Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bachat ki aadet.......

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Bachat ki aadet.......

    attachment open nahi hui

    google se dekh lia yeh burger type ki cheez nazar aa rahi he
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: Bachat ki aadet.......

      Ok. - its a local food here. : )

      Comment


      • #18
        Re: Bachat ki aadet.......

        pakistan saving kese karsakta hai yeh eik barri behas hai aur karnay yaa na karnay mein beshumaar factors involve hain..
        baaki mein zaati tor per apni saving 70-80% perr month saving kar leta hoon..
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: Bachat ki aadet.......

          Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
          Bachat nahi hoti agar ho b to kuch na kuch khareed leta hon. fazool kharch nahi b hon aur bohat ziada fazol kharch b hon. Puranay waqton main behad majbori pr kabi krz le b leta tha pr time pe wapis krta tha. ub loog karz le jatay hein kabi na wapis krne k liye. main bachat k nazriye se nai chalta. jo hath main hota he kharch kerta hon yeh soch k kay Allah aur de ga aur mil b jata he
          aap ki soch dost achi hai. Allah tala wakai day deta hai bus banday ka eimaan mazboot ho. aksar aisay log hotay hain jo pai pai jortay hain aur uss kay badlay takaaleef uthatay hain lakin Allah ki shaan vo apnay per kharach nahi kar patay aur peechhay rahnay walay aiyashi martay hain....
          sigpic

          Comment


          • #20
            Re: Bachat ki aadet.......

            Originally posted by thefire1 View Post
            Walaikum Assalaam u_r

            I would like you to share the article link or at-least share with us the source where you have read this. As far as I know and as much as I read, Pakistani and Indians are considered to be the best in terms of managing their finance and do not often take loans from the bank or from any other source until its extremely difficult time.

            Hum nay bachpan say bachat karna seekha hay, aur yeh taleem humain humarai Walida Mohtarma (ALLAH SWT unhain Jannat main aala muqaam ata karay AMEEN) say mili, unhoon nay kam say kam kharchay main gharayloo akhraajaat sanbhaalay aur jitnay abbu nay ghar kay kharchay kay liye diye uss main say bhi saving (jiss ka mera waalid ko bhi ilm nahin hota tha) kartii thii aur zaroorat paRhnay per ussay kaam main laati thiiin.

            Yehi aadat hum main aayi aur kam umri say hi main apni eidi kay paisoon main say aur even rozaana ki kharchi main say paisay bacha kar rakhta tha jo main aksar apnay liye kharch karta tha, you will surprised to know kay main nay apnay pooray paRhayee main kabhi bhi waldain ko kitaaboon ka kharcha nahin karnay diya, apnay say senior class kay student say dosti rakhta tha aur phir apni savings say uss say second hand kitaabain sastay price main lay laita tha...!!!

            Amdani chahay jitni hi qaleel hoo, insaan srif apni zaroorat ki zindagi ki cheezon per dehaan day aur ussay poora karay, aagay aur iss kay ilaawa MOUHTAAJ aur MISKEEN bandoo kay bhi BAYLOUS madad karta rahay, ALLAH SWT aap kay rizq main barkat ata farma day ga, bas apni niyaat saaf rakhay aur rizq-e-halaal ko apna faraza-e-zindagi bana lay!

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

            FI amaan ALLAH



            achi baatein ki hain aur insan ko miana ravi se chalna chahie
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: Bachat ki aadet.......

              Originally posted by azeem-ahmed View Post
              aap ki soch dost achi hai. Allah tala wakai day deta hai bus banday ka eimaan mazboot ho. aksar aisay log hotay hain jo pai pai jortay hain aur uss kay badlay takaaleef uthatay hain lakin Allah ki shaan vo apnay per kharach nahi kar patay aur peechhay rahnay walay aiyashi martay hain....
              Achi he ya buri per yeh cheez mujay warasat mein mili he. Mere abbu bhi aisay thay. Mein is cheez pe believe nahi kerta ke aap apni quality of life kharab karo, paisay aur jaidad ke chakron mein. Mein un loogon mein hoon ke jinhein jo pasand aaya haath berha ke paker lia, dekhi jaye gi ; )
              :thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: Bachat ki aadet.......

                Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                Achi he ya buri per yeh cheez mujay warasat mein mili he. Mere abbu bhi aisay thay. Mein is cheez pe believe nahi kerta ke aap apni quality of life kharab karo, paisay aur jaidad ke chakron mein. Mein un loogon mein hoon ke jinhein jo pasand aaya haath berha ke paker lia, dekhi jaye gi ; )
                yeh tu shazado wala kaam hua na.. :lol cheezain katti patang thori hoti hain jo hath barhaya aur pakkar liya.. iss ka tu matlab yeh hua kay aap ko kisi aur ki cheez achi lagi tu pakkar lo gay... :lol vo kahtay hain na apni ghoto tu nasha chahray... :lol
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Bachat ki aadet.......

                  Originally posted by azeem-ahmed View Post
                  achi baatein ki hain aur insan ko miana ravi se chalna chahie
                  Mujay nahi pata ke meyana ravi kisay kehtay hein lekin bakheel loog mujay bilkul pasand nahi. Yani aisay loog jo apni izat per paisay ko tarjeeh dete hein.
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Bachat ki aadet.......

                    Originally posted by azeem-ahmed View Post
                    yeh tu shazado wala kaam hua na.. :lol cheezain katti patang thori hoti hain jo hath barhaya aur pakkar liya.. iss ka tu matlab yeh hua kay aap ko kisi aur ki cheez achi lagi tu pakkar lo gay... :lol vo kahtay hain na apni ghoto tu nasha chahray... :lol
                    Lolx. Mujay lagta he ke meri statement thoori over ho gai.

                    Mere kehne ka matlab yeh tha ke mein bohat ziada sooch ker khareedne walon mein se nahi hoon. Haan albata fair pricing pe mein zaroor behas kerta hoon. Aur ager mujay idea ho jaye ke mujay over charge ker raha he then many a time I quit. Bus itni si baat he ke mein kanjooson ki tarah nahi chalta na chal sakta hoon.
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Bachat ki aadet.......

                      Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                      Mujay nahi pata ke meyana ravi kisay kehtay hein lekin bakheel loog mujay bilkul pasand nahi. Yani aisay loog jo apni izat per paisay ko tarjeeh dete hein.
                      muje bhi aisay log pasand nahi jo ezat ko paisay per tarjeeh dain.. lakin dost yeh bhi hakeekat hai aisay log jo apni izat per paisay ko tarjeeh detay hain vo hain bhi bahut. paisay ko jahan zaroorat ho vahan zaroor kharach karna chahie..
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: Bachat ki aadet.......

                        Originally posted by azeem-ahmed View Post
                        muje bhi aisay log pasand nahi jo ezat ko paisay per tarjeeh dain.. lakin dost yeh bhi hakeekat hai aisay log jo apni izat per paisay ko tarjeeh detay hain vo hain bhi bahut. paisay ko jahan zaroorat ho vahan zaroor kharach karna chahie..
                        pehli baat aap ulat ker gaye.

                        Khair, mera aik doost jo buchpan se mere sath perha aur baad mein Australia Phd kerne chala gaya aur phir wahi kamanay lag gaya. Pakistan aaya muj se milnay aaya to mein ne kaha k chalo aaj dinner bahir kerte hein. To mujay kehta he ke yaar tumhein to pata he ke mein shuru se he meyana ravi kerne wala banda hoon aur restaurant se khaein ge to achay khasay paisay lagein ge. Mere us doost ne Australia mein itna kamaya, wahan pe apna aik ghar bhi khareeda aur lakhon ki income per month lekin mein heeran tha ke us ka dil mutter ke danay se ziada nahi berh paya. School ke zamanay mein bhi wo aisa tha aur itna kamanay ke baad bhi waisa. Tha to mera doost kia kehta usay, banda poochay tum ne pehlay kabi paisay diye hein jo ub baat ker rahay ho :lol

                        Khair mein bohat heeran aur preshan bhi ho jata hoon aisay loogon ko dekh ker, in ki sooch ko dekh ker ke yeh aakhir hein kia cheez :lol
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Bachat ki aadet.......

                          Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                          Un married larkiyaan jo ke job bhi na kerti hoon un se yeh question he fazool he ke aap bachat ker pati hein ke nahi.

                          Asal mein tum fazool kharch ho ya bachat kerne wali ho is ka pata tub chalay ga jub shohar ki kamai tumharay haath aaye gi. Phir ager tumhein laga ke tum fazool kharch ho to tumhein "thefire" achi tip de ga, aur ager laga ke tum bohat bachat kerti ho tub mein tumhein kuch zaroor samjaon ga :lol
                          اللہ کرے میں اتنی سیانی ہوجاوں تب تک مجھے آپ لوگوں کی ٹپس کی ضرورت ہی نا پڑے :huh!:
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #28
                            Re: Bachat ki aadet.......

                            Originally posted by saraah View Post


                            اللہ کرے میں اتنی سیانی ہوجاوں تب تک مجھے آپ لوگوں کی ٹپس کی ضرورت ہی نا پڑے :huh!:
                            Aameen :lol
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: Bachat ki aadet.......

                              Jee aap ki baat say itifaaq hay kay aksar shaadi biaa main waldain ko JEHAZ ki adayigi aur shaadi kay arranagement main itna kharcha aa jaata hay kay woh afford nahin kar saktay aur phir shaadi na ki tou beti kay kanwaaray rehnay ka khadshaa... isi liye naa chahtay huway bhi LOAN laina paRta hay aur phir uss ki adayehi apna pait kaat kaat kar kartay hain.... Sochye kay kitna painful hay aisa sochna kay waldain apni kam amdani main apna paith kaat kaat kar aulaad ki tarbiyat aur parwarish kartay hain aur phir zindagi kay aakhir main pait kaat kaat kar rukhsati!!!! Trust me I feel really sad kay humaray mulk main kitnay hi aisay loug hain jo pait bhar kar do waqt ka khaana bhi nahin kha saktay!!

                              Main apni monthly ka taqreeban 30% hissa saving karta hoon taakay main issay apnay SHOUQ yaani TRAVELLING AROUND THE WORLD kay tour per istimaal karoon, baaqi 10% apni car kay fuel, mobile phone waghaira kay liye and rest family expenses such as paying rent, electricity bills etc. Mujhay koi faltoo aadat nahin jaisay cigrette peena, pan khana, tamabkoo, chaaliya, sheesha waghaira waghaira... Haan weekend per koi achi movie dekh kar apnay aap ko entertaain kar laita hoon :)



                              Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                              Amooman hota yeh hay ke kisi point pe mujay break lag jati he lekin is baar mein break lagne ke baad aur kuch kahay bagair aagay berh gaya. I second your voice ke Pakistani koom he bachat kerna janti he, deegar dunia mein esp Europe mein 5 din kamaya 2 din uraaya wala concept he. Aur doosra nukta bhi bohat aala raise kia ke Pakistani loogon ka tanasub bohat kum he jo Bank se kerza lete hein. Haan aik cheez ki kami zaroor he Pakistaniyon mein wo yeh hay ke chader dekh ke paoon na pheelana. Amooman shadi beyaah ke chakron mein loogon ko kerz lena perta he aur phir akhrajaat itne ker dete hein ke kerz ki adaigi un ke liye mushkil ho jati he.

                              Aap ke bachat ke concept se mein heeran hoon. Aik jagah aap ne kahin likha tha ke aap bachat ker ke ub dunia goomtay hein. Mere liye yeh bhi kafi surprising tha. How can you manage such things
                              sigpic

                              Comment


                              • #30
                                Re: Bachat ki aadet.......

                                Originally posted by thefire1 View Post


                                Main apni monthly ka taqreeban 30% hissa saving karta hoon taakay main issay apnay SHOUQ yaani TRAVELLING AROUND THE WORLD kay tour per istimaal karoon, baaqi 10% apni car kay fuel, mobile phone waghaira kay liye and rest family expenses such as paying rent, electricity bills etc. Mujhay koi faltoo aadat nahin jaisay cigrette peena, pan khana, tamabkoo, chaaliya, sheesha waghaira waghaira... Haan weekend per koi achi movie dekh kar apnay aap ko entertaain kar laita hoon :)
                                I guess jin loogon ke akhrajaat limited hotay hein ya jin per loogon ki dependency limited hoti he wo aik achi position mein hotay hein apne aap ko plan ker ke chal sakein. Jese Azeem ne bataya ke wo 70% tak saving ker leta he aur aap 30%. Though for me it is impossible ke mein aisa kuch bhi plan kar sakon ya plan kerne ke baad us plan ko implement ker sakon. Buri aadat to mujay bhi nahi he ke jahan paisay uraaon, na he koi ghalat shook palay hein. Han mein appreciate karon ga ke aap loog aik planning ke sath chal rahay ho, lekin in the meantime mein aap ko facilitate karon ga ke jahan aap apne shook ko itni taqviyat dete hein wahan chand aik deserving loogon ko apne saath le ker chalein unhein bhi support karein. Aakhir Allah ne aap ko aap ki zaroorat se ziada dia he to is ke peechay bhi koi reason ho gi :)
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X