Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

meray aansoo

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • meray aansoo

    asssalam o allaikummm

    aansoo bhi kia ajeeb cheez hotay hain vo paani kay qatray jin ka zaiqa namkeen aur assar dairpa hota hai. aansoo insaan ka uss waqt tak saath detay hain jab uss ka saath denay wala koi nahi hota. aur kahtay hain ansoo dil ka zang utaar detay hain...ansoo agar insaan yaa kisi cheez kay khof se ajain tu insaan ko buzdal aur kamzor bana detay hain agar khushi yaa jazbaat mein beh jain tu insaan ko mazeed khush fitrat bana detay hain.. agar Allah talay kay khouf se beh jain tu yeh insaan ki zindgi ko khushnima bana detay hain...

    kiya aap kabhi roe hain...? yaa aap tanhai mein rotay ho? yaa koi aisa waqt jab aap khoob roe hoon? aur kis baat per aap ko amooman rona ata hai?
    sigpic

  • #2
    Re: meray aansoo

    walikum Salam...

    apka thread tu achay topic py hy lekin u ny is mein aik aise line likhi hy jispy acha khasa lamba chora article likha ja sakta... well leave it

    ji zinda logon ki nishani hoti hy anso... or ziada or sab k samnay rona bewakoof or kamzoor logon ki.... :)
    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

    Comment

    • #3
      Re: meray aansoo

      Originally posted by crystal_thinking View Post

      uss ronay ki baat kar raha tha jo kabhi kabhi hum tanhai mein room lights off kar kay andharay mein yaa ghar kay kisi konay mein chhup kay aankhon se aansoo darya baha detay hain aur jab vahan se uthtay hain tu aankhain pooonch letay hain aur logon kay samnay hanstay rahtay hain... aisay hanstay hain goya hum kabhi roe bhi nahi ... uss tanhai yaa akailai mein jo insaan kabhi rota hai uss ronay ka pooch raha tha...
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: meray aansoo

        Originally posted by azeem-ahmed View Post
        uss ronay ki baat kar raha tha jo kabhi kabhi hum tanhai mein room lights off kar kay andharay mein yaa ghar kay kisi konay mein chhup kay aankhon se aansoo darya baha detay hain aur jab vahan se uthtay hain tu aankhain pooonch letay hain aur logon kay samnay hanstay rahtay hain... aisay hanstay hain goya hum kabhi roe bhi nahi ... uss tanhai yaa akailai mein jo insaan kabhi rota hai uss ronay ka pooch raha tha...
        aik mushkil waqat tha jab aise halat thy lekin ab nai... :)
        میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

        Comment

        • #5
          Re: meray aansoo

          Originally posted by crystal_thinking View Post

          aik mushkil waqat tha jab aise halat thy lekin ab nai... :)
          agar mein apni baat karon halaat kitnay bhi mushkil hoon mein halaat ki wajah se nahi rota jo meray saathi hotay hain jo chor kay chalay jatay hain mein us vichhoray per rota hoon issliye nahi kay vo mujhe tanha chor gaye, isslie nahi kay halaat kay daldal mein chor gaye balkay muje mushkil waqt mein aazmaya bhi nahi aur achanak chupkay chupkay itna dooooooooooor chalay gay...
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: meray aansoo

            شکریہ آپ کی عنایت کا غم کی دولت مجھے عطا کردی
            تم نے ہنس ہنس کے ابتدا کی تھی میں نے رو رو کے انتہا کردی

            میری نظر میں تو اس آنسو سے زیادہ کوئی قیمتی آنسو نہیں* جوذات خداوندی کے عرفان میں اور انسانیت کے درد میں نکلیں

            Comment

            • #7
              Re: meray aansoo

              :star1:

              Comment

              • #8
                Re: meray aansoo

                Tumhari post perh k meri to aankhon main aansu aa gaye :lol
                :thmbup:

                Comment

                Working...
                X