Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

    Aslam-o-Alaikum dear fellows!

    Is thread ko perhiye aur apni raye ka izhaar keejiye.

    2.96Tn ka budget Fiscal year 2012-2013 ke liye pesh ker dia gaya he. Aap mein se akser loogon ne budget ka cheeda cheeda jaiza news paper, TV ya internet se le lia hoga. Jo loog thoora bohat budget system ko understand kerte hein unhein bakhoobi andaza ho gaya ho ga ke mehz lafzon ka hairphair ke saath Budget ke naam per awami zalalat nama likha gia gaya he.

    Pakistan jo ke pehlay se external debt ki mad mein BN Dollars ki fifty maar chuka he aur ub jald he 60BN Dollar ki figure ko choota hua mehsoos hota he. Kerzay ki kistein chukanay k liye Pakistan is saal Rs. 926BN adaa karay ga, jis mein sood aur asal zar dono shamil hon ge. Jub ke 4.7% fiscal deficit ko compensate kerne k liye pata nahi kitna kerz rawan saal le ga. Aur aik na rukhnay wala sood dar sood ka dheemak Pakistan ki bunyaadon ko khookhla kerta rahay ga.

    Pakistan ko aaj ke door mein sub se bara masla Energy sector mein he. Energy ko deal kerne ke liye sirf 183BN rakhay gaye hein. Jo ke mehaz 2BN Dollars se bhi kum bantay hein. Jub ke energy sector ka circular debt already lagbag 300BN ya is se ziada he.

    Ub aatay hein Budget ke sub se baray mazaak ki taraf. Pakistan mein Education aur Health sector k liye sirf aur sirf Rs. 55.6BN rakhay gaye hein. Yani Rs. 47.8BN Education k liye jub ke Health k liye sirf aur sirf Rs. 7.8BN rakhay gaye hein. Jubke BENAZIR INCOME SUPPORT program k liye Health + Education se bhi kahin ziada Rs. 70BN rakhay gaye hein.

    Ager yahi 70BN dollar sirf education aur Health mein laga diye jatay to na sirf is bebus awam ko health aur taleem ke maidaan mein beshumaar faida milta wahan per la'tadaaad jobs bhi creat hotein aur yeh moaashi taraki ka bhi sabab banta. Lekin beek maang ker khanay wali koom k liye is baar bhi beek Health aur Education se ziada rakhi gai he. Jo koom aur jis koom ka nazaam he beek aur udhaar se chalta he wo koom kyonker taraki karay gi :mm:

    Aap loog kia kehtay hein ke jo Pakistan ke halaat hein us mein Benazir income support program pe 70BN allocate kerna justifying he? Ager yeh paisa beek ki mud mein dene ki bajaye jobs and opportunities create kerne k liye kisi aur sector mein lagaya jata to ziada sahi nahi tha :donno:

    *Is thread ko abi GS mein rehne dia jaye. Jub yahan pe discuss ho jaye tub isay behas-o-mobahisa mein transfer ker dia jaye.
    :thmbup:

  • #2
    Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

    aap nay meray pasand ka thread lagaya hai... mein iss mein apna point of view doon ga... lakin thora baad mein.....
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

      عامر آپ تو بہت اچھے انلائزر ہیں اور گہری نگاہ رکھتے ہیں اصل مسئلہ یہ ہے کہ ہر حکومت اپنا مفاد دیکھتی ہے یہ بات تو کنفرم تعلیم اور صحت پرائیوٹ سیکٹر نے کافی کنٹرول کررکھا ہے
      اس لے حکومت ان سے کافی چشم پوشی کرتی ہے مرتا کیا نا کرتا جب جان پہ بنی گئی خود پرائیوٹ اسپتال سے علاج کرالیں گئے یہی حال تعلیم کا غریب کو پڑھنے کا شوق نہیں مڈل کلاسں
      اور امیر پرائیوٹ سکولوں کالجوں سے پڑھائے گا رہی بات یونیورسٹیوں اور میڈیکل کالج وہاں بھی میرٹ کے ساتھ فنڈ چلتے ہیں

      قرض یہ اتر سکتا ہے ایک سال میں آج سیندک اور تھر کول پروجیکٹ پہ جی جان لگا دی جائے

      باقی بجلی تیل مافیا اور جنریٹر مافیا پوری نہیں ہونے دے رہی جس میں عرب اور امریکن کمپنیاں انولو ہیں
      ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
      سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

      Comment

      • #4

        Originally posted by Sub-Zero View Post

        Sandak main tamba aur sonay ke beshumar zahair hein wahan pr ajk maafia b in pr kabiz he jo 500 dollar main australian company ko mining ka license issue krta he aur sodaybazi main 25 aur 75 ki ratio set ki jati he yani 75 percent metal ki haqdar australian company hogi. KB (kickback) system to her sodaybazi majn promote ho raha he.

        5 billion dollar se kalabagh dam aur 5 billion dollar se he thar coal ki minning aur power generation ka mansooba paya takmeel tak pohanch jata he. 10 billion dollar se ziada to pakistan karzay ki kistein de ga. Kia bebasi he is mulk ki k ppp ki govt ne aa k ub tak 30 billion dollar k karzay le lihe lekkn abi tak koi b mansooba aik inch tak nahi sarka. Aur gensrator mafia beaurocracy main he na k american arab country main. Jo aap apne dushman ho koi un se dushmani ku karay.
        :thmbup:

        Comment

        • #5

          Tharcoal ke estimated zahair 185 billion ton ya is se b ziada hein. International market main coal ki price around $100 per ton he. Is hisaab se pakistan 18500 billion dollar kay koilay ka malik he. Pakistan ki misaal sonay k dhair per bethay huay fakeer ki si he. Khud andaza lagaein aik itna ameer mulk aur wo b bheekmanga. Waja badniyat hukmaran
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

            @azeem

            Waiting....
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

              budget se pehlay media aur kuch halqay va ahbaab yeh kah rahe thay kay ppp yeh budget aisa day gi jo sub kay chhakkay chhot jain gi... iss election budget kah rahe thay... matlab ppp aisa budget pesh karay gi jo next election jeetnay mein uss ko madad milay gi... kuch tu anchor person yeh kah rahay thay kay ppp aisa budget pesh karey gi jo tax bahut kam kar day gi sarkaari mulazmeen ko bahut mar'aat dey gi aur karobaari logon ko khulli chutti day day gi jis se next jis ki government banay gi uss yeh sub problem hogi kay kay paisa hoga nahi aur khazana khaali hoga... governemt karnay mein ussay problems hoongi... :lol

              lakin ppp nay election jeetnay walay style se budget pesh nahi kiya... iss mein karobaari log bhi naraz hain, mulazmeen bhi, kissan bhi aur aam mehnat mazdoori karnay walay bhi.....

              dosra eik pehlu muje jo acha laga vo tha income tax kay slab kam kiye hain... hamaray haan tax tu sirf mulazmeen hee detay hain baaki log iss net mein kam atay hain... mein sirf Rs.19000/= rupay sirf per month tax deta hoon... itna yaar tax eik banda vo mulazam day aur eik karobaari banda jo millions per month kamata hai vo sirf chand hazaar per annum day tu kitnay dukh ki baat hai...

              aap ki baat se mein agreed hoon kay health, education mein paisa bahut kam rakha gaya hai... wese yeh pehlay bhi aisa hota raha hai aur iss martaba bhi kuch aisa hua hai... mein benazir income support program ho yaa punjab mein laptop wali taqseem scheme ho dono kay sakht khilaaf hoon... meri job aisi hai jo education, health aur bisp kay saath milkar kaam karna hota hai... aap beleive karein health aur education mein paisa kam budget rakha jata hai aur yeh thora paisa bhi kam hee sahi jaga per use hota hai warna sub paisa beauracracy ki corruption mein chala jata hai... schools mein na sahi dhang se building hoti hai na safai, na laborataries, na libraries.. health ka yeh haal hota hay eik dispenser sey laykar eik ministerr tak medicine ki corruption mein mullawas hotay hain... health centre per medicine milti nahi aur vohi medicine aap ko medical store parri milain gi... government ki medicine jo free mein milni hoti hain vo medical store per yeh health walay bech detay hain.... agar yeh budget jo health aur education ko milti hai vo bhi agr proper jaga use ho tu phir bhi adhay masaail hamaray hal hojain.... baaki dost BISP ki baat hai yeh tu khanay kay bahanay hain aur jaib garam karnay kay wali raqam hai jis se issi paisay se next election larri jai gi.... :lol ghareebo ko kia milta hai yeh aap mujh se poochain... :lol

              dost yeh budget na awami tha, na sanati tha, na karobaari tha, na kissan dost tha balkay yeh bhi ussi tarah kay fazool tha jis tarah pehlay pesh hotay rahe thay....
              Last edited by azeem-ahmed; 3 June 2012, 02:38.
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

                Originally posted by Sub-Zero View Post
                عامر آپ تو بہت اچھے انلائزر ہیں اور گہری نگاہ رکھتے ہیں اصل مسئلہ یہ ہے کہ ہر حکومت اپنا مفاد دیکھتی ہے یہ بات تو کنفرم تعلیم اور صحت پرائیوٹ سیکٹر نے کافی کنٹرول کررکھا ہے
                اس لے حکومت ان سے کافی چشم پوشی کرتی ہے مرتا کیا نا کرتا جب جان پہ بنی گئی خود پرائیوٹ اسپتال سے علاج کرالیں گئے یہی حال تعلیم کا غریب کو پڑھنے کا شوق نہیں مڈل کلاسں
                اور امیر پرائیوٹ سکولوں کالجوں سے پڑھائے گا رہی بات یونیورسٹیوں اور میڈیکل کالج وہاں بھی میرٹ کے ساتھ فنڈ چلتے ہیں

                قرض یہ اتر سکتا ہے ایک سال میں آج سیندک اور تھر کول پروجیکٹ پہ جی جان لگا دی جائے

                باقی بجلی تیل مافیا اور جنریٹر مافیا پوری نہیں ہونے دے رہی جس میں عرب اور امریکن کمپنیاں انولو ہیں
                vo kahtay hain na yeh pakistani log apnay bachay na sarkari school mein parhana chahta hai na sarkari hospital se elaaj karwana chahe ga lakin sarkari nokri hassil karnay mein jaan ki baazi laga deta hai.... :lol

                meray pass eik report hai jo yeh show karti hai kay sarkari school ki enrolement kam hoti jaa rahi aur private schools mein admission mein ezafa hota jaa raha hai.... :lol meinay khud aisay beshumaar government schools visit kiye hain jo bilkul khali hotay hain sirf teachers bethay chai pee rahay hotay hain aur saath hee school ki building kay private schools hotay hain jahan sankroon students parh rahe hotay hain.... :lol
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

                  Originally posted by Mr. Sialkoty View Post

                  Sandak main tamba aur sonay ke beshumar zahair hein wahan pr ajk maafia b in pr kabiz he jo 500 dollar main australian company ko mining ka license issue krta he aur sodaybazi main 25 aur 75 ki ratio set ki jati he yani 75 percent metal ki haqdar australian company hogi. KB (kickback) system to her sodaybazi majn promote ho raha he.

                  5 billion dollar se kalabagh dam aur 5 billion dollar se he thar coal ki minning aur power generation ka mansooba paya takmeel tak pohanch jata he. 10 billion dollar se ziada to pakistan karzay ki kistein de ga. Kia bebasi he is mulk ki k ppp ki govt ne aa k ub tak 30 billion dollar k karzay le lihe lekkn abi tak koi b mansooba aik inch tak nahi sarka. Aur gensrator mafia beaurocracy main he na k american arab country main. Jo aap apne dushman ho koi un se dushmani ku karay.
                  jub aap kay pass sona nikalnay ki expertise nahi aur coal ko dig karna yaa coal se bijli yaa kuch use karnay ki expertise nahi tu vo hamain mahnga paray ga... jo nikalay ga ussay faida hoga aur hum khasaray mein rahin gay.... coal kay itnay zakhair hain lakin afsos mining engineering mein koi bacha admission lanay ko tayyar nahi... aur agar koi mining mein engineering kar bhi leta hay vo berozgaar hota hai yaa vo kisi jaga perr teacher lag jata hai....

                  agar aap chahtay hain yeh sandak ka project ko aur coal zakhair ko proper use karna hai aur uss se ziyada sarmaya kamana hai tu aap apni expertise paida karein aur apni youth ko agay lain aur ussay foreign trainings dain takay vo seekhain coal ko hum kese use dig karsaktay hain tub yeh zakhair hamaray kaam kay hain agar aap yeh coal kay projects kisi aur companay ko dein gay tu vo tu khud kamai gi vo uss kay pass jo expertise hai uss say faida uthai gi
                  sigpic

                  Comment

                  • #10

                    اس سے تو یہی بات ثابت ہوتی ہے پاکستان ان سانپ بچھؤ سے کبھی نجات نہیں حاصل کرپائے گا
                    حکومت کو جو خزانے میں پیسہ ہے اس سے بلے بلے کرانے کا شوق ہے
                    فوج ڈبل گیم کھیل کر امریکہ کو لوٹ رہی ہے
                    ادارے لوٹ مار کرپشن میں جٹے ہوئے ہیں

                    عواام مہنگائی کی جنگ لڑتے لڑتے ہلکان ہورہی ہے ، نا بجلی نا گیس نا پانی نا روٹی
                    کبھی کس کی طرفٖ دیکھتی کبھی کس کی طرف اب انہیں پکا بھکاری بنانے اور غیرت مارنے کے لئے بے نظیر انکم سپورٹ بھیک

                    مافیا اپنی نہیں اپنے تو لالچی کتے ہیں مافیا یہ بن بھی نہیں سکتے یہ گٹر کے کیڑے صرف گندگی کھا سکتے ہیں
                    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                    Comment

                    • #11
                      Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

                      Originally posted by azeem-ahmed View Post
                      vo kahtay hain na yeh pakistani log apnay bachay na sarkari school mein parhana chahta hai na sarkari hospital se elaaj karwana chahe ga lakin sarkari nokri hassil karnay mein jaan ki baazi laga deta hai.... :lol

                      meray pass eik report hai jo yeh show karti hai kay sarkari school ki enrolement kam hoti jaa rahi aur private schools mein admission mein ezafa hota jaa raha hai.... :lol meinay khud aisay beshumaar government schools visit kiye hain jo bilkul khali hotay hain sirf teachers bethay chai pee rahay hotay hain aur saath hee school ki building kay private schools hotay hain jahan sankroon students parh rahe hotay hain.... :lol
                      بہت افسوناک مرحلہ آچکا ہے مسئلہ یہ ہے کہ سب کو پتہ ہے سرکاری سکول / ہسپتال جانے کا کوئی فائدہ نہیں نا اچھی تعلیم نا اچھا علاج
                      *ان سرکاری اسکول / اسپتالوں میں صرف مجبور بے بس لاچار ہی جائے گا جو مہنگے پرائیوٹ اسکول / اسپتال کا خرچہ نہیں اٹھا سکتا
                      Last edited by Jamil Akhter; 3 June 2012, 09:52.
                      ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                      سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                      Comment

                      • #12
                        Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

                        @

                        just want to say
                        :mm:What gives you hope about Pakistan?
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment

                        • #13
                          Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

                          Originally posted by azeem-ahmed View Post
                          budget se pehlay media aur kuch halqay va ahbaab yeh kah rahe thay kay ppp yeh budget aisa day gi jo sub kay chhakkay chhot jain gi... iss election budget kah rahe thay... matlab ppp aisa budget pesh karay gi jo next election jeetnay mein uss ko madad milay gi... kuch tu anchor person yeh kah rahay thay kay ppp aisa budget pesh karey gi jo tax bahut kam kar day gi sarkaari mulazmeen ko bahut mar'aat dey gi aur karobaari logon ko khulli chutti day day gi jis se next jis ki government banay gi uss yeh sub problem hogi kay kay paisa hoga nahi aur khazana khaali hoga... governemt karnay mein ussay problems hoongi... :lol

                          lakin ppp nay election jeetnay walay style se budget pesh nahi kiya... iss mein karobaari log bhi naraz hain, mulazmeen bhi, kissan bhi aur aam mehnat mazdoori karnay walay bhi.....

                          dosra eik pehlu muje jo acha laga vo tha income tax kay slab kam kiye hain... hamaray haan tax tu sirf mulazmeen hee detay hain baaki log iss net mein kam atay hain... mein sirf Rs.19000/= rupay sirf per month tax deta hoon... itna yaar tax eik banda vo mulazam day aur eik karobaari banda jo millions per month kamata hai vo sirf chand hazaar per annum day tu kitnay dukh ki baat hai...

                          aap ki baat se mein agreed hoon kay health, education mein paisa bahut kam rakha gaya hai... wese yeh pehlay bhi aisa hota raha hai aur iss martaba bhi kuch aisa hua hai... mein benazir income support program ho yaa punjab mein laptop wali taqseem scheme ho dono kay sakht khilaaf hoon... meri job aisi hai jo education, health aur bisp kay saath milkar kaam karna hota hai... aap beleive karein health aur education mein paisa kam budget rakha jata hai aur yeh thora paisa bhi kam hee sahi jaga per use hota hai warna sub paisa beauracracy ki corruption mein chala jata hai... schools mein na sahi dhang se building hoti hai na safai, na laborataries, na libraries.. health ka yeh haal hota hay eik dispenser sey laykar eik ministerr tak medicine ki corruption mein mullawas hotay hain... health centre per medicine milti nahi aur vohi medicine aap ko medical store parri milain gi... government ki medicine jo free mein milni hoti hain vo medical store per yeh health walay bech detay hain.... agar yeh budget jo health aur education ko milti hai vo bhi agr proper jaga use ho tu phir bhi adhay masaail hamaray hal hojain.... baaki dost BISP ki baat hai yeh tu khanay kay bahanay hain aur jaib garam karnay kay wali raqam hai jis se issi paisay se next election larri jai gi.... :lol ghareebo ko kia milta hai yeh aap mujh se poochain... :lol

                          dost yeh budget na awami tha, na sanati tha, na karobaari tha, na kissan dost tha balkay yeh bhi ussi tarah kay fazool tha jis tarah pehlay pesh hotay rahe thay....
                          PPP ki Govt. corrupt loogon ka aik toola he. Apne paanchwein saal mein he aur aik bhi idaray ko revitalize nahi ker saki. PIA, Railway, Electricity sector, Police gardi, Justice System, Inflation kisi aik cheez ko bhi control nahi ker saki. In ke nazdeek apni kursi ko bachana he asal jamhooriyat he. Yeh jamhooriyat ko bachaein ge aur her maheenay awam ko aik neya teeka lagaein ge, kabi mehngai ki soorat mein, kabi petrol ki price ki soorat mein aur kabi bijli ke bill mein taxes ki soorat mein. ub Pakistan ko bijli deni he ke nahi deni yeh govt. decide kerti he aur bijli kay bill mein kitna tax add kerna he yeh IMF decide kerti he.

                          5 saalon mein jitna Benazir income support program ke tandoor mein jhoonka gaya he itna paisa ager bijli ke sector mein laga dia hota to aaj Thar coal mein electricity ki generation required capacity mein ho rahi hoti.

                          Railway ka budget 21b rakha gaya he. Jitna paisa Benazir income support program mein laga dia gaya he, sirf aik saal ager Benazir income support program kay paisay ko Railway mein laga dia jaye to pura railway revive ho jaye. Yeh govt. to railway ko chalanay ke liye aik specific policy nahi de saki.

                          Itnay budget mein kalabaag Dam bajata.

                          Her saal Pakistan ko koi 50 behtareen kisam ke Sarkaari hospital muyasar aa jatay. Jahan ghareebon awam ko ilaaj ki sahoolatein bhi achi muyasar aa jatein.

                          Itna paisa kerz-e-hasna ke toor per de ker isay poverty ko eliminate kerne k liye aik behtareen tool banaya ja sakta tha. Aur aakhir kaar yeh paisa bhi govt. ke haath mein rehta aur isay kisi tameeri makaasad k liye istamaal kia ja sakta tha. Disaster control management ko mazboot kia ja sakta tha, flood aur kudarti aafat se bachne k liye is paisay ko utilize kia ja sakta tha.

                          Agricultural dept. ko subsidize kia ja sakta tha jis se growth hoti aur GDP ke ahdaaf ko ba'aasani achieve kia ja sakta.

                          Ager itna paisa govt. businessmen ko subsidy dene mein kharch karay to mein daaway se kehta hoon ke Pakistan ki export sirf 3, 4 saalon mein double ho jaye.

                          Taameer kahan he? Falaah kahan he is budget mein. Revenue generation k liye taxes aur kerzoon ko he number aik pe rakha gaya he. Yeh govt. autonomously revenue generate kerne k liye aur jobs create kerne k liye konse sector mein investment ker rahi he? Kia neya dia he is govt. ne?

                          Corrupt loogon ke is toolay ne Pakistan ki history mein sub se ziada afraat-e-zar paida kia, rupay ko kamzoor kia, aur 30Bn dollars ke lagbag kerza le ker bhi aik record kaim kia. Pata nahi yeh kerza aur jo note chaapay jatay hein, budget ke baad aik aur mini budget laya jata he, jis mein taxes bhi berhaye jatay hein aur inflation bhi, wo paisa jata kahan he.
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

                            Originally posted by azeem-ahmed View Post
                            vo kahtay hain na yeh pakistani log apnay bachay na sarkari school mein parhana chahta hai na sarkari hospital se elaaj karwana chahe ga lakin sarkari nokri hassil karnay mein jaan ki baazi laga deta hai.... :lol

                            meray pass eik report hai jo yeh show karti hai kay sarkari school ki enrolement kam hoti jaa rahi aur private schools mein admission mein ezafa hota jaa raha hai.... :lol meinay khud aisay beshumaar government schools visit kiye hain jo bilkul khali hotay hain sirf teachers bethay chai pee rahay hotay hain aur saath hee school ki building kay private schools hotay hain jahan sankroon students parh rahe hotay hain.... :lol
                            Main ne Imran khan ki takreer mein suna tha ke Lahore mein Malaysia ke shehzaaday us ke saath perha kertay thay. Yani us door mein Malaysia taalemi nazaam mein Pakistan se peechay tha. Aaj Pakistani Malaysia mein ja ker perhna aik honor ki baat samajtay hein. Malaysia bohat teezi se taraqi ker raha he kyoon ke us ka education system aur R&D sector bohat strong he. Aik bohat bara budget is sector ko allocate kia jata he.

                            Aap khud andaza laga lein ke Pakistan kay education budget Rs. 47.8Bn he jubke Malaysia ka Rs. 1450Bn. Malaysia ke nazdeek taraki ka meyaar education he jub ke PPP k nazdeek taraki ka meyaar bheek
                            Last edited by Mr. Sialkoty; 4 June 2012, 09:53.
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Budget Review - Health + Education Budget Vs. Benazir Income Support Program

                              Originally posted by azeem-ahmed View Post
                              jub aap kay pass sona nikalnay ki expertise nahi aur coal ko dig karna yaa coal se bijli yaa kuch use karnay ki expertise nahi tu vo hamain mahnga paray ga... jo nikalay ga ussay faida hoga aur hum khasaray mein rahin gay.... coal kay itnay zakhair hain lakin afsos mining engineering mein koi bacha admission lanay ko tayyar nahi... aur agar koi mining mein engineering kar bhi leta hay vo berozgaar hota hai yaa vo kisi jaga perr teacher lag jata hai....

                              agar aap chahtay hain yeh sandak ka project ko aur coal zakhair ko proper use karna hai aur uss se ziyada sarmaya kamana hai tu aap apni expertise paida karein aur apni youth ko agay lain aur ussay foreign trainings dain takay vo seekhain coal ko hum kese use dig karsaktay hain tub yeh zakhair hamaray kaam kay hain agar aap yeh coal kay projects kisi aur companay ko dein gay tu vo tu khud kamai gi vo uss kay pass jo expertise hai uss say faida uthai gi
                              Expertise ka na hona masla nahi he, masla basically mismanagement he. Arab loogon ke paas by default konsi expertise moojood thein jo unhoon ne taraki ker li? Unke paas airf aur sirf naik niyati aur good governance thi. Pakistan sirf justice system ko behtar ker le to yeh 5, 5Bn dollars ke project to foreign investment se he puray ho jaein. Lekin koi investment kyoon ker karay ga. Yahan govt, change ho to halaat badal jatay hein. Aik govt. khoob loot maar ker ke chali jati he aur phir aane wali govt. wo lakeer peet'ti reh jati he.

                              18500Bn Dollar ka koila para hua he aur kia yeh mazaak nahi ke 3 se 5 Bn dollar ki investment se hum is koilay ko aik process mein la saktay hein. Jahan se koila nikalta he wahan se petrol aur gas bhi nikalti he. Pura energy sector bohraan ka shikaar he. Per in kaamon k liye aik bohat he hafeef budget allocate kia jata he. Ta ke yeh projects kharaman kharaman chaltay rahain aur govt. ki jaib pe bilkul b asar na paray. Yeh baatein koi rocket science nahi hein, sub ko samaj aati hein. Lekin koomi doolat lootnay se in begairtoon ko forsat milay to yeh Pakistan ka kuch soochein.
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X