنا ہوگی، وہ وسعت کہ جس میں سارے لوگ سما جائیں، دماغ کی وسعت کہ جو سارے افکار کا مقابلہ کر سکے، عمل کی وسعت کہ جو سارے انسانوں کو اپنے اندر سمیٹ سکے۔جس کا دل تنگ ہو، جس کی نظر تنگ ہو، جس کا دماغ محدود ہو، جو اپنے ناک کے آگے نہ دیکھ سکتا ہو، وہ ساری دنیا کا امام نہیں بن سکتا۔
          جو اُس جنت کا طلب گار ہو جس کی وسعت میں زمین و آسمان سما جائیں، نہ اس کا دل تنگ ہو سکتا ہے نہ نگاہ، نہ اس کا دماغ تنگ ہو سکتا ہے نہ فکر سطحی اور نہ اس کی نظر محدود ہو سکتی ہے۔
          امام یعنی جس کے پیچھے سب چلیں اس کو اپنا استاد اپنا رہبر گردانے

          ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
          سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

          Comment


          • #6
            Re: Intolerant (Tang Zehni)

            Originally posted by thefire1 View Post
            Assalaam-O-alaikum

            S.A.Z. bhai, aap ki baat say kisi hadh tak itifaaq rakhta hoon, aur aap kay comments per meri apni rayii yeh hay:

            1. Yaqeenan humari qoum inn baatoon ka bhi asar lay rahi hay, laikin main uss BASIC taleem or tarbiyat ki baat kar raha hoon, jo aik muslamaan honay ki hesiyat say humari awaleen tarjeeh honi chayeh thi.
            a. Humaray mazhab nay tou humain nahin sikhaaya kay hum kisi ko iss bunyaad per qatal kar dain kiyonki woh kisi aur FIRQAY say ta'aluq rakhta hay?
            b. Humaray mazhab nay tou humain yeh nahin kaha kay riyasat, siyasat aur zameen say mohabbat ISLAM ka hissa nahin hay, balkay humain tou yeh sikhaaya gaya hay, balkay tareekh bhi iss ki gawaah hay kay apnay HUQOOQ ki husooli kay liye JAHAD ki jayay aur jo apnay HAQ ki husooli kay liye jahad kartay hain ALLAH SWT unki nigahbaani kartay hain!
            c. Jinn siyaasi iqtidaar aur jiss establishment kay asar-rusookh ki baatain aap kar rahay hain, woh bhi hum main say hi hain, koi asmaani makhlooq nahin..... tou kia aaj awaam ka IMAAN itna kamzoor hogaya hay kay woh inn establishment ki baaton ka asar apnay dil-o-dimaagh per lay kar baithay hain aur apni basic taleem ko bhool chukay hain.
            d. Jab Pakistan azad hua tou uss laRayii main MUSLAMAAN bhi thay, HINDU bhi thay, Qadyaani bhi thay, Shia bhi thay, sunni bhi thay, bohri bhi thay....... inn sab nay tou humain mil jul kar aik maqsad (yaani PAKISTAN ki husooli) ko haasil karnay ki taleem dii, tab tou humari qoum kisi kisam kay ta'asub ki shikaar nahin thi!
            e. Azaadi uss ko dee jaati hay jo azaadi kay qaabil ho, jo qoum INSAAF aur apnay HUQOQ ki adayegi say katraayay woh qoum tareekh kay panno per "SHIKASTA HAAL" aur "ZILLAT" ki bayRiyaan pehnay nazar aati hay!

            2. Main aaj bhi iss baat per qayil hoon kay humari TALEEM, humari guidance main kami hay aur humain chayeh kay hum young generation main iss amar ko zinda karain kay, ISLAM aik PEACUFUL mazhab hay aur humain aapas ki ham-ahangi aur bhai-chaaray ki taleem daita hay.

            3. Just for your information, aik idependant study "how to overcome corruption in Pakistan" was conducted by a Chinese company some years back.... aur uss report kay mutaabik "agar Pakistan main corruption khatam karni hay tou 12 saal ki umar tak ki tamam generation ko khatam kar diya jaayay".... Aap khudh hi andaaza lagayain kay hum kitni CORRUPT qoum hain?!

            Main itna kahoon ga kay "lets talk, lets clear, and lets learn to progress and not to degrade" kiyonki jiss mazhab ka hum hissa hay, huamin uss ki pasbaani karni hay aur uss ka muqaam ouncha rakhna hay.

            FI amaan ALLAH
            دی فائر بھائی کیا آپ اردو لکھ سکتے ہو۔۔۔۔۔۔۔
            وہ کیا ہے ناں اتنی طویل طویل رومن سے مجھے الرجی ہے :(۔
            :star1:

            Comment


            • #7
              Re: Intolerant (Tang Zehni)

              Yeh khidmat aap ko humari karni paRay gii :) warna mujhay Saraah say guzarish karni paRay giii :)

              Originally posted by S.A.Z View Post


              دی فائر بھائی کیا آپ اردو لکھ سکتے ہو۔۔۔۔۔۔۔
              وہ کیا ہے ناں اتنی طویل طویل رومن سے مجھے الرجی ہے :(۔
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Intolerant (Tang Zehni)

                Originally posted by thefire1 View Post
                Yeh khidmat aap ko humari karni paRay gii :) warna mujhay Saraah say guzarish karni paRay giii :)
                :lol
                ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                Comment


                • #9
                  Re: Intolerant (Tang Zehni)

                  واعلیکم السلام
                  جواب دونگا، مگر ابھی کچھ بخار ہے، لکھنے کو دل نہیں چاہ رہا۔
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Intolerant (Tang Zehni)

                    Originally posted by Masood View Post
                    واعلیکم السلام
                    جواب دونگا، مگر ابھی کچھ بخار ہے، لکھنے کو دل نہیں چاہ رہا۔
                    Aap kay jawaab ka intizaar rahay ga Masood Bhai, dua hay kay aap jald sehat yaab ho jayain, may you get well soon :)
                    sigpic

                    Comment

                    Working...
                    X