Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

achi education + acha institue

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • achi education + acha institue

    assalamalikum

    aik lady nay apnay bacho ko aik achi education di hai ..achi education yani practicaly dunia main kuch acha kar sakian ..zindagi main kuch agay barh sakian ......aik school main admission karwaya bachoo ka ......aik or school nazar aya jo us say zaida expensive or ameero k bachay vohan parhty they ...vo vohan admission dilna chahati hai ....to baqool kuch logo k kisi institution say koi faraq nahi parta bachay talented houn to khudi agay barh jatay hian ..expensive say expensive schools main parhnay ki zarorat nahi hoti aamschool main admission bhi lia jaye to bachay talent houn to khudi agay barh jatay hian .....khair jitnay moun utni batian ...

    aap batye k aik bachay ko zindagi main agay barhnay k leye aik acha school/college/university kitna sath deyta hai ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: achi education + acha institue

    Wa Alaikum Aslam,

    Basically 3 cheezein zaroori hoti hein, aik education aur doosra exposure aur teesra shaoor. Ghalti hum yeh kerte hein ke three dimensions mein se hum buchay ki aik dimension he polish kerne mein lagay hotay hein jub ke 2 dimensions dull reh jati hein. Hum education per tawaju dete hein lekin buchay ke exposure ke liye kuch bhi kaam nahi kertay aur na he isay itna shaoor paida kerte hein ke wo achay aur buray ke darmeyaan khud se he aik line draw ker sakay. Exposure apne aap mein aik different style ki education hoti he jo bachay mein aitmaad bharti he aur kirdaar sazi kerti he. Shaoor se bacha jahan apna haq pehchanay ga wahan doosron kay hak ka bhi khyaal rakhay ga. Wo na to kisi se daray ga aur na kisi se badtameezi karay ga. Baki mere nazar mein average student bhi ager exposure aur shaoor jese tools timely pe hasil ker le ga to wo aik effective life guzaaar sakay ga. Wo pani ki tarah apna rasta khud banana seekh le ga.

    Baki mere khyaal mein aik achay school mein ager education barabar ki bhi milay lekin exposure zaroor acha milta he. Jese achay school mein her bachay ki stage presence ko yakeeni banaya jata he aur is tarah her bacha aitmaad hasil ker jata he. Aisay bachay technology se jaldi awareness hasil kerte hein kyoon ke un bachoon ke colleagues ameer gharaano se hotay hein jo bachoon ko computers, games aur related stuff provide kerte hein. Faraq to perta he achay aur avg. school se. Lekin ager kisi ke halaat ijazat nahi dete to wo bachay ko normal school mein perha ker us ki khud kirdaar sazi ker sakta he, usay ghar mein facilities provide ker ke usay update ker sakta he. Kabahat to is mein bhi nahi he.
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: achi education + acha institue

      hum wese acha school uss ko kahtay hain jo expensive ho barri building ho mehngay salary walay teachers hoon oxford ka syllabus parhatay hoon... ameer logon kay bachay parhtay hoon... bachay apni car mein atay hoon aur jatay hoon.... aisay mehngay schools mein school van nahi hoti..... :lol yeh hee ma'ayaar bana hai achay school ka hamaray mahol mein.... :lol
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: achi education + acha institue

        Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
        Wa Alaikum Aslam,

        Basically 3 cheezein zaroori hoti hein, aik education aur doosra exposure aur teesra shaoor. Ghalti hum yeh kerte hein ke three dimensions mein se hum buchay ki aik dimension he polish kerne mein lagay hotay hein jub ke 2 dimensions dull reh jati hein. Hum education per tawaju dete hein lekin buchay ke exposure ke liye kuch bhi kaam nahi kertay aur na he isay itna shaoor paida kerte hein ke wo achay aur buray ke darmeyaan khud se he aik line draw ker sakay. Exposure apne aap mein aik different style ki education hoti he jo bachay mein aitmaad bharti he aur kirdaar sazi kerti he. Shaoor se bacha jahan apna haq pehchanay ga wahan doosron kay hak ka bhi khyaal rakhay ga. Wo na to kisi se daray ga aur na kisi se badtameezi karay ga. Baki mere nazar mein average student bhi ager exposure aur shaoor jese tools timely pe hasil ker le ga to wo aik effective life guzaaar sakay ga. Wo pani ki tarah apna rasta khud banana seekh le ga.

        Baki mere khyaal mein aik achay school mein ager education barabar ki bhi milay lekin exposure zaroor acha milta he. Jese achay school mein her bachay ki stage presence ko yakeeni banaya jata he aur is tarah her bacha aitmaad hasil ker jata he. Aisay bachay technology se jaldi awareness hasil kerte hein kyoon ke un bachoon ke colleagues ameer gharaano se hotay hein jo bachoon ko computers, games aur related stuff provide kerte hein. Faraq to perta he achay aur avg. school se. Lekin ager kisi ke halaat ijazat nahi dete to wo bachay ko normal school mein perha ker us ki khud kirdaar sazi ker sakta he, usay ghar mein facilities provide ker ke usay update ker sakta he. Kabahat to is mein bhi nahi he.
        aap nay jis tarah comments diye hain iss tarah kay comments agar aap kisi beacon school kay teacher se bhi poochhain ussay maloom nahi hoga..... :lol muje aap kay comments wakai pasand aae... her tarah se aap nay comments diye ab hum kia rai dain.....
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: achi education + acha institue

          Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
          Wa Alaikum Aslam,

          Baki mere khyaal mein aik achay school mein ager education barabar ki bhi milay lekin exposure zaroor acha milta he. Jese achay school mein her bachay ki stage presence ko yakeeni banaya jata he aur is tarah her bacha aitmaad hasil ker jata he. Aisay bachay technology se jaldi awareness hasil kerte hein kyoon ke un bachoon ke colleagues ameer gharaano se hotay hein jo bachoon ko computers, games aur related stuff provide kerte hein. Faraq to perta he achay aur avg. school se. Lekin ager kisi ke halaat ijazat nahi dete to wo bachay ko normal school mein perha ker us ki khud kirdaar sazi ker sakta he, usay ghar mein facilities provide ker ke usay update ker sakta he. Kabahat to is mein bhi nahi he.
          Jo offord kar saktay hian in ki baat ho rahi hai ..: )
          jis lady ki main nay bat ki ..us k bachy british school main hain ..or aik british ki fees 2000 hai monthly to dosray ki 4000 ..or 4000 wala aisa hai jis main ameero k bachay parhtay hian ..famous personalities k bachy bhi .to us lady ko us k jannay walye kehtay hian hai to yeh bhi british jahan par rehay hian to khakhwa main double fees pay kar k us expensive walye british main bheejnay ka kia fadia hai : d
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment

          • #6
            Re: achi education + acha institue

            @aanchal
            Yeh unki affordability pe depend krta. 2000 aur 4000 k sath currency b mention kro. I assume it to be dirhams.
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: achi education + acha institue

              Originally posted by azeem-ahmed View Post
              aap nay jis tarah comments diye hain iss tarah kay comments agar aap kisi beacon school kay teacher se bhi poochhain ussay maloom nahi hoga..... :lol muje aap kay comments wakai pasand aae... her tarah se aap nay comments diye ab hum kia rai dain.....
              Yaar beacon house k teachers konsa beacon house k perhay hotay hein ;)
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: achi education + acha institue

                Originally posted by Mr. Sialkoty View Post

                Yaar beacon house k teachers konsa beacon house k perhay hotay hein ;)
                right

                @ topic
                kehtay hain jis ko kahin achi job nahin milti woh teacher ban jata hai ... yeh aik aaam soch develop kar gai hai ... inhi halaat ko dekhtay hoye .... keh teachers khud ksi qabil nahin tu studants ko kia sikhaien gay ...
                shaoor ki tu baat hi alag hai naaa...bus syllabus complete ho jaye ksi tarah ... is say qata nazar keh ksi bachay ko waqai ilm hasil ho raha hai ya nahin ......buht say nami girami school.... naam baray darshan chotay ki amli tafseer hain.....buht kam aisay schools hain jahan waqai bachoon ko ilm dainay ki koshish ki jati hai unhain zindgi mein aik acha aur kamyaab insaan bananay ki koshish ki jati hai ... yahan Armi public school hai ....is mein agar aik bachay ki report aik test mein satisfactory na ho tu us bachay per individually concentrate kar kay teachers aur principal usay is qabil banatay hain keh kam say kam top ten mein us ka result aanay lagay...yeh kaam ghar per bhi kia ja sakta hai ...

                seminars honay say bhi bachay mein confidence aata hai .... yeh mujhay wahid farq nazar aata hai baray aur chotay school s mein....
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment

                • #9
                  Re: achi education + acha institue

                  Originally posted by *Rida* View Post

                  Rida sister, mere nazdeek to ub ilm denay se ziada ilm kese hasil kerna chahiye is ka concept dena ziada zaroori he. Aur isi concept ko baray school catch ker k paisa bana rahay hein. Hum jis school mein perhay thay tub koi bhi graduation ya master degree le ker hum per musallat ho jata tha, lekin ub aisa nahi he. Mera choota bhai apna school run ker raha he, aur us ne yeh line apni merzi se chuni. C.A. inter, MBA kerne ke bad us ne lahore se teacher training courses kiye aur phir teachers ko training dene k liye khud workshops conduct kein. Ub jo school wo chala raha he us ki wazah katta aur style un hamaray walay schools se bilkul different he. Yahan KG ke bachay ko perhanay k liye bhi teachers ko pehlay 3 se 6 month ki training de jati he tub ja ke wo KG k school ko touch kerta he. Professionalism bohat aa gaya he education ke maidan mein. Ub taleem bhi achi he aur feesein bhi bhaari :p
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: achi education + acha institue

                    Originally posted by Mr. Sialkoty View Post

                    Yaar beacon house k teachers konsa beacon house k perhay hotay hein ;)
                    me ki baat aap nahi samjhian shayad : d

                    faraz karian 2 schools hain ...donoo british ....aik ki fees 2000 aik ki 4000dh...aik lady nay apnay bachoo ko vohan admission dilana hai kis main dilwaye? expensive walye main ameeroo k bachay zaida hain ..dosray main normal khandanoo k bachay ..gareeb nai aam banday ..
                    to aap kis ko prefer karoo gay ?

                    me say kisi nay yeh sawal poucha hai koi acha sa jawaab daian aap loog taky me usay bata sakoun :p
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: achi education + acha institue

                      me nay to usay kaha k 4000 walye main admission dila do (wo offord kar saktay hian )..
                      ub dekhoo education sirf degree to nahi hoti na ..ub priness kate nay prince william k university main sath parha to us k princess banny ky chances zaida banye na :lol:

                      • #12
                        Re: achi education + acha institue

                        sawal yeh bhi tha k jo usay kaha jata hai k us k bachay talented hovey to khudi agay barh jaian gay itni fees pay kar k expensive school main dalnay ki kia zarorat hai ..

                        n yeh bhi k us ka irada bhi beti ko job karwanay ka nahi hai ...to wo yeh bhi suchti hai k jub job nai karwani to itni expensive fees day k zaya ho ge money etc etc ...

                        • #13
                          Re: achi education + acha institue

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          me ki baat aap nahi samjhian shayad : d

                          faraz karian 2 schools hain ...donoo british ....aik ki fees 2000 aik ki 4000dh...aik lady nay apnay bachoo ko vohan admission dilana hai kis main dilwaye? expensive walye main ameeroo k bachay zaida hain ..dosray main normal khandanoo k bachay ..gareeb nai aam banday ..
                          to aap kis ko prefer karoo gay ?

                          me say kisi nay yeh sawal poucha hai koi acha sa jawaab daian aap loog taky me usay bata sakoun :p
                          yahan per phir baat aa jati he affordability. Dekho ager mein itna kama raha hoon ke 2000 aur 4000 ka faraq koi khas farak nahi dikhta aur dono schools ke standard mein bhi wazeh faraq he to mein 4000 walay school ko preference doon ga.

                          TUm ne phir nahi bataya ke currency konsi he. Ub tumhein aik lagani parni he
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: achi education + acha institue

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            me nay to usay kaha k 4000 walye main admission dila do (wo offord kar saktay hian )..
                            ub dekhoo education sirf degree to nahi hoti na ..ub priness kate nay prince william k university main sath parha to us k princess banny ky chances zaida banye na :lol:
                            khair itna bhi irrational nahi hona chahiye :lol

                            faraq perta he, baat aap ki pocket ki he. aasani se afford ker saktay hein to 4000 se ziada walay aur us se achay walay school mein kyoon nahi. aur ager wasail kum hein to bei normal raho, apni chadar dekh ke paoon phelaoo. Laalu persad konsa british schools mein perha hua he jo Indian railway ko itna ouper le gaya :lol
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: achi education + acha institue

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              sawal yeh bhi tha k jo usay kaha jata hai k us k bachay talented hovey to khudi agay barh jaian gay itni fees pay kar k expensive school main dalnay ki kia zarorat hai ..

                              n yeh bhi k us ka irada bhi beti ko job karwanay ka nahi hai ...to wo yeh bhi suchti hai k jub job nai karwani to itni expensive fees day k zaya ho ge money etc etc ...
                              Yeh parents ki aik biased approach he. Mein isay pasand nahi kerta. Bachay aur bachiyoon ko yaksan mowakay dene chahiyein perhai k liye. Bachay ager apne hein to difference kyoon?
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X